Chala Khuch Yu Zindagi Ka Safar Chala.............

by Nikhaar on August 16, 2010, 04:52:49 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 9362 times)
Nikhaar
Guest

Chala khuch yu zindagi ka safar chala
Pal dar par beeta har lamha, aur apne sang chala

Aankho se chalke ashq aur lab muskura diye
Tanhai mein yaad kiye jo khuch hassne pal,toh yahi silsila chala

Kadvi khuch yaadon ne kiya phir se puraane zakhm taaze
Ye dil unn zakhmon par marham lagata chala

Khilti muskaan ko dard mein badla waqt ne
Ashqon ka le sahara wo dard bhi behta chala

Barsaat ki bundon ne bhigoya jab chehre ko
Wo ashq bhi unn bundon k sang behta chala

Chala khuch yu zindagi ka safar chala
Har lamhe mein simt_ta gaya ek naya lamha
Aur har lamhe mein khuch yaadon ka karwaan chala
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Sath Dil ka chala by muneeb in Shayri-E-Dard
chala ja upper at aa,...... by tushar_4u_im in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
woh jo pal bhar mai chala gay;;;; by majid in Shayri-E-Dard
Leh chala... by Anushka in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
chala jaaunga by @kaash in Shayri-E-Dard
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #1 on: August 16, 2010, 05:13:57 PM »
waahhhhhhh........dil ko chhute har alfaaz aur uspe ye feelings......
nihaar ji....waakai aap bht achcha likhti hain......
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #2 on: August 16, 2010, 05:31:58 PM »
Bhahut khoob Nikhaar Ji
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #3 on: August 16, 2010, 05:35:10 PM »
waahhhhhhh........dil ko chhute har alfaaz aur uspe ye feelings......
nihaar ji....waakai aap bht achcha likhti hain......
Thanx a lot dear...... aap bhi bahut accha likhti hai....raunak badha di hai aapne yo ki.......keep writing
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #4 on: August 17, 2010, 07:45:06 AM »
Waah Pooja ji waah... hum to fida hain aapki shayari pe... kitne sundar aur asaan se shabdon me aap poori kahaani keh gaye... bahut khoobsurti se likha hai aapne... waah kya kehne aapke....!!!

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Maafi chahunga kuch likhe bina humse raha nahi gaya....


har subah ek naya rang leke aata hai,
suraj har subha ko roshan kar hi jaata hai,

hoti hai andheri raat agar berehem,
har subah sukoon ki saans leke aata hai,

toofaan me agar doob jaati hai koi kashti,
lehron ke saath wo saahil tak aa hi jaata hai,

kuch pal ke liye agar ghum ho zindagi me,
agle pal hothon pe muskaan aa hi jaati hai,

har raat hoti nahi andheri amaawas ki tarha,
ghar ke koney me ek chiraag jal hi jaata hai,

chot khaake insaan gir to jaata hai kai bar,
par waqt ke saath wo sambhal hi jaata hai,

tanha hai agar jeewan ka safar kuch pal ke liye,
kuch doori pe haseen hamsafar mil hi jaata hai...
Logged
Matrix Guy
Guest
«Reply #5 on: August 17, 2010, 08:28:35 AM »
nikhar ji bahot hi behtariin post ki he apne......

har line me new feel he .....superb......

Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #6 on: August 17, 2010, 08:47:28 AM »

Chala khuch yu zindagi ka safar chala
Pal dar par beeta har lamha, aur apne sang chala

Aankho se chalke ashq aur lab muskura diye
Tanhai mein yaad kiye jo khuch hassne pal,toh yahi silsila chala

Kadvi khuch yaadon ne kiya phir se puraane zakhm taaze
Ye dil unn zakhmon par marham lagata chala

Khilti muskaan ko dard mein badla waqt ne
Ashqon ka le sahara wo dard bhi behta chala

Barsaat ki bundon ne bhigoya jab chehre ko
Wo ashq bhi unn bundon k sang behta chala

Chala khuch yu zindagi ka safar chala
Har lamhe mein simt_ta gaya ek naya lamha
Aur har lamhe mein khuch yaadon ka karwaan chala


Sabse pehle To bahut bahut bahut Khoob pooja..

Aapke To kya kehne!!! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley  Clapping Smiley

Aur Ab Doosri baat!!!! Aa Gaye Aap..

Main Soch Raha Tha Ki Grand Re-Entry karani Padegi aapki yoindia Mein, Band-Baajo ke Saath tongue3

Ab Zara Meharbaani Kijiye, Theek Kar Rahiye..Samjhe!!! icon_flower
Logged
thinkhattk
Guest
«Reply #7 on: August 17, 2010, 09:57:07 AM »
awesome creation pooja ji n klasakar ji...... Clapping Smiley

 Applause  Applause  Applause  Applause


Chala khuch yu zindagi ka safar chala
Pal dar par beeta har lamha, aur apne sang chala

Aankho se chalke ashq aur lab muskura diye
Tanhai mein yaad kiye jo khuch hassne pal,toh yahi silsila chala

Kadvi khuch yaadon ne kiya phir se puraane zakhm taaze
Ye dil unn zakhmon par marham lagata chala

Khilti muskaan ko dard mein badla waqt ne
Ashqon ka le sahara wo dard bhi behta chala

Barsaat ki bundon ne bhigoya jab chehre ko
Wo ashq bhi unn bundon k sang behta chala

Chala khuch yu zindagi ka safar chala
Har lamhe mein simt_ta gaya ek naya lamha
Aur har lamhe mein khuch yaadon ka karwaan chala




Waah Pooja ji waah... hum to fida hain aapki shayari pe... kitne sundar aur asaan se shabdon me aap poori kahaani keh gaye... bahut khoobsurti se likha hai aapne... waah kya kehne aapke....!!!

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Maafi chahunga kuch likhe bina humse raha nahi gaya....


har subah ek naya rang leke aata hai,
suraj har subha ko roshan kar hi jaata hai,

hoti hai andheri raat agar berehem,
har subah sukoon ki saans leke aata hai,

toofaan me agar doob jaati hai koi kashti,
lehron ke saath wo saahil tak aa hi jaata hai,

kuch pal ke liye agar ghum ho zindagi me,
agle pal hothon pe muskaan aa hi jaati hai,

har raat hoti nahi andheri amaawas ki tarha,
ghar ke koney me ek chiraag jal hi jaata hai,

chot khaake insaan gir to jaata hai kai bar,
par waqt ke saath wo sambhal hi jaata hai,

tanha hai agar jeewan ka safar kuch pal ke liye,
kuch doori pe haseen hamsafar mil hi jaata hai...
Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #8 on: August 17, 2010, 10:13:54 AM »
hmm khubsurat shabd likhte he aap nikhaar jiii...
i lke the line..ashqo ka le sahara wo dard bhi behta chala..


kuch meri taraf se shayad apko pasand aaye~


zindagi tere sath ko me kya naam du,
ek Anamika he tu teri pyaas ko kaise viraam du~
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #9 on: August 17, 2010, 01:31:37 PM »
Thanx a lot Devangi ji....!!!

awesome creation pooja ji n klasakar ji...... Clapping Smiley

 Applause  Applause  Applause  Applause



Logged
poppoetry
Guest
«Reply #10 on: August 17, 2010, 05:43:21 PM »
Waah Pooja ji waah... hum to fida hain aapki shayari pe... kitne sundar aur asaan se shabdon me aap poori kahaani keh gaye... bahut khoobsurti se likha hai aapne... waah kya kehne aapke....!!!

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Maafi chahunga kuch likhe bina humse raha nahi gaya....


har subah ek naya rang leke aata hai,
suraj har subha ko roshan kar hi jaata hai,

hoti hai andheri raat agar berehem,
har subah sukoon ki saans leke aata hai,

toofaan me agar doob jaati hai koi kashti,
lehron ke saath wo saahil tak aa hi jaata hai,

kuch pal ke liye agar ghum ho zindagi me,
agle pal hothon pe muskaan aa hi jaati hai,

har raat hoti nahi andheri amaawas ki tarha,
ghar ke koney me ek chiraag jal hi jaata hai,

chot khaake insaan gir to jaata hai kai bar,
par waqt ke saath wo sambhal hi jaata hai,

tanha hai agar jeewan ka safar kuch pal ke liye,
kuch doori pe haseen hamsafar mil hi jaata hai...


Itni taarif..........aapne toh mujhe chane k jhaad par chadha diya.......
bahut khubsurat jwaab diya hai aapne klaskar ji.....jwaab par khuch likhne ki koshish bhi ki hai........


Ek raah par chalte dusri raah par kadam rakh diya
Khud ki raahon par khud ki pathar rakh diya

Kal pukara tha usko,aur wo aaj aaya hai
Jab khud apne haatho se khwaabon ka aaina tod diya

Aaas bhi na rahi lehro se ubarne ki jab
Anayaas hi lehron ne tab apna rukh mod diya

Sach kha nahi hoti har raat andheri
Kiya jab issi andhere se pyar toh ujaalon ne hamein rok diya

Aaj hum bhi toot k bik jaate nafrat k iss bazaar mein
Par aap jaise doston ne hamein phir se khud se jod diya
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #11 on: August 17, 2010, 07:02:10 PM »
Waaaah Kia Baaat hai....
Kafi achchi mehfileN sajti hai yahaaN..
Maza aa gaya padhker sabhi ne ek se badhker ek
ahsaas pesh kiye haiN.......
Sab ko dil se daad...... 



Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #12 on: August 18, 2010, 01:59:18 AM »
Pooja ji maine koi chane ke jhaad pe nahi chadhaya aapko... jo sach hai bas wahi kahaa... aapne likha hi itna pyaara hai... aur hamaare comment ko pasand karne ke liye bahut bahut shukriya... aur aapka ye naya post bhi bahut hi pyaara hai... too good.... iske jawaab me kuch likha hai maine... ummeed hai aap pasand karenge...

nazar uthaake dekho humein hamesha paas paoge,
hamaari dosti se bachke tum ab kahaan jaoge,

raah pe chalke kisi paththar ko dekh ruk jaoge,
to kahaan is jeewan ke safar me aage badh paoge,

kya hua agar khwaabon ka aaina tumse tut gaya aaj,
kal tanha they, ab in tukdo me hazaaron nazar aaoge,

apni parchhai me khud ko dhund lo tum ek baar,
apne hi ruh se tum kis tarha muh mod paoge,

nahi hai ab lambi ye raat judai ki mere dost,
kab tak yunhi andheron me khud ko chhupaoge,

nafraton ki is duniya me ab bhi mohabbat bachi hai,
in pyaar ke rishton se bachke tum kahaan jaa paoge,

zindagi hai chaar din ki ro ke kyun khatam karna,
muskura ke ji lo aaj, ye mauka fir kahaan tum paoge...
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #13 on: August 18, 2010, 04:44:35 PM »
Bhahut khoob Nikhaar Ji
Shukriya RH ji
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #14 on: August 18, 2010, 05:25:48 PM »
Sabse pehle To bahut bahut bahut Khoob pooja..

Aapke To kya kehne!!! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley  Clapping Smiley

Aur Ab Doosri baat!!!! Aa Gaye Aap..

Main Soch Raha Tha Ki Grand Re-Entry karani Padegi aapki yoindia Mein, Band-Baajo ke Saath tongue3

Ab Zara Meharbaani Kijiye, Theek Kar Rahiye..Samjhe!!! icon_flower

Bahut bahut shukriya Khwaish ji.......

aapke bhi kya kehne....Grand Re-entry ki baat bhi karte hai aur khuch likhte bhi nahi.....Comment Shayrana andaaz mein hone chaiye.....kya samjhe....
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 24, 2024, 06:03:00 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.149 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer