-----/// Tum muskuraa rahe hoge ///----- Hriday

by ~Hriday~ on January 30, 2013, 11:42:10 AM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 1890 times)
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
Reply with quote
kal shaam yunhi chhat par baithe baithe
taaron ko dekhte huye ye khayaal aayaa...

shaayad kahin duur, apne chhat pe baithe
un taaron me tum mujhe dekh rahe hoge
dekh meraa chehraa tumhe dekhtaa huwaa
shayad tum wahaan sharmaa rahe hoge...

kabhi chhipaa rahe hoge apnaa chehraa, aur
kabhi chupke se mujhse nazar milaa rahe hoge
hogi tadap mujhe seene se lagaane ki, par
tadapte huye bhi tum muskuraa rahe hoge...

ye kaisi deewaangi hai, kaisaa nashaa hai
ki duur hoke bhi duur nahi hain ek pal
main tumhe mehsoos kar rahaa hoon yahaan
tum bhi mujhe wahaan mehsoos kar rahe hoge...

aisaa pehle nahi hotaa thaa kabhi mujhe
main paagal tha magar itnaa nahi thaa kabhi
jaantaa hoon tumhaari haalat bhi mujh jaisi hai
tum bhi kuch mujh jaise kaam kar rahe hoge...

kabhi baatein karte hoge apne ghar ki deewaaron se
kabhi yunhi akele baithe baithe kho jaate hoge
kabhi to khud ko sochte hoge baadalon ke bich tum
kabhi apne ki khwaab me aasmaan me udd rahe hoge...

kyaa ye asar mohabbat kaa hai, yaa kuch aur hai
aajkal, tum bhi kuch kuch meri tarhaa sochte hoge
jaantaa hoon ki ye paagalpan hai meraa, ye sochnaa
ki padh ke ise is pal tum muskuraa rahe hoge...


*****HRIDAY*****



Logged
prashad
Guest
«Reply #1 on: January 30, 2013, 11:50:46 AM »
Reply with quote
wah wah
Logged
aqsh
Guest
«Reply #2 on: January 30, 2013, 12:13:29 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Har baar ki tarah bahut khoobsurat kalam hriday jee. hamari dili mubarakbad qubool kare
Logged
ambalika sharma
Guest
«Reply #3 on: January 30, 2013, 12:23:34 PM »
Reply with quote
 love9 this poem..
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #4 on: January 30, 2013, 12:43:24 PM »
Reply with quote
 Applause
bahut khoob.
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #5 on: January 30, 2013, 01:18:52 PM »
Reply with quote
bahut hee khoobsoorat nazm kapil mubarak ho
Logged
roy
Guest
«Reply #6 on: January 30, 2013, 02:16:29 PM »
Reply with quote
wah wwaahhh
bohot khoobsorat
behad lubhavni shayri thi hriday sir

dheroon daad
Logged
RAJAN KONDAL
Guest
«Reply #7 on: January 30, 2013, 02:53:34 PM »
Reply with quote
wha ji Wha
So nice lines
Logged
mkv
Guest
«Reply #8 on: January 30, 2013, 03:52:38 PM »
Reply with quote
Behatreen peshkash..
Applause Applause Applause Applause
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #9 on: January 30, 2013, 07:02:06 PM »
Reply with quote
Kapil Jee Aadaab!


Kia baat hai janab, kia ishqiyaaN rog lag gaya hai aapko..
Khuda khair kare.. tongue3

Behad khoobsurat ahsaas O khayaal kahe hai aapne...
Sabhi khayaal kafi achche rahe.. Humari dheroN daad O
mubbarakbad kabul kijiye... Usual Smile

Likhate rahiye... aate rahiye...
Shaad O aabaad rahiye...

Khuda Hafez... Usual Smile                   
Logged
shara63
Guest
«Reply #10 on: January 31, 2013, 03:45:12 AM »
Reply with quote
All beautiful feelings & nice work! Clapping Smiley....Hriday ji mubaarak ho!!
Logged
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 3 hours and 24 minutes.
Posts: 14552
Member Since: Sep 2011


View Profile
«Reply #11 on: January 31, 2013, 04:17:08 AM »
Reply with quote
wah wah wah wah
Logged
@Heer@
Guest
«Reply #12 on: January 31, 2013, 05:01:18 AM »
Reply with quote
kyaa ye asar mohabbat kaa hai, yaa kuch aur hai aajkal, tum bhi kuch kuch meri tarhaa sochte hoge jaantaa hoon ki ye paagalpan hai meraa, ye sochnaa ki padh ke ise is pal tum muskuraa rahe hoge...


 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
amit_prakash_meet
Guest
«Reply #13 on: January 31, 2013, 07:35:44 AM »
Reply with quote
वाह क्या बात है ह्रदय जी बहुत खूब दिली मुबारकबाद और ढेरों दाद
Logged
khujli
Guest
«Reply #14 on: January 31, 2013, 08:03:04 AM »
Reply with quote
kal shaam yunhi chhat par baithe baithe
taaron ko dekhte huye ye khayaal aayaa...

shaayad kahin duur, apne chhat pe baithe
un taaron me tum mujhe dekh rahe hoge
dekh meraa chehraa tumhe dekhtaa huwaa
shayad tum wahaan sharmaa rahe hoge...

kabhi chhipaa rahe hoge apnaa chehraa, aur
kabhi chupke se mujhse nazar milaa rahe hoge
hogi tadap mujhe seene se lagaane ki, par
tadapte huye bhi tum muskuraa rahe hoge...

ye kaisi deewaangi hai, kaisaa nashaa hai
ki duur hoke bhi duur nahi hain ek pal
main tumhe mehsoos kar rahaa hoon yahaan
tum bhi mujhe wahaan mehsoos kar rahe hoge...

aisaa pehle nahi hotaa thaa kabhi mujhe
main paagal tha magar itnaa nahi thaa kabhi
jaantaa hoon tumhaari haalat bhi mujh jaisi hai
tum bhi kuch mujh jaise kaam kar rahe hoge...

kabhi baatein karte hoge apne ghar ki deewaaron se
kabhi yunhi akele baithe baithe kho jaate hoge
kabhi to khud ko sochte hoge baadalon ke bich tum
kabhi apne ki khwaab me aasmaan me udd rahe hoge...

kyaa ye asar mohabbat kaa hai, yaa kuch aur hai
aajkal, tum bhi kuch kuch meri tarhaa sochte hoge
jaantaa hoon ki ye paagalpan hai meraa, ye sochnaa
ki padh ke ise is pal tum muskuraa rahe hoge...


*****HRIDAY*****






 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 25, 2024, 07:05:24 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.94 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer