Tere Bina Ji Sakein Ge Na Hum.....

by Aryaan on June 08, 2005, 08:06:10 PM
Pages: 1 [2] 3 4 5
ReplyPrint
Author  (Read 4098 times)
thycreator
Guest
«Reply #15 on: June 11, 2005, 07:22:53 PM »
Reply with quote
Thanx a lot Aarayan ji..........................

Ye chand bhi aasamaa se jab tujhko dekhta hoga,
Khubsurat hai tu kyu itni bas yaho sochta hoga,
Khuda khud hi hairan hai tere chehre ke noor par,
Jab se banaya tujhko,wo na tujhe bhoolta hoga...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
tere bina......... by sweet_gal in Shayri for Khumar -e- Ishq
tere bina by Sonu in Songs & Lyrics
(~_~) TERE BINA (~_~) by ammna in Ghazals
tere bina by tushar_4u_im in Shayri-E-Dard
~~~tere bina~~~ by deepika_divya in Shayri for Khumar -e- Ishq
jalpari
Guest
«Reply #16 on: June 13, 2005, 03:19:34 AM »
Reply with quote
nice thy ji..

Teri sur pe hai chalti
Saansein yeh hamari
Teri taal pe hai thirakti
Dhadkan yeh dil ki...
Logged
thycreator
Guest
«Reply #17 on: June 13, 2005, 12:12:56 PM »
Reply with quote
Thanx a lot jalpari..........thanx for ur appreciation................happy9
Logged
amrita
Guest
«Reply #18 on: June 13, 2005, 02:35:02 PM »
Reply with quote
Quote from: "Aryaan"
Choote jo tera sath tau, duniya bhi choot jaye
          Toote jo dil tau saans ka rishta bhi toot jaye

Dil mein mehakti wafaa ki Qasam, honton ki pehli dua ki Qasam
Sur ki Qasam, raagni ki Qasam, dil ki Qasam, dilbari ki Qasam
Jis ne ki thi pehli mohabbat, haan ussi ki Qasam..
                 Tere bina ji sakein ge na hum

Dil hai tere pyar ka deewana, jaan hai tere Qadmon ka nazrana
Bin dekhe tujhe chain na paaun, ji chahe main aankh ban jaaun
Milti hai jo tujh se milkar, uss khushi ki Qasam..
                  Tere bina ji sakein ge na hum

Saanso ke sangeet mein tu hai, dharkan ke harr geet mein tu hai
Lab pe jab tera naam na aaye, uss subha ki shaam na aaye
Rabb se jo bande ko milaye, uss bandagi ki Qasam
                  Tere bina ji sakein ge na hum....


duniya mein koi kisi ke liye kuch nahi karta
marne waale ke saath har koi nahi marta
aree marne ki baat toh duur hi rahi ,
yahan toh zinda hai fir bhi koi yaad nahi karta
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #19 on: June 13, 2005, 06:26:22 PM »
Reply with quote
sach kaha aap ne Amrita... yahan aaj zindon ko bhi koi nahi poochta..... bohat khoob!
Logged
thycreator
Guest
«Reply #20 on: June 14, 2005, 05:23:44 AM »
Reply with quote
Quote from: "amrita"
duniya mein koi kisi ke liye kuch nahi karta
marne waale ke saath har koi nahi marta
aree marne ki baat toh duur hi rahi ,
yahan toh zinda hai fir bhi koi yaad nahi karta


Wah Amrita ji.....sahi kaha hai apne....

Har din hi ghat ti jati hai insaan ki keemat,
Har din hi ghat ti jati hai imaan ki keemat,
Kya kare koi gila in jinda murdon se bhala,
Inhone toh na rehne di bhagwan ki keemat....
Logged
K2
Guest
«Reply #21 on: June 14, 2005, 07:25:10 AM »
Reply with quote
Kuchh Likhte hai hum, Kuchh Padhte Hai hum
Har Ik Ki Kadre Karte Hain Hum
Mohabbat Ke Gum Ko Bhula Na Sake Hum
Aaj Bhi Sihahi  Se Kaagaz Ko Rangte Hai Hum
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #22 on: June 14, 2005, 07:52:48 AM »
Reply with quote
baat zindagi ki chali hai tuh hum bhi baata de
hum bhi hai duniya main zinda koi hume bhi tuh yaad kare
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #23 on: June 14, 2005, 11:51:00 AM »
Reply with quote
thycreator, K2 & Sandhaya...Nice Ones......Usual Smile
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #24 on: June 16, 2005, 02:17:53 AM »
Reply with quote
Yun zindagi ki raah mein
Din mere nikal gaye
Kiya tujhko yaad main ne
Qadam mere sanmbhal gaye

Jab bhi karna chaha main ne
Khushi ka zikr ghazlon mein
Meri ungliyon se tarap kar
Qalam mere phisal gaye...

Dene lage hain mujhko
Ab dard ki jagah dawaa
Tum hi karo kuch dosto
Qaatil tau mere badal gaye

Nahi Qismat ko bhi manzoor
Keh hum tumhein bhulaa dein
Tera khat jalaana chaha
Aur haath mere jal gaye..
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #25 on: June 16, 2005, 08:38:49 AM »
Reply with quote
kya baat hai aryaan bahut acha laga hai

zindagi ki raahon main log aksar milte hai
milte hi bichdte hai par saath nahi nibhate hai
Logged
amrita
Guest
«Reply #26 on: June 16, 2005, 09:34:53 AM »
Reply with quote
Quote from: "Aryaan"
Yun zindagi ki raah mein
Din mere nikal gaye
Kiya tujhko yaad main ne
Qadam mere sanmbhal gaye

Jab bhi karna chaha main ne
Khushi ka zikr ghazlon mein
Meri ungliyon se tarap kar
Qalam mere phisal gaye...

Dene lage hain mujhko
Ab dard ki jagah dawaa
Tum hi karo kuch dosto
Qaatil tau mere badal gaye

Nahi Qismat ko bhi manzoor
Keh hum tumhein bhulaa dein
Tera khat jalaana chaha
Aur haath mere jal gaye..


that was reaaly good aryaan...

hum apne dard mein itna bilakhte hain
woh hum se dawaa ki umeed rakhtein hain..
Logged
tushar_4u_im
Guest
«Reply #27 on: June 16, 2005, 09:41:07 AM »
Reply with quote
Quote from: "Aryaan"
Choote jo tera sath tau, duniya bhi choot jaye
          Toote jo dil tau saans ka rishta bhi toot jaye

Dil mein mehakti wafaa ki Qasam, honton ki pehli dua ki Qasam
Sur ki Qasam, raagni ki Qasam, dil ki Qasam, dilbari ki Qasam
Jis ne ki thi pehli mohabbat, haan ussi ki Qasam..
                 Tere bina ji sakein ge na hum

Dil hai tere pyar ka deewana, jaan hai tere Qadmon ka nazrana
Bin dekhe tujhe chain na paaun, ji chahe main aankh ban jaaun
Milti hai jo tujh se milkar, uss khushi ki Qasam..
                  Tere bina ji sakein ge na hum

Saanso ke sangeet mein tu hai, dharkan ke harr geet mein tu hai
Lab pe jab tera naam na aaye, uss subha ki shaam na aaye
Rabb se jo bande ko milaye, uss bandagi ki Qasam
                  Tere bina ji sakein ge na hum....


chor tere sath sath hum duniya chor chale,....

hairat ki kya batt hum to sub resme tor  chale,....

ab din ho ya ho ratt aaj hum sabko chor chale,...

vapas  bhi nahi aa sakte tumhe chprna bhi nahi chate,....

aab aapni hum to yade teri sanso me chor chale,.......
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #28 on: June 17, 2005, 01:57:15 AM »
Reply with quote
Thanks alot Sandhaya & Amrita....& Nice Ones....

Bohat achey Tushar.....
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #29 on: June 17, 2005, 05:39:02 AM »
Reply with quote
kyun log yun daga dete hai
dil lagane ki aisi saja dete hai

mahobat hi tuh ki hai koi chori nahi
kyun ye aashiqon se ehbub cheen lete hai

dil lagate hai hum jab bhi pyar main
ye zalim zamne vale jine nahi dete hai

kyun hai dusman mahobat ke ye zamane vale
kyun haste hue logo ko rone ko kehte hai

jab chalti nahi hai zindagi bin mahobat
phir kyun ye humse zindagi hi cheen lete hai
Logged
Pages: 1 [2] 3 4 5
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 15, 2024, 06:49:31 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.105 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer