<>*Wo Baat Nahin*<>

by *KasaK*....Dil Ki on August 15, 2010, 02:52:55 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1672 times)
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
Reply with quote
<>*Wo Baat Nahin*<>

Banai ek tasveer kuch lakeer khinch k
Kuch apni kalpana k rang bhar ke

Tujhe utaarna chaha maine kaagaz pe apne rang bharkar
Par meri tasveer me kahin bhi yaar wo baat nahin

Wo baat jo teri muskurahut me hai
Wo baat jo teri aankhon ki shararat me hai

Wo baat jo tere har andaaz me hain
Wo baat jo har ek  teri baat me hai

Wo rang tere labon ka wo shokhi nazar ki
Wo itrana  jab main manaun tujhe ruth kar

Wo gusse se tamtamata chehra tera
Ufffff wo pyaar se bheegi aankhein teri

Wo baahein jo thaam le mujhe girne se
Wo  kadam jo badhte mujhe pane ko hi

Kahin kuch bhi to na utaar pai main apne rangon me
Kaise main samaun ek pyaar k samandar ko ek tasveer me.. Huh?
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
yeh baat samjh mai aye nahin by ~*heartbreaker*~ in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
............KOI BAAT NAHIN by Raj_tanha in Shayri-E-Dard
Koi baat nahin by popat in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Shikwa Nahin Ik Baat Hai by syednaami in Shayeri for Dard -e- Bewafai
BAS KI BAAT NAHIN by BANSI DHAMEJA in Share:Miscellaneous Shayari « 1 2  All »
KOYAL46
Guest
«Reply #1 on: August 15, 2010, 03:31:17 PM »
Reply with quote
Kasak -di aap ki likhne ki speed itnee tej hai na,,,,,mere tariff k shab...itne fast nikal nahi paate....
kya kahu you are" kavita-e- aazam"....... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


<>*Wo Baat Nahin*<>

Banai ek tasveer kuch lakeer khinch k
Kuch apni kalpana k rang bhar ke

Tujhe utaarna chaha maine kaagaz pe apne rang bharkar
Par meri tasveer me kahin bhi yaar wo baat nahin

Wo baat jo teri muskurahut me hai
Wo baat jo teri aankhon ki shararat me hai

Wo baat jo tere har andaaz me hain
Wo baat jo har ek  teri baat me hai

Wo rang tere labon ka wo shokhi nazar ki
Wo itrana  jab main manaun tujhe ruth kar

Wo gusse se tamtamata chehra tera
Ufffff wo pyaar se bheegi aankhein teri

Wo baahein jo thaam le mujhe girne se
Wo  kadam jo badhte mujhe pane ko hi

Kahin kuch bhi to na utaar pai main apne rangon me
Kaise main samaun ek pyaar k samandar ko ek tasveer me.. Huh?


Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #2 on: August 15, 2010, 03:37:33 PM »
Reply with quote
Wah Kasak Jee ........... Kia tarif ke phool bandhe hai...
SahiN hai tasveer meiN woh baat kahaaN rahti hai, Jo baat ruberu hone meiN hai..... Usual Smile

Bahut khoob likha hai aapne...... Daad

Likhati rahiye....
Khush rahiye.....

Baad tere jaane zahen me teri guftagu rah gayi
Tu to na raha per teri tasveer ruberu rah gayi
[/color]
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #3 on: August 15, 2010, 05:01:31 PM »
Reply with quote
Beintehaan Khubsoorat Ehasaas Yahan Pesh Kiye Hain Anamika Ji.. Pyaar bhare Jazzbaaton Ko Alfaazon me Behad khubsoorati se Utara hai.. Har ek Jumla apne Aap Me Mohabbat Bayan kar raha Hai.. Bahut Khooooob.. Applause Applause

Daad Kubool Karen..  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley



**~** Mann **~**
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #4 on: August 15, 2010, 05:08:56 PM »
Reply with quote
In malaon ko itna khoobsoorti se piroti ho aur itna jaldi se
ki bas ham aatamvibhor ho jaate hai pa.dhkar

Wonderful creation, Just too good
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #5 on: August 15, 2010, 07:42:02 PM »
Reply with quote
Kasak -di aap ki likhne ki speed itnee tej hai na,,,,,mere tariff k shab...itne fast nikal nahi paate....
kya kahu you are" kavita-e- aazam"....... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley





koyal tumhari taaliyon ki gadgadahut kanon me gunjj rahi hai.......
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #6 on: August 15, 2010, 07:43:20 PM »
Reply with quote
Wah Kasak Jee ........... Kia tarif ke phool bandhe hai...
SahiN hai tasveer meiN woh baat kahaaN rahti hai, Jo baat ruberu hone meiN hai..... Usual Smile

Bahut khoob likha hai aapne...... Daad

Likhati rahiye....
Khush rahiye.....

Baad tere jaane zahen me teri guftagu rah gayi
Tu to na raha per teri tasveer ruberu rah gayi
[/color]

bht pyara sher kaha hai aapne parwaz ji.....dil khush khush ho gaya
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #7 on: August 15, 2010, 07:45:01 PM »
Reply with quote
Beintehaan Khubsoorat Ehasaas Yahan Pesh Kiye Hain Anamika Ji.. Pyaar bhare Jazzbaaton Ko Alfaazon me Behad khubsoorati se Utara hai.. Har ek Jumla apne Aap Me Mohabbat Bayan kar raha Hai.. Bahut Khooooob.. Applause Applause

Daad Kubool Karen..  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley



**~** Mann **~**

mann jiii bht bht bht shukriya k aapne meri is koshish ko pasand kiya......wakai aapke replies ka wait mujhe hamesha rehta hai...

thnx for appreciating my work....
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #8 on: August 15, 2010, 07:45:47 PM »
Reply with quote
In malaon ko itna khoobsoorti se piriti ho aur itna jaldi se
ki bas ham aatamvibhor ho jaate hai pa.dhkar

Wonderful creation, Just too good

shukriya shukriya shukriya sir ji.....
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #9 on: August 15, 2010, 07:52:59 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bahut pyaari kavita likhi hai aapne Kasak ji...!!!
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #10 on: August 15, 2010, 07:55:32 PM »
Reply with quote
sirf taaliyan ......Huh???
iska reply aapke style me hi dijiyega...

aapke aise replies achche nahn lagte hume...
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #11 on: August 15, 2010, 09:26:24 PM »
Reply with quote
fir ye lijiye...

leke laali us suraj se main tere hothon ko laal karta hoon,
leke paani sagar se main tere aankhon ko giley karta hoon,
leke shyaam rang baadal se teri aankhon pe kaajal lagaata hoon,
barish ki boondon se main tere aankhon ko sajaata hoon,
aankhein band karke main tere pyaar ki moorat banaata hoon,
apne khwaabon me main teri pyaari si surat sajaata hoon,

chaand ki chaandni se tere maathe ki bindi sajaata hoon,
indradhanush ke har rang se main tujhko yun nehlaata hoon,
os ki boondon se tere hothon ko main bhigota hoon,
kamal ke phoolon se main tere gaalon ko rangta hoon,
kuch aise hi pyaari si main teri moorat banaata hoon,
apne khwaabon me main teri pyaari surat sajaata hoon,

bijli ki har chamak se tere hothon ki muskaan sajaata hoon,
har raat khwaabon me apne main tujhko gale lagaata hoon,
apne hi khwaabon me main tere rang me yun rang jaata hoon,
teri chaahat ke bandhan se main tujhse hi bandh jaata hoon,
har raat khwaab me main teri pyaar ki moorat banaata hoon,
khul jaati jab neend hai meri, main mann hi mann pachhtaata hoon...
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #12 on: August 16, 2010, 03:43:39 AM »
Reply with quote
jab itni pyari murat ho to kavita kaise na itni pyari ho klaskar ji..... icon_flower
hum to aapki pyari si murat aur iss pyari si uski manmohak tareef pe...mugdh hoagye ji....na jane kitni bar padh li ye kavita humne... icon_thumleft
its just wowww...... love4
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #13 on: August 16, 2010, 04:02:06 AM »
Reply with quote
fir ye lijiye...

leke laali us suraj se main tere hothon ko laal karta hoon,
leke paani sagar se main tere aankhon ko giley karta hoon,
leke shyaam rang baadal se teri aankhon pe kaajal lagaata hoon,
barish ki boondon se main tere aankhon ko sajaata hoon,
aankhein band karke main tere pyaar ki moorat banaata hoon,
apne khwaabon me main teri pyaari si surat sajaata hoon,

chaand ki chaandni se tere maathe ki bindi sajaata hoon,
indradhanush ke har rang se main tujhko yun nehlaata hoon,
os ki boondon se tere hothon ko main bhigota hoon,
kamal ke phoolon se main tere gaalon ko rangta hoon,
kuch aise hi pyaari si main teri moorat banaata hoon,
apne khwaabon me main teri pyaari surat sajaata hoon,

bijli ki har chamak se tere hothon ki muskaan sajaata hoon,
har raat khwaabon me apne main tujhko gale lagaata hoon,
apne hi khwaabon me main tere rang me yun rang jaata hoon,
teri chaahat ke bandhan se main tujhse hi bandh jaata hoon,
har raat khwaab me main teri pyaar ki moorat banaata hoon,
khul jaati jab neend hai meri, main mann hi mann pachhtaata hoon...


Wah Kapil, Kamaal ki peshkash hai aap ki
Logged
Matrix Guy
Guest
«Reply #14 on: August 16, 2010, 01:10:53 PM »
Reply with quote
kasak ji........

apne jo tasveer banayi he wo mene to dekhi nahi ......

but apne kaha ki usme wo baat nahi.........but apne jo likha he usme wo sab baat he jo us tasveer me apne chaha so i sure ki us tasveer me wo sab baat hogi hi.....kyuki aap banaye aur usme wo baat na ho ye hona possible nahi lagta.........

bht hi pyari poetry ...bht hi sidhe saral shabdo me likhi hui........

eternal feelings is more impresive then external anger....he na kasak ji kya aap bhi manti he ye Huh?

apki is post me eternal feeilngs itni aachi he ki apka anger "wo baat nahi" uske agey nahi tik raha......u r ultimate
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 27, 2024, 05:08:28 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.239 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer