Baat reh gayee

by Sonu on May 28, 2006, 05:04:31 AM
Pages: [1] 2 3  All
Print
Author  (Read 3631 times)
Sonu
Guest
Saath Humara pal bhar ka sahi,
par woh pal aise jaise koi kal nahi
rahe zindagi mein shayad phir milna humaara
par mehekti rahengi tumhari yaadein humare sang sahi

chal padi hai kashtiyaan samandar, door hai kinaraa
in maajoon se pooch lena, kya haal hai hamara
ab hawaein kareingi, roshiniyon ka faisla
jis diye main jaan hogi, woh diya reh jayega

Guzare Huve Kal Ki Yaad aati hai,
kuch lamhon se aankhen bhar aati hain,
woh subah rangeen shaam nirali doob jati hain,
jab aap jaise doston ki yaad aati hai.

e kaash kahin aisa hota ki do dil hote seene main
ek toot bhi jaata ishq mein to taklif na hoti jeene mein.

Bechara Kuch Is Ada Sey Rukh Hi Badal Gaya
Ek Shaks Sarey Shehar Ko Veeran Kar Gaya
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Deh gayee hai by honeyrose in Shayri for Dard -e- Judai
*~*Khaat Apni Khadi Ho Gayee*~* by Roja in Miscellaneous Shayri
BEET GAYEE SO BAAT GAYEE...By Harivansh Rai Bachhanji by KOYAL46 in Share:Miscellaneous Shayari « 1 2  All »
**Zindagi se Baat ho Gayee** RH by Rajesh Harish in Miscellaneous Shayri
KHUL GAYEE BAAT KAISE MEHFIL MEIN ..............HASAN by F.H.SIDDIQUI in Ghazals « 1 2 3  All »
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #1 on: May 28, 2006, 08:36:57 AM »
Nice One Sonu Ji,..

Kya Yahi Gardishein Hain Zamaane Ki,..
Surkhiaan Mere Fasaane Ki,..
Phir Mila Ek Gham Dil Ko Tazaa,..
Phir Zaroorat Hai Muskuraane Ki,..

________________________-Jaanasheen-
Logged
Sonu
Guest
«Reply #2 on: May 29, 2006, 06:28:38 AM »
Azeem ji shukriya... apney bhi bahut acha likhahia..


Aj raat ki Tanhaayi mein... Aisi kuch Baat thi...
Aaj phir Akele Mein Maine, khud Se kuch Baat ki...
Aansu palkon Se Motiyon ki tarah Behne Lage,
Dil Ro Raha tha chupke se, "Yadein" Humaare Saath thi...

Quote from: "Jaanasheen"
Nice One Sonu Ji,..

Kya Yahi Gardishein Hain Zamaane Ki,..
Surkhiaan Mere Fasaane Ki,..
Phir Mila Ek Gham Dil Ko Tazaa,..
Phir Zaroorat Hai Muskuraane Ki,..

________________________-Jaanasheen-
Logged
ranjana
Guest
«Reply #3 on: May 29, 2006, 06:57:53 AM »
bahut khub Sonu dear............

yeh yaad tumahri aayi hai ya koi tuta hai tara
dil ne fir yaad  kiya woh pyar se beeta hua pal hamara
moti se aansu jame hai ab bhi nighaao.n mein
aaj fir dil ne yeh besabab ho ke kisko pukara
Logged
Sonu
Guest
«Reply #4 on: May 29, 2006, 07:07:08 AM »
thanks Ranju... b.ahut khoob... keya bat hai yar bahut acha likhti hoo...

Main Manzilon ki Khoj Mein Khoud Say Bicher Gayee
Mujhay Phir Umr Baher Talash Hee Apni Rehi

Reply With Quote

Quote from: "ranjana"
bahut khub Sonu dear............

yeh yaad tumahri aayi hai ya koi tuta hai tara
dil ne fir yaad  kiya woh pyar se beeta hua pal hamara
moti se aansu jame hai ab bhi nighaao.n mein
aaj fir dil ne yeh besabab ho ke kisko pukara
Logged
ranjana
Guest
«Reply #5 on: May 29, 2006, 07:13:26 AM »
Quote from: "Sonu"
thanks Ranju... b.ahut khoob... keya bat hai yar bahut acha likhti hoo...

Main Manzilon ki Khoj Mein Khoud Say Bicher Gayee
Mujhay Phir Umr Baher Talash Hee Apni Rehi


shukriya dear........ Usual Smile

apni talash mein main had se guajr gayee
raha teri fir bhi mujhse bekhaber rahi..
talasha na jindagi ko na jaane kahan-kahan
bas ek arazu tujhe milne ki jindagi bhar rahi
Logged
Sonu
Guest
«Reply #6 on: May 29, 2006, 07:17:05 AM »
u r welcome... bahut khoob..yeo hi likhti rahow...

Mushkil nahi ishq ladaana,
Usse bhi mushkil hai uske pyaar ko paana,
Phir bhi darte hai hum pyaar karne se,
Kyunki sabse mushkil hai us pyaar ko paana ...

 
Quote from: "ranjana"
Quote from: "Sonu"
thanks Ranju... b.ahut khoob... keya bat hai yar bahut acha likhti hoo...

Main Manzilon ki Khoj Mein Khoud Say Bicher Gayee
Mujhay Phir Umr Baher Talash Hee Apni Rehi


shukriya dear........ Usual Smile

apni talash mein main had se guajr gayee
raha teri fir bhi mujhse bekhaber rahi..
talasha na jindagi ko na jaane kahan-kahan
bas ek arazu tujhe milne ki jindaie bhar rahi
Logged
ranjana
Guest
«Reply #7 on: May 29, 2006, 07:33:04 AM »
Quote from: "Sonu"
you r welcome... bahut khoob..yeo hi likhti rahow...

Mushkil nahi ishq ladaana,
Usse bhi mushkil hai uske pyaar ko paana,
Phir bhi darte hai hum pyaar karne se,
Kyunki sabse mushkil hai us pyaar ko paana ...


uffff kya likha diya hai aapne sonu ......bahut khub aur bahut sach........

samajhte hai sab ki ek diwaani hun main
apne mein dubi hui ek kahaani hun main
apni hi aankh mein band hun ek sipee ki tarah
apne hi liye dard ki nishaani hun main
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #8 on: May 29, 2006, 07:34:15 AM »
Bahut accha likha hai ranju and sonu.......Marvalous

Jo na keh sake tumse Dil me woh Baat reh gayi......
Beet gayi raat par tanha meri harr Raat reh gayi.....

Saja de jo saiz apni Khawahishon ki......
Mahobbat ki woh ghadi kuch badnaam reh gayi.....

Jo na keh sake tumse Dil me woh baat reh gayi.......!!!!!!!
Logged
Sonu
Guest
«Reply #9 on: May 29, 2006, 07:53:38 AM »
Ranju thanks...bahut bahuta shukriya :oops:... apney bhi bahut acha likha hai...

Na karte shikayat zamane se koi,
Agar maan jata manane se koi,
Kyu yaad karta kisi ko koi,
Agar bhool jata bhulane se koi ...

Quote from: "ranjana"
Quote from: "Sonu"
you r welcome... bahut khoob..yeo hi likhti rahow...

Mushkil nahi ishq ladaana,
Usse bhi mushkil hai uske pyaar ko paana,
Phir bhi darte hai hum pyaar karne se,
Kyunki sabse mushkil hai us pyaar ko paana ...


uffff kya likha diya hai aapne sonu ......bahut khub aur bahut sach........

samajhte hai sab ki ek diwaani hun main
apne mein dubi hui ek kahaani hun main
apni hi aankh mein band hun ek sipee ki tarah
apne hi liye dard ki nishaani hun main
Logged
Sonu
Guest
«Reply #10 on: May 29, 2006, 07:57:27 AM »
Babu thanks.. tumney bhi bahut acha likha hai ....keysey hu bahut denu key bad dikhey shyed bahut busy they khair koi bat nahi... bahut khoob Gaurav...

Parakhna mat parakhne main koi apna nahin rehta,
kisi bhi ayine mein der tak chehra nahin rehta.
muhabbat ek khushboo hai humesha saath chalti hai,
koi insan tanhai mein bhi tanha nahin rehta...

Quote from: "badnaam_shayar"
Bahut accha likha hai ranju and sonu.......Marvalous

Jo na keh sake tumse Dil me woh Baat reh gayi......
Beet gayi raat par tanha meri harr Raat reh gayi.....

Saja de jo saiz apni Khawahishon ki......
Mahobbat ki woh ghadi kuch badnaam reh gayi.....

Jo na keh sake tumse Dil me woh baat reh gayi.......!!!!!!!
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #11 on: May 29, 2006, 08:00:20 AM »
Nice One Sonu Ranjana And BS Bhai,..
Lage Raho,..
Logged
ranjana
Guest
«Reply #12 on: May 29, 2006, 09:05:21 AM »
bahut khub Gaurav................

koi dukhata hua dard hai yeh meri likha hua
apni jubaan se apni kahaani keh jaata hai
lakh karu koshish  ki na yeh chalke mere dil se
par dard mera chalak ke na jaane kaise baahar aa jata hai

koi saath nahi deta mera ek safar ke baad
tanha rah jaata ha dil mera unse milne ke baad
yun hi gujaragi meri jindagi veerne mein
ki ab toh mera saya bhi mera saath nahi deta hai
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #13 on: May 29, 2006, 09:25:22 AM »
Quote from: "ranjana"
bahut khub Gaurav................

koi dukhata hua dard hai yeh meri likha hua
apni jubaan se apni kahaani keh jaata hai
lakh karu koshish  ki na yeh chalke mere dil se
par dard mera chalak ke na jaane kaise baahar aa jata hai

koi saath nahi deta mera ek safar ke baad
tanha rah jaata ha dil mera unse milne ke baad
yun hi gujaragi meri jindagi veerne mein
ki ab toh mera saya bhi mera saath nahi deta hai


Tere Dard main hum apna Ashinaa basar karenge......
Jee lenge sirr jhuka ke par tere Dhadkane choo lenge......
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #14 on: May 29, 2006, 06:46:44 PM »
bahot  khoob  Sonu mom........Gaurav........  Ranjana.,..........
Logged
Pages: [1] 2 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 25, 2024, 11:55:47 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.115 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer