Bahoot din hue.....

by Pooja on October 21, 2006, 08:12:08 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1342 times)
Pooja
Guest
Dard mere ko ab sajaya jaaye
Bahoot din hue, khud ko rulaya jaaye

Yaad kar ke usse, yah samjhaya jaaye
Zinda hai bin uske, yah batlaya jaaye

Jakhmo ka duptta, ahh ki bindia
Anssuo ke gahne se, sajaya jaaye

Bahoot din hue, khud ko ab rulaya jaaye……..

Tanhaai ke alam main, khud ko bahkaya jaaye
Nahi hai payaar usse, khud hi khud ko jhuthlaya jaaye

Dil ki bhawanao ko ajj phir se bhatkaya jaaye
Bahoot din hue, khud ko ab rulaya jaaye……..

Dard mere ko ab sajaya jaaye
Bahoot din hue, khud ko rulaya jaaye……..
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
wo bhi roya hoga bahoot by Pooja in Shayri-E-Dard « 1 2 3 4 »
bahoot roye hai hum by Pooja in Shayeri for Dard -e- Bewafai « 1 2 3 4 »
Wo Baatein Bahoot Yaad Aaii!!! by Pooja in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Bahoot Mayush Ho Gaya Hai Ab Dil Bechara by Rajnish.raaj in Shayeri for Dard -e- Bewafai
angel4u
Guest
«Reply #1 on: October 22, 2006, 12:25:25 AM »
Bahut achhe pooja di.. its really fantastic no words to appreciate Usual Smile
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #2 on: October 22, 2006, 04:56:59 AM »
Jawaab nahi aapka Pooja, Bohat khoob..
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #3 on: October 22, 2006, 04:04:08 PM »
Bahoot Khoob Pooja Didi,..
Logged
angel4u
Guest
«Reply #4 on: October 22, 2006, 05:15:33 PM »

TuMse Ulfat Ke Taqaaze Na Nibhaye Jaate,
Warna HuMko Bhi TaManna Thi Ke Chaahe Jaate,

Dilke Maaron Ka Na Kar GaM Ki Ye Hai Unke Naseeb,
ZakhaM Bhi Dil Mein Na Hota To Karaahe Jaate,

Di Na Mohalat HaMein Hasti Ne Wafa Ki Warna,
Aur Kuch Din GaM-E-Hasti Se Nibhaye Jaate,
* * * * *
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #5 on: October 24, 2006, 09:11:43 AM »
Quote from: "Pooja"
Dard mere ko ab sajaya jaaye
Bahoot din hue, khud ko rulaya jaaye

Yaad kar ke usse, yah samjhaya jaaye
Zinda hai bin uske, yah batlaya jaaye

Jakhmo ka duptta, ahh ki bindia
Anssuo ke gahne se, sajaya jaaye

Bahoot din hue, khud ko ab rulaya jaaye……..

Tanhaai ke alam main, khud ko bahkaya jaaye
Nahi hai payaar usse, khud hi khud ko jhuthlaya jaaye

Dil ki bhawanao ko ajj phir se bhatkaya jaaye
Bahoot din hue, khud ko ab rulaya jaaye……..

Dard mere ko ab sajaya jaaye
Bahoot din hue, khud ko rulaya jaaye……..


WAH WAH ! kya baat hai POOJA JI.. itna dard bhara
kalaam kyun... Puzzled !  DARD ko badi khubsoorati se
sajaya hai aapne..........bahut khoooooooooooooooob............!!!!!!!!!!!!

aur bahut khoob ANGEL.............

DARD ko nigaahon se chupa kar batao to jaane,
khayaalon me kho kar unke, muskuraao to jaane.....

yeh mohabbat-e-dard hai, dawa na jiski koi hai,
humsafar is dard ko, gar bana sako apna to jaane........!!!!!!!!!!!
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #6 on: October 24, 2006, 09:19:24 AM »
Pooja

Superb ! =D>

Angel, Vicky

Aap ne Pooja ka bahut achcha saath diya !

Keep it up !

Rajbir
Logged
angel4u
Guest
«Reply #7 on: October 24, 2006, 05:13:00 PM »
Thanks Bhaiyaa Usual Smile


HaMein Jis ZaMeen Par Utara Gaya Hai,
Kahin Parvaton Ki Hai Unchayi IsMein,
Kahin Vaadiyon Si Hia Neechai IsMein,

Yahan Se Jo Aakash Ka Faasla Hai,
Kahin Se Hia Chhota,
Kahin Se Bada Hai,

Kisike KadaM-Do-KadaM Par Sitare,
Kisiko Sada Yun Hi Chalna Padta Hai,

Isi Door-O-Nazdeek Ke Faaslon Mein,
Koi Paa Ke Aakash Ko Kho Raha Hai,
Koi Kho Ke Aakash Ko Ro Raha Hai...
* * * * *
Logged
phoenix
Guest
«Reply #8 on: October 24, 2006, 06:00:07 PM »
Quote from: "Pooja"
Dard mere ko ab sajaya jaaye
Bahoot din hue, khud ko rulaya jaaye

Yaad kar ke usse, yah samjhaya jaaye
Zinda hai bin uske, yah batlaya jaaye

Jakhmo ka duptta, ahh ki bindia
Anssuo ke gahne se, sajaya jaaye

Bahoot din hue, khud ko ab rulaya jaaye……..

Tanhaai ke alam main, khud ko bahkaya jaaye
Nahi hai payaar usse, khud hi khud ko jhuthlaya jaaye

Dil ki bhawanao ko ajj phir se bhatkaya jaaye
Bahoot din hue, khud ko ab rulaya jaaye……..

Dard mere ko ab sajaya jaaye
Bahoot din hue, khud ko rulaya jaaye……..



bahut khoob pooja ji

zara duniya k usoolon se bhi takraya jaye
chalo aaj kismat ko bhi aazmaaya jaye

bahut raatein beeti hain jinke khayalo.n mein
aaj raat unhe apni yaad mein jagaya jaye

geeli hain lihafe.n mere bistar ki abhi tak
dhoop jab nikle toh unhe kuch sukhaya haye

sakth ho gayi hain lakeeren haathon ki pade hue
aaj khanjar se inhe thoda sehlaya jaye

bahut din hue, ab khud ko rulaya jaye
Logged
pinky
Guest
«Reply #9 on: October 24, 2006, 08:31:06 PM »
Quote from: "Pooja"
Dard mere ko ab sajaya jaaye
Bahoot din hue, khud ko rulaya jaaye

Yaad kar ke usse, yah samjhaya jaaye
Zinda hai bin uske, yah batlaya jaaye

Jakhmo ka duptta, ahh ki bindia
Anssuo ke gahne se, sajaya jaaye

Bahoot din hue, khud ko ab rulaya jaaye……..

Tanhaai ke alam main, khud ko bahkaya jaaye
Nahi hai payaar usse, khud hi khud ko jhuthlaya jaaye

Dil ki bhawanao ko ajj phir se bhatkaya jaaye
Bahoot din hue, khud ko ab rulaya jaaye……..

Dard mere ko ab sajaya jaaye
Bahoot din hue, khud ko rulaya jaaye……..


Bahut khoob Pooja..
Sach mein words nahi hain appreciate karne ke liye..

Bewafai uski phir yaad kare ke
Koi naya Zakhm Dil ko diya jaaye..
Khayalon mein usse phir laa kar
Ek aur armaan bun kar todda jaaye..
Bahut dino se milla nahi wo mujhe..
Kyun na usse mill kar phir ek baar
Dil se bhulaaya jaaye...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #10 on: October 25, 2006, 04:17:17 PM »
Bahoot Khoob Husena Sis,,
Once Again,,,
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #11 on: October 25, 2006, 04:19:05 PM »
Dard Ke Mere Nishaan Na Rahe,..
Wo Samajh Baithe Ke Hume Koi Zakham Nahi,,..

________________________________-Jaanasheen-
Logged
Pooja
Guest
«Reply #12 on: August 25, 2007, 05:58:37 AM »
Nice Jaanasheen...

kisi baat per ab rona atta nahi
ankhon ko ab sona atta nahi

baras jaati thi jo ankhia aoro ke dukh per
ajj apne dard per rona atta nahi

shunaye main dekhti rahti hu bas
zindagi  ka koi roop samjh atta nahi

bhool jaati hu kaha jaana tah ghar se nikal kar
zindagi  ka koi rasta, manjil tak jaata nahi

kisi baat per ab rona atta nahi
ankhon ko ab sona atta nahi
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 25, 2024, 11:49:37 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.105 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer