aaj tak usi raah par... Intezar !

by Intezar on December 28, 2010, 06:46:24 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 1853 times)
Intezar
Guest


Kabi tanha hokar mujhsa dekh tu bhi ki ye kya silsila hai
Ab hua hai dard to doob kar dekh isme ki mujhe kya mila hai

Main to har baar karwat badalta raha raato peher jaag kar
din ke ujaalo mein bhi is dil ko kahin chain kahaan mila hai

dhoondta raha main tujhko in fizaaon me kahin door jaakar
lekin tera wajood to mujhe har baar meri saanso me mila hai

Tujhe mehsoos main apne rukh par kahin kar liya karta hun
Tu kabhi mere zehen to kabhi toote dil ke raasto par mila hai

uski aadat to rahi hai mujhe har baar dard de jaane ki magar
jaane aaj kaise wo us raah par aansu baahata is baar mila hai

door kaheen kinaaron se dekhte the kashtiyaan tabaah hote
aaj ye dil khud gehraayi mein utar kar tufaan se jaa mila hai

ab dekhiye kya ki kya hai haalat baad lutne ki tabaahi se aur
is baar to apna hi koi yahaan khanzar liye is mod par mila hai

jahaan tum kar gaye ahad milne ka mujhse us roz raahon par
aaj tak usi raah par khada teri raah takta tera Intezar mila hai…!



Shukriya
Intezar !

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
RAAH by srikant in Shayri-E-Dard
Na ab wo raah hai.....na ab wo hum....!! by Talat in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
Raah by daljeet_faqeer in Shayeri for Dard -e- Bewafai
RAAH by Rakeshanub in Shayri for Khumar -e- Ishq
intezar ke haalaat par… Intezar ! by Intezar in Shayri-E-Dard
killbill
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
24 days, 7 hours and 41 minutes.
Posts: 2130
Member Since: Oct 2010


View Profile
«Reply #1 on: December 28, 2010, 07:16:23 PM »
wah bhai Intezaar--
kaafi dino baad aye aur kya aye janaab.
iss nachij se daad le lo bhai.
khus raho.
Logged
Intezar
Guest
«Reply #2 on: December 28, 2010, 07:33:27 PM »
KB ji shukriya aap ka bahut bahut shukriya... hume yaad rakhne ka... aur khud ko nachij keh kar dil na dukhaayie... bhai aap log ki wajah se hi to haunsla milta hai... aap ka phir see ek baar shukriya...

Intezar !


wah bhai Intezaar--
kaafi dino baad aye aur kya aye janaab.
iss nachij se daad le lo bhai.
khus raho.

Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #3 on: December 28, 2010, 07:37:15 PM »
Waah Bhai,.
Kya Khoob Kalaam hai, Good Job,.
Yunhi Likhte Rehna,.

May Allah Bless You All
Logged
Intezar
Guest
«Reply #4 on: December 28, 2010, 07:50:39 PM »
Shukriya Ajeem bhai... aap ki nazar padi bahut bahut shukriya...

Intezar !

Waah Bhai,.
Kya Khoob Kalaam hai, Good Job,.
Yunhi Likhte Rehna,.

May Allah Bless You All
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #5 on: December 28, 2010, 08:00:15 PM »
Shukriya Ajeem bhai... aap ki nazar padi bahut bahut shukriya...

Intezar !


Dil Se Jo Baatein Nikli Hain, Unhe Kaise Na Dekhta Main, Bohat Khoob Likha Hai Bhai,.
Logged
Intezar
Guest
«Reply #6 on: December 28, 2010, 08:02:24 PM »
Shukriya Azeem bhai har baar aapka bahut bahut shukriya...

Intezar !
Dil Se Jo Baatein Nikli Hain, Unhe Kaise Na Dekhta Main, Bohat Khoob Likha Hai Bhai,.
Logged
dead heart
Guest
«Reply #7 on: December 28, 2010, 08:13:14 PM »
Bahaut bahaut bahaut aur bahaut khoob Intezar jee..
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Khush rahiye..!
Logged
Intezar
Guest
«Reply #8 on: December 28, 2010, 08:15:43 PM »
Shukriya Rahim bhai aapka bahut bahut shukriya... har baar saath dene ka har baar shukriya...

Intezar !

Bahaut bahaut bahaut aur bahaut khoob Intezar jee..
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Khush rahiye..!
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #9 on: December 29, 2010, 11:29:23 AM »
tareef karne shabd nahin mile to kuch likh diya intezar ji...
umeed karti hun pasand ayega...

kehte rahe k tum aaj bhi usi raah par khade ho
kal guzri wahan se to bas sirf mera saay mila hai

kyun dhundhti rahi hun main tumhe har lamha lamha
jab tu mujhe hamesha apni likhe har ek gazal me mila hai

chaahun na chahun main tujhe ye baat aur hai yaar
kasak k dil me to pyaar tere liye beshumaar milaa hai...!!!
Logged
manjum
Guest
«Reply #10 on: December 29, 2010, 11:48:56 AM »
bahut bahut badiya..Intezarji..
kya khoob kaha hai...

daad kubool karen

Logged
Intezar
Guest
«Reply #11 on: December 29, 2010, 11:53:37 AM »
manjum ji humne har baat kubul ki... aapka bahut bahut shukriya ji... saath rehiye... likhte rehiye...

Intezar !

bahut bahut badiya..Intezarji..
kya khoob kaha hai...

daad kubool karen


Logged
Intezar
Guest
«Reply #12 on: December 29, 2010, 12:01:12 PM »
lagta hai haalat ek si hogayi hai lafz bhi nahin milte ab tareef ko aapki Kasak ji...

tu beshak bhool gaya hoga mujhse juda hokar
mai tera saaya hi hu shayad tujhe aitbaar nahin

ab aur kya paaoge guzri raahon par laut kar
mere tabaah hone se mujhe bhi koi inkaar nahin

jeete ji tum mujhse kabhi mil na sake Kasak
par jo mar ki bhi na kare wo tera Intezar nahin... !

Intezar !


tareef karne shabd nahin mile to kuch likh diya intezar ji...
umeed karti hun pasand ayega...

kehte rahe k tum aaj bhi usi raah par khade ho
kal guzri wahan se to bas sirf mera saay mila hai

kyun dhundhti rahi hun main tumhe har lamha lamha
jab tu mujhe hamesha apni likhe har ek gazal me mila hai

chaahun na chahun main tujhe ye baat aur hai yaar
kasak k dil me to pyaar tere liye beshumaar milaa hai...!!!
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #13 on: December 29, 2010, 01:33:48 PM »


Kabi tanha hokar mujhsa dekh tu bhi ki ye kya silsila hai
Ab hua hai dard to doob kar dekh isme ki mujhe kya mila hai

Main to har baar karwat badalta raha raato peher jaag kar
din ke ujaalo mein bhi is dil ko kahin chain kahaan mila hai

dhoondta raha main tujhko in fizaaon me kahin door jaakar
lekin tera wajood to mujhe har baar meri saanso me mila hai

Tujhe mehsoos main apne rukh par kahin kar liya karta hun
Tu kabhi mere zehen to kabhi toote dil ke raasto par mila hai

uski aadat to rahi hai mujhe har baar dard de jaane ki magar
jaane aaj kaise wo us raah par aansu baahata is baar mila hai

door kaheen kinaaron se dekhte the kashtiyaan tabaah hote
aaj ye dil khud gehraayi mein utar kar tufaan se jaa mila hai

ab dekhiye kya ki kya hai haalat baad lutne ki tabaahi se aur
is baar to apna hi koi yahaan khanzar liye is mod par mila hai

jahaan tum kar gaye ahad milne ka mujhse us roz raahon par
aaj tak usi raah par khada teri raah takta tera Intezar mila hai…!



Shukriya
Intezar !


Bahut khoob intezar ji kahin na kahin apki is peshkash mein merre dil ka dard nazar aaya mujhe...
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #14 on: December 29, 2010, 02:23:22 PM »
Mast....mastammmmmm kavita hai aapki INTEZAR JI..... Applause Applause Applause Applause Applause

Dard ko mere tu bhi mehsoos kar,kyu mujhe tujhse gilaa hai
Tu bhee batta jaa kar mujhse durr tujhko kya sukoon mila hai

Mujhko beech majhdhaar mai tune jalim kyu chhod diya hai
Sach Battanaa kinaaron par reh tujhe bhee kya kuchh mila hai



Kabi tanha hokar mujhsa dekh tu bhi ki ye kya silsila hai
Ab hua hai dard to doob kar dekh isme ki mujhe kya mila hai

Main to har baar karwat badalta raha raato peher jaag kar
din ke ujaalo mein bhi is dil ko kahin chain kahaan mila hai

dhoondta raha main tujhko in fizaaon me kahin door jaakar
lekin tera wajood to mujhe har baar meri saanso me mila hai

Tujhe mehsoos main apne rukh par kahin kar liya karta hun
Tu kabhi mere zehen to kabhi toote dil ke raasto par mila hai

uski aadat to rahi hai mujhe har baar dard de jaane ki magar
jaane aaj kaise wo us raah par aansu baahata is baar mila hai

door kaheen kinaaron se dekhte the kashtiyaan tabaah hote
aaj ye dil khud gehraayi mein utar kar tufaan se jaa mila hai

ab dekhiye kya ki kya hai haalat baad lutne ki tabaahi se aur
is baar to apna hi koi yahaan khanzar liye is mod par mila hai

jahaan tum kar gaye ahad milne ka mujhse us roz raahon par
aaj tak usi raah par khada teri raah takta tera Intezar mila hai…!



Shukriya
Intezar !

Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 25, 2024, 06:24:06 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.171 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer