tujhko choo kar jo HAWA aati hai...!!

by ghayal_shayar on June 25, 2010, 11:12:00 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1137 times)
ghayal_shayar
Guest
Reply with quote
Saamne baithe logoN ko bhala-bura kehte haiN, aur jinhe dekha bhi nahin unhe khudaa kehte haiN,, isse to hum beaqal hi sahi,jo mehboob ko hi khuda kehte haiN, jo unki khoobsurati kare bayaaN use jubaaN kehte haiN,, jab khud jhuk jaayeN hum unka pallu chere se hataane ko, to use hi hum sajdaa kehte haiN,, duniya gar kehti hai kaafir hume,kehne do, hum apne sanam ke dil me haiN, is duniya me kahaan rehte haiN.....

apne mehboob ko hum khuda kehte haiN................




Tujhko choo kar jo hawa aati hai,
Teri chooan ka ehsaash dilaati hai.

Mere darwaze pe dastak de kar ye,
Teri khusboo se mujhe mehkaati hai.

Tere hoNthoN ka sparsh kar ke ye,
Mere gaalon ko aake sehlaati hai.

Jab bhi udaas ho kar baithta hooN,
Chupke se ashqoN ko sukhaati hai.

Jab bhi yaad teri mujhe sataati hai,
Tere aangan ka haal mujhe sunaati hai.

Patjhad me pattiyoN ko ghis-ghis ke,
Tere khat mujhe aksar padhaati hai.

Jab bhi tujhe bhulaane ki sochta huN,
Teri awaaz me"ghayal",ghayal chillati hai...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
choo le by tanzeela in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3 4 5 »
Hontho se jo choo liya by NewYorker in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2 3 4 »
~*TuJhKo ChOoKaR jO hAwA aAtI hAi~* by FAREE in Shayri for Khumar -e- Ishq
Dard Dil Ko Choo Jaaye,. by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard
***Aye Sanam...Choo Ke Man Ko Kaha'n Kho Gaye*** by AVTAR RAYAT in Share: Poetry of Pain
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #1 on: June 26, 2010, 01:01:09 AM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Kya taarif karun Shayar ji... mujhe to shabd hi nahi mil rahe hain aapki is rachna ki taarif ke liye... bahut bahut sundar rachna hai .... chhoo gayi hamare dil ko gehraayion tak... bahut hi umda...!!!
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #2 on: June 26, 2010, 06:12:48 AM »
Reply with quote
Good one
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #3 on: June 26, 2010, 07:05:54 AM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Kya taarif karun Shayar ji... mujhe to shabd hi nahi mil rahe hain aapki is rachna ki taarif ke liye... bahut bahut sundar rachna hai .... chhoo gayi hamare dil ko gehraayion tak... bahut hi umda...!!!

Laskar sahab, ye humari khusnaseebi ki aapko humare jazbaat pasand aaye, bas yahi umeed rahegi ki aage bhi aapka saath yuNhi bana rahe....!!
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #4 on: June 26, 2010, 02:11:40 PM »
Reply with quote
Good one

Rajesh ji shukriya pasand karne ke liye shukriya, aap aagr v yuNhi saath nibhaate rahiye....!!
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #5 on: July 12, 2010, 06:35:19 AM »
Reply with quote
Wah Kya Baat hai Ghayal Sahab... Mohabbat Bhare Ehasaason Ko Behad Khubsoorati Ke Sath Lafzon Me Piroya Hai aapne.. Aapke Yeh Mohabbat Bhare Alfaaz Dil Me Utar Gaye.. Daad Kubool karen.. Applause Applause



**~** Mann **~**
Logged
Anshumali
Guest
«Reply #6 on: July 12, 2010, 05:23:09 PM »
Reply with quote

apne mehboob ko hum khuda kehte haiN................[/color]



Tujhko choo kar jo hawa aati hai,
Teri chooan ka ehsaash dilaati hai.

Mere darwaze pe dastak de kar ye,
Teri khusboo se mujhe mehkaati hai.

Tere hoNthoN ka sparsh kar ke ye,
Mere gaalon ko aake sehlaati hai.

Jab bhi udaas ho kar baithta hooN,
Chupke se ashqoN ko sukhaati hai.

Jab bhi yaad teri mujhe sataati hai,
Tere aangan ka haal mujhe sunaati hai.

Patjhad me pattiyoN ko ghis-ghis ke,
Tere khat mujhe aksar padhaati hai.

Jab bhi tujhe bhulaane ki sochta huN,
Teri awaaz me"ghayal",ghayal chillati hai...[/b]
[/quote]

Ghayal Sahab ! ....Aadaab ! bahut umdaa khayaal pesh kiye hai aapne....matle se maqte tak........very nice creation...dil se daad hazir hai.....qubuul farmaayen...

duaaon ke saath....
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 24, 2024, 11:09:22 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.117 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer