Akela Hoon Main

by Mohammad Touhid on May 05, 2010, 06:31:45 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 45330 times)
Mohammad Touhid
Umda Shayar
*

Rau: 35
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
38 days, 12 hours and 35 minutes.

'I' 'Luv' d Way 'U' 'Forget' Me..!.!

Posts: 7160
Member Since: Aug 2009


View Profile

sabkuchh hai mere paas fir bhi akela hoon main,
khatm ho gayi sari pyaas fir bhi akela hoon main.,
zindagi ki jaddo jahad se ladkar jeete hai hum,
mehfil ki roushni to hai fir bhi akela hoon main.,

bachpan ke natkhat din ab yaad hi nahi mujhe,
ki koi dost hamara bhi raha hoga ush waqt.,
akele hi tanhaiyo me batein kiye hai khuda se,
aaj rehmat hai khuda ki fir bhi akela hoon main.,

ek ajnabi halaat-e-manjar se meri zindagi ujad gayi,
bahut chhota tha mai jab meri maa duniya chhod gayi.,
uski yaado ki tapish har pal mujhe roushni deti hai,
uska hath hai mere sar pe magar haqiqat me fir bhi akela hoon main.,

apne maa baap ka saya to dekha hi nahi apne aankho se,
puchhta hu aaj bhi kyo di hume ye saza khuda ne.,
kya itna bada gunah tha mera ke chhod diya mujhe sabne,
jahan me daulat hai sohrat hai fir bhi akela hoon main.,

jab naraj hota hoon to koi manane wala nahi hai,
jab khush hota hoon to koi jatane wala nahi hai.,
kab tak ish duniya me mar-mar kar jeete rahenge hum,
bhej de mere maula kisi ko bahut akela hoon main.,

intezar hai uska ki koi hamare paas bhi aayega,
mere khuda ki nazre-inayat mujhpe bhi kabhi hogi.,
zindagi se sabkuchh jeete baithe hai bas teri kami hai.,
bhej de mere maula kisi ko bahut akela hoon main.,
********BAHUT AKELA HOON MAIN********

DOSTO, akelapan bahut hi buri chiz hai ye hume bure khayalato se ru-ba-ru karwati hai....isiliye koshis kijiyega ki akele naa rahe... aur agar rahe to bas ibaadat me hi rahe...shukriya..
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
~~~~~~Kitna Akela Hoon ~~~~~~ by waheed_rose2004 in Shayri-E-Dard
LAGTA HAIN MAIN AKELA HOON by ANKIT RAO in Shayri-E-Dard
akela ab bhi nahi hoon main,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,sunil by sunildehgawani in Shayri-E-Dard
kitna akela hoon main by aru12 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
~ Akela nahin hoon main ~ by Rahym by dead heart in Miscellaneous Shayri
vb
Guest
«Reply #1 on: May 05, 2010, 08:41:06 AM »
buhat khoob
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #2 on: May 05, 2010, 09:26:14 AM »
Wah M Touhid ji bahut sachai aur khoobsurti se likha aapne.great work.keep it up Hats off to you! Applause Applause Applause Applause Applause icon_thumleft
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #3 on: May 05, 2010, 09:51:36 AM »
Bahot dard bhari nazm likhi hai Touhid ji. Bahot khoob. Allah ki maslihat Allah hi jaanta hai.

Allah jis haal mein bhi bandon ko rakhe,
Sab uski ibaadat aur shukr karte rahen
Jisne dukh diya wahi khusiyan bhi dega
Shikwa na ho koi,dil se sabr karte rahen
Logged
Tanha(Saurabh)
Guest
«Reply #4 on: May 05, 2010, 03:56:46 PM »
bohat dard likha hai aur bohat khoobsoorati se likha hai aapne touhid ji..
  Applause Applause Applause
Logged
neelgold
Guest
«Reply #5 on: May 05, 2010, 10:04:45 PM »
Bhut dard hai ismain........

very painful & very vll writtn ........
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #6 on: May 05, 2010, 10:22:39 PM »
Bahut dard bhari kavita likhi hai aapne mere dost. Har baar ki tarha is baar bhi bahut khoobsurti se apne shabdon ko joda hai. Tab bhi main is baar "Wah" nahi keh paa raha hoon nahi to aap kahoge ki kaisa insaan hai mere dard pe bhi "Wah" bol raha hai. Par kuch bhi kahiye kavita bahut hi zabardast likha hai aapne....


aapke dard ko main aapke shabdon se mehsoos kar raha hoon,
use mehsoos karke main jaane q andar hi andar ro raha hoon,
dekha nahi jaata kisi ka dard,dekh nahi sakta main kisi k aansoo,
aapke dard pe main "waah" kaise kahoon, main soch raha hoon,

aasaan nahi hota yun dard ko shabdon me bayaan karna ,
ye to aapki khaasiyat hai ki aap kar paaye, varna,
hote hain log jo thak k haar jaate hain apne ghumon se,
sikhe har koi aapse is tarah dard ko geeton me bayaan karna....
Logged
baadal102
Guest
«Reply #7 on: May 06, 2010, 07:27:26 AM »
bahut khoob mohammad ji wah
Logged
Mohammad Touhid
Umda Shayar
*

Rau: 35
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
38 days, 12 hours and 35 minutes.

'I' 'Luv' d Way 'U' 'Forget' Me..!.!

Posts: 7160
Member Since: Aug 2009


View Profile
«Reply #8 on: May 06, 2010, 08:00:20 AM »
Ish dard bhare afsano ko samajhne ka shukriya,
apne lafzo se iski bulandi sajane ka shukriya.,
socha na tha ki itna pasand karoge hamari Ghazal ko,
hume tareef-e-kabil samajhe jo aap sabhi ka shukriya.,

isi tarah hausala badhate rahiyega dosto... insaallah jajbaato aur alfazo ne saath diya to aage aur bhi achhi ghazal likhne ka sharf haasil karenge.... Usual Smile Usual Smile
Logged
Mohammad Touhid
Umda Shayar
*

Rau: 35
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
38 days, 12 hours and 35 minutes.

'I' 'Luv' d Way 'U' 'Forget' Me..!.!

Posts: 7160
Member Since: Aug 2009


View Profile
«Reply #9 on: May 06, 2010, 08:04:23 AM »
kapil ji aapka to jawab hi nahi....
aap itna achha likhte hai ki bhai waah..!!

kisi ghazal ka jawab sayrana andaz me dena to koi aap se sikhe,...
sach me ab tak ke aap mere liye sabse achhe sayar hai...
jo achha likhte bhi hai...aur achha likhne walo ki tareef bhi karte hai...
wah..! bahut khoob... icon_salut icon_salut
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #10 on: May 06, 2010, 11:06:06 AM »
bahut bahut shukriya dost.... par aap bhi taarif karte waqt "atishayokti alankaar(exaggeration)" use karte hain....!!! Usual Smile

kapil ji aapka to jawab hi nahi....
aap itna achha likhte hai ki bhai waah..!!

kisi ghazal ka jawab sayrana andaz me dena to koi aap se sikhe,...
sach me ab tak ke aap mere liye sabse achhe sayar hai...
jo achha likhte bhi hai...aur achha likhne walo ki tareef bhi karte hai...
wah..! bahut khoob... icon_salut icon_salut
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #11 on: May 07, 2010, 04:31:41 AM »

sabkuchh hai mere paas fir bhi akela hoon main,
khatm ho gayi sari pyaas fir bhi akela hoon main.,
zindagi ki jaddo jahad se ladkar jeete hai hum,
mehfil ki roushni to hai fir bhi akela hoon main.,

bachpan ke natkhat din ab yaad hi nahi mujhe,
ki koi dost hamara bhi raha hoga ush waqt.,
akele hi tanhaiyo me batein kiye hai khuda se,
aaj rehmat hai khuda ki fir bhi akela hoon main.,

ek ajnabi halaat-e-manjar se meri zindagi ujad gayi,
bahut chhota tha mai jab meri maa duniya chhod gayi.,
uski yaado ki tapish har pal mujhe roushni deti hai,
uska hath hai mere sar pe magar haqiqat me fir bhi akela hoon main.,

apne maa baap ka saya to dekha hi nahi apne aankho se,
puchhta hu aaj bhi kyo di hume ye saza khuda ne.,
kya itna bada gunah tha mera ke chhod diya mujhe sabne,
jahan me daulat hai sohrat hai fir bhi akela hoon main.,

jab naraj hota hoon to koi manane wala nahi hai,
jab khush hota hoon to koi jatane wala nahi hai.,
kab tak ish duniya me mar-mar kar jeete rahenge hum,
bhej de mere maula kisi ko bahut akela hoon main.,

intezar hai uska ki koi hamare paas bhi aayega,
mere khuda ki nazre-inayat mujhpe bhi kabhi hogi.,
zindagi se sabkuchh jeete baithe hai bas teri kami hai.,
bhej de mere maula kisi ko bahut akela hoon main.,
********BAHUT AKELA HOON MAIN********

DOSTO, akelapan bahut hi buri chiz hai ye hume bure khayalato se ru-ba-ru karwati hai....isiliye koshis kijiyega ki akele naa rahe... aur agar rahe to bas ibaadat me hi rahe...shukriya..

bahut khoob Touhid Ji
Logged
Mohammad Touhid
Umda Shayar
*

Rau: 35
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
38 days, 12 hours and 35 minutes.

'I' 'Luv' d Way 'U' 'Forget' Me..!.!

Posts: 7160
Member Since: Aug 2009


View Profile
«Reply #12 on: July 29, 2011, 07:17:02 PM »
Akele tanha jiya na jaye tere bin..
bhulana tujhko hai na mumkin..
Logged
Mohammad Touhid
Umda Shayar
*

Rau: 35
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
38 days, 12 hours and 35 minutes.

'I' 'Luv' d Way 'U' 'Forget' Me..!.!

Posts: 7160
Member Since: Aug 2009


View Profile
«Reply #13 on: August 05, 2011, 06:40:14 PM »

Shukriya Rajesh ji..... Usual Smile
Logged
paani
Guest
«Reply #14 on: August 12, 2011, 09:30:27 AM »
Tohid sahab bahut sanzindgi se likha hai  Applause
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 26, 2024, 09:31:44 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.134 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer