*@*Tere haseeN chehre meiN aesa rubaab haiN..."Ek Nazm&

by Paigam_A_Ishq on July 31, 2006, 12:30:01 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1502 times)
Paigam_A_Ishq
Guest
Reply with quote
Tere haseeN chehre meiN aesa rubaab haiN
Jiski aage fiki saare zamane ki sharaab haiN
Yu naa nikala karo tum mere dilbar ghar se
duniyah walo ki niyyat badi kharaab haiN

Chaand si shitalta sitaaro si jagmagahat tujh mein
hai bholi-bhali magar kuch to hai shararat tujh mein
maine paayi hai apne khwabo ki haqikat tujh mein
roshan hai mera ghar tujhi se tu mera aftaab hai

Sagar si chanchal ho tum Main hu tumhara saahil
ab to aa jao kareeb mere tum jeena haiN mushkil
lagi ho dil ko apni tumhi mein nazar aayi hai apni manzil
sama jao mujh mein jaise sama jate nadi aur bahraab hai

Sab kuch khokar bhi teri mohabbat mein bohat kuch paya hai
tere aanchal ki chhaav mein ghar apna banaya hai
tere naam ko hi pooja hai tujhe hi gungunaya hai
mere har geet aur nazmo mein tera hi shabaab hai

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
"Tere Ehsaason Mein" by angel4u in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3  All »
" tere pyar mein khud ko bhula baithe " by ravi raushan in Shayri-E-Dard
"ulajh rahe hain sambhal rhe hain" by aaina in Ghazals « 1 2  All »
haseen tere chehre ko by saahill in Shayri for Khumar -e- Ishq
Usi Chehre Ko Har Chehre MeiN Dhundhe HaiN.... by Bishwajeet 'Musaahib' in Ghazals
ranjana
Guest
«Reply #1 on: July 31, 2006, 12:43:59 PM »
Reply with quote
bahut khoob digaaj....

Quote
Chaand si shitalta sitaaro si jagmagahat tujh mein
hai bholi-bhali magar kuch to hai shararat tujh mein
maine paayi hai apne khwabo ki haqikat tujh mein
roshan hai mera ghar tujhi se tu mera aftaab hai
Tere haseeN chehre meiN aesa rubaab haiN

bahut hi khubsurat lines hain yeh.... Usual Smile
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005

View Profile
«Reply #2 on: August 02, 2006, 09:52:23 AM »
Reply with quote
Quote from: "Paigam_A_Ishq"
Tere haseeN chehre meiN aesa rubaab haiN
Jiski aage fiki saare zamane ki sharaab haiN
Yu naa nikala karo tum mere dilbar ghar se
duniyah walo ki niyyat badi kharaab haiN

Chaand si shitalta sitaaro si jagmagahat tujh mein
hai bholi-bhali magar kuch to hai shararat tujh mein
maine paayi hai apne khwabo ki haqikat tujh mein
roshan hai mera ghar tujhi se tu mera aftaab hai
Tere haseeN chehre meiN aesa rubaab haiN

Sagar si chanchal ho tum Main hu tumhara saahil
ab to aa jao kareeb mere tum jeena haiN mushkil
lagi ho dil ko apni tumhi mein nazar aayi hai apni manzil
sama jao mujh mein jaise sama jate nadi aur bahraab hai
Tere haseeN chehre meiN aesa rubaab haiN

Sab kuch khokar bhi teri mohabbat mein bohat kuch paya hai
tere aanchal ki chhaav mein ghar apna banaya hai
tere naam ko hi pooja hai tujhe hi gungunaya hai
mere har geet aur nazmo mein tera hi shabaab hai
Tere haseeN chehre meiN aesa rubaab haiN

Tere haseeN chehre meiN aesa rubaab haiN
Jiski aage fiki saare zamane ki sharaab haiN
Yu naa nikala karo tum mere dilbar ghar se
duniyah walo ki niyyat badi kharaab haiN

beyond excellence ji... bahut khoob wah ek ek shabd bahut hi khoobsurat.........
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 27, 2024, 12:00:00 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.127 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer