Ye raat ki khaamoshi... Intezar !

by Intezar on November 23, 2010, 06:38:49 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1659 times)
Intezar
Guest
Reply with quote


     for someone special...

   Jal jaaye ye shamma is raat ki, phir koi lau na jalaao tum
   Ki ye garmi teri saanson ki mujhe bekhud kiye jaati hai

   Rakh apni aagosh mein kuch is tarah ki main jaa na saku
   Ki tujhse bichhad kar zindagi ashko ke ghoont piye jaati hai

   Ye raat ki khamoshi bhi kuch kehti hai suno tum gaur se
   Kuch tang lafzon mein bayaan karte hontho ko siye jaati hai

   Goonzte hain san.naate bhi is khamoshi me magar dekho
   Ki kis tarah ye teri siskiyaan hume khaamosh kiye jaati hai

   chah kar bi jo tere lab na kar sake baya.n bheegte ehsaas ko  
   Ki ab tere hontho ki harkat mujhe tujhme qaid kiye jaati hai

   Aur jagne do mujhe kuch raat, sehar hone me abhi der hai
   Waise to har bar ye raat mujhe apni aagosh me liye jaati hai

   Kuch ankahe ehsaas jee lene do mujhe aaj jab tak ye raat hai
   Ki phir ye roshni to mujhe ek benaam sa dard diye jaati hai

   ab main simat aaya hu agar teri baahon mein to samet lo aaj
   Ki meri ye zindagi teri aagosh ke ‘Intezar’ mein jiye jaati hai… !


                                           
                                               Shukriya
                                               Intezar !
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #1 on: November 23, 2010, 06:40:29 PM »
Reply with quote
wahhhhhhhhhhhhh kyaa baat hai intezaar ji........
dil me hulchul macha di aapne....
kya khubb likha hai sach me.......
maza aagaya padhke......
 Applause Applause Applause Applause

kuch iske jawab me likha hai..aap jaisa nahin par kuch chhoti si koshish..
dekhiye....

Meri garm saanson se aanch tujh tak aati hai
Kuch to hai jo tujhe mujh tak har bat liye aati hai

Aake chhup ja mere aanchal me tu kuch iss tarah
K tujhe meri baahein ab paas apne bulati hain

Sun le jo gunj raha hai iss sannate me har taraf
Meri dhadkan ab ye geet naye tujhe sunati hai

Na rakhna ab tu khud ko kabhi qaid kisiki yaadon me
K teri siskiyon ki awaaz hume bhi aksar rula jati hai

Labon ki khamoshi ko aksar lub hi samjh lete hain
Suno gaur se ye labon ki harkat kya sur naye sajati hai

Ehsaason k samandar me doobte utarte hue hi dekho
Ye lambi kathin zindagi kuch palon me hi guzar jati hai

Reh reh k uthti rehti hai jo kasak tere dil me kahin
Usi k ehsaas se dekho zindagi mod naye liye jati hai…!!!
Logged
Intezar
Guest
«Reply #2 on: November 23, 2010, 06:45:53 PM »
Reply with quote
shukriya Kasak ji dil se bahut bahut shukirya... !

Intezar !
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 24, 2024, 10:52:28 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.102 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer