Tzaad
YaadoN kay bawandar say uth rahay haiN takhu_ul ki sarzmiN pe
Barq ban kay chamkta hai teri afsurda haNsi ka chehra
Honay lagi hai teray naaz-o-karam ki rimjhim
Meri takhleeq main wo pehlee barsaat ki saundhi mehak aa rahi hai
Tanha bahut tanha hai dil teray jaanay kay baad
SaMbhla nahi wajood shorisoN main bhi doob jaanay kay baad
Zamaana to samjhta hai isay shauq-e-fitoor mera
Har cheray main agar duNdta huiN teri hi parchaaiaN
Aur uqta kay uth aataa huiN phir apnay khyaaloN ki duniya main
Siyaah aur siyaah ho jaati hai phir mari tanhaaian
Ab tu bani hai kisi gai_r ki zindgi ka unwaaN
Ab teri raataiN uskee baahon main basi rahti haiN
Ab na us ulfat ki haqeeqat baqi
Phir bhi nadaan umeed dil main basi rahti hai
Poochta huin main aksar apni talkh raaton say
Ki kya hai aqaayud-e-mahabbat ki asaas?
Kya hai yeh rasoomaat maiN lipta ik shauq-bekaar?
Kya haiyeh ishq kay naam pay paltay huay pajmurda ahsaas?
Kya hai yeh mahabbat,yeh mahabbat ki tashheer
Kadam dar kadam samjautaoN ki besood ta_ameer
Kya hai yeh jism-o-rooh kay alag alag mayaar
Kya hai parastish pay palta yeh phalsafa-e-taqdeer?
Thahar ab zauq-etalab thahar
Aaj na yeh baat uthaa
Aaj ki raat barasta hai gujishta mahabbat ka jaadu
Aaj ki raat kuch na keh kuch na suna
----------------------------------------------------------
--- Brijinder “Sagar”
Auckland, New Zealand
Meaning;
Tzaad: Takraav
Takhu_ul; Kalpana(imagination) Barq: Bijli
Afsurda: Udaas Takhleeq: Rachna
ShorishoN: Kolahul (noise) Shauq-I-fitoor: Pagalpan ka shauq
Aqaaud-I-mahabat: Prem kay prati vishwaas Asaas: Neev(foundation)
Rasoomaat: RasmaiN Pajmurda : Admaray(half dead)
Tasheer: Vigyaapan(advertisment) Bessod: vyarth (useless)
Ta_ameer: Nirmaan( construction) Gujishta: Beeta hua kal(past)
wow..........very long and interesting janab......
nice share
thanxx alot
gud luck bye