Leh chala...

by Anushka on May 29, 2006, 09:20:04 PM
Pages: [1] 2 3  All
Print
Author  (Read 2796 times)
Anushka
Guest
Leh chela jaan meri ruth ke jana tera..
Aseh anay say bhetar tha na aana tera..
Apnay dil ko b betau na thikana tera..
Sab nay jana tera peta.. ek nay najana tera..'
Apni ankho meh chemki aisi bijli...
Hum na semjhay ki yeh ana hai ya jana tera....
Mai aisay kaisay mitt sakta hu...
Khuda ko badlna hoga puranaam mera...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Aaya Bhi Chala Bhi Gaya,. by Azeem Azaad in Share: Poetry of Pain
chala jaaunga by @kaash in Shayri-E-Dard
Ye Kaun chala by rahman22 in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Mera Yaar Chala,. by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Chala Khuch Yu Zindagi Ka Safar Chala............. by Nikhaar in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006

View Profile
«Reply #1 on: May 30, 2006, 01:37:37 PM »
Bahoot Khoob Anushka Ji,..

Bahaaye Chand Ne Aansoon Zamaana Chandni Samjha,..
Kisi Ke Dil Se Dard Uthaa To Koi Raagini Samjha,..

Choopaya Kis Tarah Gham KO Zamaane Ki Nigaahon Se,..
Mera Gham Dekhne Wala Mere Gham Ko Khushi Samjha,..

Chaman Ko Chordkar Maine Guzaari Zindagi Aise,..
Ke Jo Kaantaa nazar Aaya Usi KO Maine Kali Samjha,..

________________________________________________
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #2 on: May 30, 2006, 02:31:04 PM »
Very nice Anushka and Janasheen...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006

View Profile
«Reply #3 on: May 30, 2006, 02:35:40 PM »
Shukriya Shikha Ji,..

Wo Khush Naseeb Hain Jinko Yahan Qaraar Mila,..
Hume To Dil Jo Mila Wo Bhi Beqaraar Mila,..

Mili Hain Pyaar Mein Dar Dar Ki Thokarein Hum ko,..
Lagaaye Rakhte Hain Seene Se Har Ghaadi Gham ko,..

Jo Khatam Ho Naa Kabhi Aisaa Intezaar Mila,..
Hume To Dil Ji Milaa Wo Bhi Beqaraar Mila,..

Sitam Hai Gham Ke Samander Mein Har Khusi Doobi,..
Hamare Ashq Mein Khud Apni Zindagi Doobi,..

Sahara De Koi Aisa Na Ek Baar Mila,..
Hume To Dil Jo Milaa Wo Bhi Beqaraar Mila,..

______________________________________________
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #4 on: May 30, 2006, 02:47:36 PM »
Quote from: "Jaanasheen"
Bahoot Khoob Anushka Ji,..

Bahaaye Chand Ne Aansoon Zamaana Chandni Samjha,..
Kisi Ke Dil Se Dard Uthaa To Koi Raagini Samjha,..

Choopaya Kis Tarah Gham KO Zamaane Ki Nigaahon Se,..
Mera Gham Dekhne Wala Mere Gham Ko Khushi Samjha,..

Chaman Ko Chordkar Maine Guzaari Zindagi Aise,..
Ke Jo Kaantaa nazar Aaya Usi KO Maine Kali Samjha,..

Bahut achha likha hai Jaanasheen ji.

Us sey pyar to kiya humney bhi toot key,
Hath thaam key chod diya usney tanha....

Dekhna kabhi in sitaron ki bheed main,
tumko nazar aayega ek chand tanha....

log to sochtey hai, to sochtey hai galat,
bhari duniya main khadi hu main tanha...

apni hansi key kehkashon main utro to sahi,
mera dil ro raha hai wahan tanha...

bahaar hai, mausam hai gulshan key khilney ka,
magar hai yeh phool, khushboo bina tanha...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006

View Profile
«Reply #5 on: May 30, 2006, 02:50:40 PM »
Shukriya Shikha Ji,..

Quote from: "Jaanasheen"
Shukriya Shikha Ji,..

Wo Khush Naseeb Hain Jinko Yahan Qaraar Mila,..
Hume To Dil Jo Mila Wo Bhi Beqaraar Mila,..

Mili Hain Pyaar Mein Dar Dar Ki Thokarein Hum ko,..
Lagaaye Rakhte Hain Seene Se Har Ghaadi Gham ko,..

Jo Khatam Ho Naa Kabhi Aisaa Intezaar Mila,..
Hume To Dil Ji Milaa Wo Bhi Beqaraar Mila,..

Sitam Hai Gham Ke Samander Mein Har Khusi Doobi,..
Hamare Ashq Mein Khud Apni Zindagi Doobi,..

Sahara De Koi Aisa Na Ek Baar Mila,..
Hume To Dil Jo Milaa Wo Bhi Beqaraar Mila,..

______________________________________________
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #6 on: May 30, 2006, 03:01:17 PM »
Quote from: "Jaanasheen"
Shukriya Shikha Ji,..

Wo Khush Naseeb Hain Jinko Yahan Qaraar Mila,..
Hume To Dil Jo Mila Wo Bhi Beqaraar Mila,..

Mili Hain Pyaar Mein Dar Dar Ki Thokarein Hum ko,..
Lagaaye Rakhte Hain Seene Se Har Ghaadi Gham ko,..

Jo Khatam Ho Naa Kabhi Aisaa Intezaar Mila,..
Hume To Dil Ji Milaa Wo Bhi Beqaraar Mila,..

Sitam Hai Gham Ke Samander Mein Har Khusi Doobi,..
Hamare Ashq Mein Khud Apni Zindagi Doobi,..

Sahara De Koi Aisa Na Ek Baar Mila,..
Hume To Dil Jo Milaa Wo Bhi Beqaraar Mila,..

Really Good work, Jaanasheen ji...

Dhuaa uthaa kuch aisa is dil ki aag sey,
humko apni manzil nazar aayi dhudhli si...
hum kho gaye they aisey teri yaadon main,
mehsoos hui humey apni dhadkan madhyam si....

shayad khwab main dikh jaye woh bewafaa,
soch kar yeh hui meri aankhein bhojhal si..
hum jis key liye jeetey hai roz mar kar key,
usko mera sung bhi lagta hai uljhan si...
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #7 on: May 30, 2006, 03:03:26 PM »

nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004

View Profile
«Reply #8 on: May 30, 2006, 04:51:48 PM »
Wah wah wah kya baat hai anushka n jaanasheen,brilliant work by both of u.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006

View Profile
«Reply #9 on: May 31, 2006, 01:34:55 PM »
Shukriya Nidhi Ji And Shikha Sis,..

Aye Dost Jhoot Aam Tha Duniya Mein Is Kadar..,,
Tune Bhi sach Kaha To Fasaana Laga Mujhe,..
Aaj Dekh Kho Raha Hoon Main Use,..
Wo Jise Paane Mein Zamaana Laga Mujhe,.

_____________________________-Jaanasheen-
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #10 on: May 31, 2006, 01:37:53 PM »
Quote from: "Jaanasheen"
Shukriya Nidhi Ji And Shikha Sis,..

Aye Dost Jhoot Aam Tha Duniya Mein Is Kadar..,,
Tune Bhi sach Kaha To Fasaana Laga Mujhe,..
Aaj Dekh Kho Raha Hoon Main Use,..
Wo Jise Paane Mein Zamaana Laga Mujhe,.

_____________________________-Jaanasheen-
Nice one Bro
Logged
Anushka
Guest
«Reply #11 on: June 01, 2006, 08:47:17 AM »
Thank you Janasheenji, sikha and all of you who have contributed to this shayari..... its such an inspiration....... aap sabnay itna likha hai ke meray paas koi jawab hi nehi hai..... barel hum fir bhi kosish karey geh aaj nehi to kal..... once again shukriya all
love  :D
Logged
Anushka
Guest
«Reply #12 on: June 01, 2006, 09:02:00 AM »
Quote from: "Jaanasheen"
Bahoot Khoob Anushka Ji,..

Bahaaye Chand Ne Aansoon Zamaana Chandni Samjha,..
Kisi Ke Dil Se Dard Uthaa To Koi Raagini Samjha,..

Choopaya Kis Tarah Gham KO Zamaane Ki Nigaahon Se,..
Mera Gham Dekhne Wala Mere Gham Ko Khushi Samjha,..

Chaman Ko Chordkar Maine Guzaari Zindagi Aise,..
Ke Jo Kaantaa nazar Aaya Usi KO Maine Kali Samjha,..

________________________________________________

Janasheenji.... bahut khub likha hai apnay...
yeh ek sher pedha hai.....
 
Esa nahi ke hum ko mohabbat nahi mili
Jesi chahtey they hum ko woh ulfat nahi mili,
Milney ko zindgi main kai hum-safar miley
Per un ki tabiyat se hamari tabiyat nahi mili,

Chehron main doosroo ke tumhain doondtey rahey
Surat nahi mili kahin seerat nahi mili,
Bohat der se aaya too mere paas kiya kahoon
Alfaaz doondney ki bhi mohalat nahi mili,

Tujh ko gilla raha ke tawajja na di tujhey
Lakin humain khud apni rafaqat nahi mili,
Her shaks zindgi main bohat der se mila
Koi bhi cheez waqt-e-zaroorat nahi mili,

Hum ko to teri aadat achi lagi Faiz
Afsoos ke tujh se meri aadat nahi mili..... (NM)
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #13 on: June 01, 2006, 09:44:58 AM »
Quote from: "Anushka"
Thank you Janasheenji, sikha and all of you who have contributed to this shayari..... its such an inspiration....... aap sabnay itna likha hai ke meray paas koi jawab hi nehi hai..... barel hum fir bhi kosish karey geh aaj nehi to kal..... once again shukriya all
love  :lol:

Thanks to u Anushka..... Welcome to Yoindia and keep writing...
Logged
Anushka
Guest
«Reply #14 on: June 01, 2006, 09:25:37 PM »
Thank you shikhaji....

Mera naam bedelnay say to teri yaad to nehi mitay gi
Meray mernay say teri aas tab b rahay gi....
Yaha nehi to na sehi
Nilay ambar per aur chemakti chandi meh
Milunga meh tumko ek sitara benkar.....
Logged
Pages: [1] 2 3  All
Print
Jump to:  

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 29, 2024, 01:12:02 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.136 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer