Tujh ko kyaa shama’a jalaaney mein bhi dar lagtaa hai?

by abdbundeli on April 22, 2009, 01:23:50 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1165 times)
abdbundeli
Guest
Reply with quote
Aap key roo-b-roo aaney mein bhi dar lagtaa hai!
Aankh sey aankh milaaney mein bhi dar lagtaa hai!!

Baam par aaye, na aaye: sanam ki marzee hai:
Minnateyn kar key bulaaney mein bhi dar lagtaa hai!

Jo sataatey hain subah-shaam shab-o-roz hamain:
Unhain nazar sey sataaney mein bhi dar lagtaa hai!

Huzoor-e-noor key charchey rawaan hain koochoun mein;
Hamain to, sunaney-sunaaney mein bhi dar lagtaa hai!

Tamaam raat jaagtey hain:  baam ho roshan!
Khwaab mein un ko jagaaney mein bhi dar lagtaa hai!!

Sunaa hai, muntazir hain woh, ki, maah ug aaye!
Koochah-e-yaar hai: jaaney mein bhi dar lagtaa hai!!

Un kee tanhaaiyoun kaa, ab to, shukra kar dey adaa!
Dour-e-khalwat ko bhunaaney mein bhi dar lagtaa hai?

Raat taareek hai: koyee, ‘abd’, dagar mein hai!
Tujh ko kyaa shama’a jalaaney mein bhi dar lagtaa hai?

                                        - abd bundeli

Logged
Talat
Guest
«Reply #1 on: April 22, 2009, 01:27:46 PM »
Reply with quote
Very beautiful....very nice....Bohot hi achcha Babu ji
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #2 on: April 22, 2009, 02:59:39 PM »
Reply with quote
Wah bhai wahhhhhhhhhh samajh me nahi aa raha kis andaz me dad du, ek bohat hi nayaab Tohfa diya hain aapne Yoindians ko. Kitna maza aaya bayaan nahi kar sakta.....Is kalam ke aage likhne ki jurrat hi nahi ho rahi par aadat se majboor jo hu  DOH

Unko apna man chuke to ek muddat hui hain ABD
Bazm-e-mehfil q unhe phir apna pukarne se dar lagta hain

Baat aisi nahi ke mujhme iqrar-e-mohabbat ka hausla nahi
Bas ek us mehjabeen ke inkaar se dar lagta hain

GHAYEL ke samne hum unka charcha nahi karte
Aashiqi ke mamle me uske hunar se dar lagta hain

-SG-
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #3 on: April 22, 2009, 03:01:55 PM »
Reply with quote
Aap key roo-b-roo aaney mein bhi dar lagtaa hai!
Aankh sey aankh milaaney mein bhi dar lagtaa hai!!

Baam par aaye, na aaye: sanam ki marzee hai:
Minnateyn kar key bulaaney mein bhi dar lagtaa hai!

Jo sataatey hain subah-shaam shab-o-roz hamain:
Unhain nazar sey sataaney mein bhi dar lagtaa hai!

Huzoor-e-noor key charchey rawaan hain koochoun mein;
Hamain to, sunaney-sunaaney mein bhi dar lagtaa hai!

Tamaam raat jaagtey hain:  baam ho roshan!
Khwaab mein un ko jagaaney mein bhi dar lagtaa hai!!

Sunaa hai, muntazir hain woh, ki, maah ug aaye!
Koochah-e-yaar hai: jaaney mein bhi dar lagtaa hai!!

Un kee tanhaaiyoun kaa, ab to, shukra kar dey adaa!
Dour-e-khalwat ko bhunaaney mein bhi dar lagtaa hai?

Raat taareek hai: koyee, ‘abd’, dagar mein hai!
Tujh ko kyaa shama’a jalaaney mein bhi dar lagtaa hai?

                                        - abd bundeli



Superb Job Abd Bhaiya, Kamaal ki Ghazal Hai Mashallah,.
Logged
SARVESH RASTOGI
Guest
«Reply #4 on: April 22, 2009, 04:59:57 PM »
Reply with quote
Computer kholen aur aapki ghazalen na paane main bhi dar lagata hai
Kya baat hai Bulandi sahib, wonderful.
SARVESH RASTOGI
Logged
Pooja
Guest
«Reply #5 on: April 22, 2009, 05:22:43 PM »
Reply with quote
bahoot khoob Abd ji and nice reply Sajid!!
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #6 on: April 23, 2009, 04:01:48 AM »
Reply with quote
Very beautiful....very nice....Bohot hi achcha Babu ji
Thanks a lot, bitia Celmira!
                - abd bundeli
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #7 on: April 23, 2009, 04:11:35 AM »
Reply with quote
Wah bhai wahhhhhhhhhh samajh me nahi aa raha kis andaz me dad du, ek bohat hi nayaab Tohfa diya hain aapne Yoindians ko. Kitna maza aaya bayaan nahi kar sakta.....Is kalam ke aage likhne ki jurrat hi nahi ho rahi par aadat se majboor jo hu  DOH


Unko apna man chuke to ek muddat hui hain ABD
Bazm-e-mehfil q unhe phir apna pukarne se dar lagta hain

Baat aisi nahi ke mujhme iqrar-e-mohabbat ka hausla nahi
Bas ek us mehjabeen ke inkaar se dar lagta hain

GHAYEL ke samne hum unka charcha nahi karte
Aashiqi ke mamle me uske hunar se dar lagta hain

-SG-
SG bhai! Lots of thanks for your kind views and feelings!
 
Kaantey ugey gulaab mein,
Nayan huye bey-chain!
Gunchah eik chhupaa dikhaa:
Kaatey katey na rain!!

           - abd bundeli
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #8 on: April 23, 2009, 04:16:37 AM »
Reply with quote
Superb Job Abd Bhaiya, Kamaal ki Ghazal Hai Mashallah,.

Thanks a lot, bhai Jaanasheen ji!
                  - abd bundeli
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #9 on: April 23, 2009, 04:18:13 AM »
Reply with quote
Computer kholen aur aapki ghazalen na paane main bhi dar lagata hai
Kya baat hai Bulandi sahib, wonderful.
SARVESH RASTOGI

Thanks a lot, SARVESH RASTOGI ji!
                     - abd bundeli
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #10 on: April 23, 2009, 04:19:26 AM »
Reply with quote
bahoot khoob Abd ji and nice reply Sajid!!
Bahut-bahut shukriyah, Pooja ji!
                 - abd bundeli
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #11 on: April 23, 2009, 05:29:11 AM »
Reply with quote
Wah bhai wahhhhhhhhhh samajh me nahi aa raha kis andaz me dad du, ek bohat hi nayaab Tohfa diya hain aapne Yoindians ko. Kitna maza aaya bayaan nahi kar sakta.....Is kalam ke aage likhne ki jurrat hi nahi ho rahi par aadat se majboor jo hu  DOH

Unko apna man chuke to ek muddat hui hain ABD
Bazm-e-mehfil q unhe phir apna pukarne se dar lagta hain

Baat aisi nahi ke mujhme iqrar-e-mohabbat ka hausla nahi
Bas ek us mehjabeen ke inkaar se dar lagta hain

GHAYEL ke samne hum unka charcha nahi karte
Aashiqi ke mamle me uske hunar se dar lagta hain

-SG-


WAAH WAAH WAAH WAAH......  SUBHAN ALLAH SUBHAN ALLAH... YAAR FILMON MAIN KUCH CONTRIBUTION DO ..!!!
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #12 on: April 23, 2009, 05:32:35 AM »
Reply with quote


   KYA AIHTARAAM HAI MOHABBAT MAIN...Abd.....zordaar...!!

  bahut hi sanjidgi sey sajaaye huey alfaaz hain... SUBHAN ALLAH
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #13 on: April 23, 2009, 06:40:49 AM »
Reply with quote

   KYA AIHTARAAM HAI MOHABBAT MAIN...Abd.....zordaar...!!

  bahut hi sanjidgi sey sajaaye huey alfaaz hain... SUBHAN ALLAH

Thanks a lot, khamosh_aawaaz ji!
            - abd bundeli
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 19, 2024, 06:29:48 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.109 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer