**Woh ek ladki** by Rahim

by dead heart on July 03, 2009, 09:14:56 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1569 times)
dead heart
Guest
Reply with quote
Ek aur nazm mohobat ke naam aur uss ajnabi ladki ke naam jisne Rahim ko jeene ki wajah di hai...Jeena sikhaya hai aur mohobat par likhne ka moka diya hai...Pasand aye toh nawaz dena...

Woh ek ladki

Woh ek ladki jo mujhe raaton ko sone nahin deti hai,
Jab dekho tab meri hi ghazlein gungunati rehti hai,
Samjhata hoon apne dil ko ke woh ek ehsaas hai aur kuch nahin,
Par dil toh yeh kehta rehta hai 'woh ek ladki'...

Woh ek ladki jo mujhe mohobat karna seekhati hai,
Har baar hawa bankar mere jism ko choom jati hai,
Usse dekh sakoon isse pehle hi sharma kar bhagjati hai,
Aur dil yehi kehta rehjata hai 'woh ek ladki'...

Woh ek ladki jo apno saanson se mohobat ka izhar karjati hai,
Sagar ke tale basi ret par apna naam likh jati hai,
Padne jata hoon toh lehron ko toofani kar jati hai,

Woh ek ladki jo mujhe uski jism ka haqdaar batati hai,
Har roz apni rooh ko mere dil ke angaan main sulati hai,
Mere askhon ko apne labon se sukhati hai,

Woh ek ladki jo meri dhadkano ko mere dil se choorati hai,
Mere adhure lamhon ko apni saanson ki mahek se poora karjati hai,
Har mulaqat main 'Rahim' ki zindagi banti jati hai,

~Rahim~
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
**Uss ajnabi se mujhe pyaar hai** by Rahim by dead heart in Shayri for Khumar -e- Ishq
**Facts** by Rahim by dead heart in Quotable Phrase and Quotes
**Tamanaein nahin hoti** by Rahim by dead heart in Miscellaneous Shayri
**Pyaasa rehgaya main** by Rahim by dead heart in Miscellaneous Shayri
**Log badalte jaa rahe hai** by Rahim by dead heart in Miscellaneous Shayri
tanveerkumar
Guest
«Reply #1 on: July 04, 2009, 04:40:08 AM »
Reply with quote
Ek aur nazm mohobat ke naam aur uss ajnabi ladki ke naam jisne Rahim ko jeene ki wajah di hai...Jeena sikhaya hai aur mohobat par likhne ka moka diya hai...Pasand aye toh nawaz dena...

Woh ek ladki

Woh ek ladki jo mujhe raaton ko sone nahin deti hai,
Jab dekho tab meri hi ghazlein gungunati rehti hai,
Samjhata hoon apne dil ko ke woh ek ehsaas hai aur kuch nahin,
Par dil toh yeh kehta rehta hai 'woh ek ladki'...

Woh ek ladki jo mujhe mohobat karna seekhati hai,
Har baar hawa bankar mere jism ko choom jati hai,
Usse dekh sakoon isse pehle hi sharma kar bhagjati hai,
Aur dil yehi kehta rehjata hai 'woh ek ladki'...

Woh ek ladki jo apno saanson se mohobat ka izhar karjati hai,
Sagar ke tale basi ret par apna naam likh jati hai,
Padne jata hoon toh lehron ko toofani kar jati hai,
Aur dil yehi kehta rehjata hai 'woh ek ladki'...

Woh ek ladki jo mujhe uski jism ka haqdaar batati hai,
Har roz apni rooh ko mere dil ke angaan main sulati hai,
Mere askhon ko apne labon se sukhati hai,
Aur dil yehi kehta rehjata hai 'woh ek ladki'...

Woh ek ladki jo meri dhadkano ko mere dil se choorati hai,
Mere adhure lamhon ko apni saanson ki mahek se poora karjati hai,
Har mulaqat main 'Rahim' ki zindagi banti jati hai,
Par dil toh yeh kehta rehta hai 'woh ek ladki'...

~Rahim~
Logged
superspawn10
Guest
«Reply #2 on: July 04, 2009, 08:03:25 AM »
Reply with quote
Bohot khoob rahim bhai... Clapping Smiley
Logged
cara
Guest
«Reply #3 on: July 04, 2009, 10:38:16 AM »
Reply with quote
bhut khub ...rahimji....

meri har raaton mein,meri har baaton mein,
meri har saanson mein, raheti hai WOH EK LADKI.
kab haqeekat mein,kab meri bahoon mein,
dulan bankar aayegi,WOH EK LADKI.
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #4 on: July 04, 2009, 12:48:47 PM »
Reply with quote
bahut khub rahim ji........bahut sundarta k sath likha hai aapne
 Applause Applause Applause Applause
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #5 on: July 04, 2009, 05:16:10 PM »
Reply with quote
Kya Baat hai Rahim Bhai.. Aaj Kal Ladkiyon Par Bahut Likh rahe ho.. Winking Laughing hard Laughing hard

Waqai bahut Hi Khoooooob aur Mohabbat se Bhari rachna Pesh ki hai Rahim mere dost.. Lagta hai Ab to is Ajnabi Ladki ko aapke Liye Dhoondna hi padega.. Hahaha

Bahut hi Umda likha hai dear.. Daaad Kubool karen..  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

**~** Mann **~**
Logged
aaina
Guest
«Reply #6 on: July 05, 2009, 04:59:20 AM »
Reply with quote
Ek aur nazm mohobat ke naam aur uss ajnabi ladki ke naam jisne Rahim ko jeene ki wajah di hai...Jeena sikhaya hai aur mohobat par likhne ka moka diya hai...Pasand aye toh nawaz dena...

Woh ek ladki

Woh ek ladki jo mujhe raaton ko sone nahin deti hai,
Jab dekho tab meri hi ghazlein gungunati rehti hai,
Samjhata hoon apne dil ko ke woh ek ehsaas hai aur kuch nahin,
Par dil toh yeh kehta rehta hai 'woh ek ladki'...

Woh ek ladki jo mujhe mohobat karna seekhati hai,
Har baar hawa bankar mere jism ko choom jati hai,
Usse dekh sakoon isse pehle hi sharma kar bhagjati hai,
Aur dil yehi kehta rehjata hai 'woh ek ladki'...

Woh ek ladki jo apno saanson se mohobat ka izhar karjati hai,
Sagar ke tale basi ret par apna naam likh jati hai,
Padne jata hoon toh lehron ko toofani kar jati hai,
Aur dil yehi kehta rehjata hai 'woh ek ladki'...

Woh ek ladki jo mujhe uski jism ka haqdaar batati hai,
Har roz apni rooh ko mere dil ke angaan main sulati hai,
Mere askhon ko apne labon se sukhati hai,
Aur dil yehi kehta rehjata hai 'woh ek ladki'...

Woh ek ladki jo meri dhadkano ko mere dil se choorati hai,
Mere adhure lamhon ko apni saanson ki mahek se poora karjati hai,
Har mulaqat main 'Rahim' ki zindagi banti jati hai,
Par dil toh yeh kehta rehta hai 'woh ek ladki'...

~Rahim~
mashallah rahim bhut hi khoob dear daad hazir hai aapki is paishkash par qubool karaen
Logged
dead heart
Guest
«Reply #7 on: July 07, 2009, 12:22:52 PM »
Reply with quote
Bohot khoob rahim bhai... Clapping Smiley
bahut khub rahim ji........bahut sundarta k sath likha hai aapne
 Applause Applause Applause Applause
Shukriya Ahamad Saheb aur Pooja jee...
Logged
dead heart
Guest
«Reply #8 on: July 07, 2009, 12:30:22 PM »
Reply with quote
bhut khub ...rahimji....

meri har raaton mein,meri har baaton mein,
meri har saanson mein, raheti hai WOH EK LADKI.
kab haqeekat mein,kab meri bahoon mein,
dulan bankar aayegi,WOH EK LADKI.

Shukriya Cara jee...Aapne bhi behad acha likha hai...

Kya Baat hai Rahim Bhai.. Aaj Kal Ladkiyon Par Bahut Likh rahe ho.. Winking Laughing hard Laughing hard

Waqai bahut Hi Khoooooob aur Mohabbat se Bhari rachna Pesh ki hai Rahim mere dost.. Lagta hai Ab to is Ajnabi Ladki ko aapke Liye Dhoondna hi padega.. Hahaha

Bahut hi Umda likha hai dear.. Daaad Kubool karen..  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

**~** Mann **~**
Haan Vikas bhaijan aaj kal ladkiyon pe kuch zada hi likh raha hoon...Shayad dil phir se unki rangeen galyion main gum raha hai...Hmm jo rehti hai Rahim ke khayalon main, dhadkano main, sapno main usse yeh dard bhari zindagi main kaise dhundoge yaar...Daad kabool hai dost...

mashallah rahim bhut hi khoob dear daad hazir hai aapki is paishkash par qubool karaen
Daad kabool hai Aslam bhai
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #9 on: November 14, 2009, 10:32:55 PM »
Reply with quote
Very good one indeed Rahim Ji
Logged
dead heart
Guest
«Reply #10 on: November 15, 2009, 03:52:23 PM »
Reply with quote
Bahaut shukriya Rajesh jee
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 25, 2024, 01:38:49 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.147 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer