Ye khamoshiyan... Intezar !

by Intezar on November 05, 2011, 07:13:13 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 3098 times)
Intezar
Guest
Reply with quote


Pighalti khushbu tere hontho se jo aati rahi
Tapti saanse teri, jism ko raat bhar jalaati rahi

Main tha tujhse lipta hua tere daaman ki tarah
Teri bechain aahen mujhe aur kareeb bulaati rahi

Kaanpte rahe hontho par kuch armaan ankahe se
Ye khamoshiya mujhe, teri dhadkane sunaati rahi

Hum the mashroof ek dusre ki panaahone me
Kuch Bheege se khwaab ye raat bhi sajaati rahi

Nahi mit-te wo daag jo tumne diye the hontho par
Barso ye dooriya hontho se wo nishaan mitaati rahi

Khushbu teri rawaan hai silwato me ab bhi Intezar
Kyun in raaton ki siskiyan roz mujhe jagaati rahi… !!!


Shukriya
Intezar !

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Khamoshiyan teri ... by honeyrose in Shayri for Khumar -e- Ishq
KHAMOSHIYAN by nath in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Meri Khamoshiyan.....!! by agp in Other Languages
kiske Intezar me usne chiraag jalaaye bujhaaye... Intezar ! by Intezar in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Meri Khamoshiyan by suman59 in Share:Miscellaneous Shayari
ParwaaZ
Guest
«Reply #1 on: November 06, 2011, 05:39:57 PM »
Reply with quote
Intezar Sahaab Aadaab!

janab bade roomaani kalaam kah raheN hai aajkal
Sab khairiyat toH hai naa Winking Chaliye shukra hai
ke woH INTEZAR to khatam hua jo dard meiN lipte
ahsas hi bayaaN karta tha.. Usual Smile


Kafi achchi kalaam kahi hai janab.. Ahsaas O khayaal
behad khoob rahe aur piroya bhi khoob aapne.. Usual Smile

humari daad O mubarakbad kabul kijiye.. Usual Smile
Par janab lafzi khazanaa kam pad gaya aapke is kalaam
meiN.. aisa hume laga yaa kahiye sirf hoNtoN tak hi aapke
khayaal simat aaye.. Janab husn ki tareef meiN kainaat kam
pad jati hai shayad isliye hume aisa laga ho... Usual Smile

Wel aapki is khubsurat kalaam par phir se dili daad O mubark
bad kabul kijiye.. Aur Eid uz Zohaa ki dili mubarakbad .. Usual Smile

Allaah hum sab ko apne raham O karam se har pal nawaaze
khush O aabaad rahiye.. Khuda Hafez.. Usual Smile
   

Logged
Intezar
Guest
«Reply #2 on: November 06, 2011, 05:53:27 PM »
Reply with quote
Shukriya Parwaaz sahab... aapne wakt diya hume aur aapne pasand kiya bahut bahut shukriya aapka... aapko bhi Eid ki dhero mubarakbaad... saath rahiyega achha lagta hai...

Intezar !

Intezar Sahaab Aadaab!

janab bade roomaani kalaam kah raheN hai aajkal
Sab khairiyat toH hai naa Winking Chaliye shukra hai
ke woH INTEZAR to khatam hua jo dard meiN lipte
ahsas hi bayaaN karta tha.. Usual Smile


Kafi achchi kalaam kahi hai janab.. Ahsaas O khayaal
behad khoob rahe aur piroya bhi khoob aapne.. Usual Smile

humari daad O mubarakbad kabul kijiye.. Usual Smile
Par janab lafzi khazanaa kam pad gaya aapke is kalaam
meiN.. aisa hume laga yaa kahiye sirf hoNtoN tak hi aapke
khayaal simat aaye.. Janab husn ki tareef meiN kainaat kam
pad jati hai shayad isliye hume aisa laga ho... Usual Smile

Wel aapki is khubsurat kalaam par phir se dili daad O mubark
bad kabul kijiye.. Aur Eid uz Zohaa ki dili mubarakbad .. Usual Smile

Allaah hum sab ko apne raham O karam se har pal nawaaze
khush O aabaad rahiye.. Khuda Hafez.. Usual Smile
   


Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #3 on: November 08, 2011, 10:24:35 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause intezar ji is behtreen peshkash ke liye dili mubaarakbaad
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 23, 2024, 12:53:52 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.092 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer