Alam Qazi
Guest
|
Shab Bedaar Hoti Hai, Jab Ye Aanhei'n Machalti Hai Mai Jab Tanha Hota Hoon, Mujhpe Ye Shaam Roti Hai.....
Sab kehte hain mujhko, mai khamosh rehta hoon Koi jab muskurata hai, Tou mai Ghamgheen hota hoon Yahan mausam Badalta hai, Hawaei'n Rukh Badalti hai Meri Khwahish ki pal mein, Chitaei'n Sau baar jalti hai
Shab Bedaar Hoti Hai, Jab Ye Aanhei'n Machalti Hai Mai Jab Tanha Hota Hoon, Mujhpe Ye Shaam Roti Hai.....
Mujhe jab dard milta hai, Usey pehlu mein rakhta hoon Har Naye zakhmo'n ko, Mai Ashko'n se pirota hoon Gham-E-Deewangi meri, mujhe madhosh Rakhti hai Dafn har shab hota hoon, Phir zinda subho karti hai
Shab Bedar Hoti Hai, Jab Ye Aanhei'n Machalti Hai Mai Jab Tanha Hota Hoon, Mujhpe Ye Shaam Roti Hai.....
Jism-E-Naatawa'n Tune, Abhi kuch bhi nahi dekha Gul-O-Gulshan dekha hai, Anjam-E-Gul nahi dekha Meri har saans se pehle, Har Ek saans bikharti hai Yahi manzar bikharne ka, Nigahei'n Roz karti hai
Shab Bedar Hoti Hai, Jab Ye Aanhei'n Machalti Hai Mai Jab Tanha Hota Hoon, Mujhpe Ye Shaam Roti Hai.....
Afsurda-E-Dil ye mera, Nahi Raha Ab pehle Saa Ki pehle Dil Dhadakta tha, Ab Aankhei'n Dehakti hai Qaul-E-Tanhai kehti hai, Teri Qismat mein ALAM Gham Ziyada Nikalta hai, Khushiya'n Kam Nikalti hai
Shab Bedaar Hoti Hai, Jab Ye Aanhei'n Machalti Hai Mai Jab Tanha Hota Hoon, Mujhpe Ye Shaam Roti Hai.....
________________Alam
|