Dard (collections)

by salma786 on March 16, 2009, 11:18:29 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 1417 times)
salma786
Guest
Meri mohabbat ka jo sabab tune diya hai,
Wo kisi chahne wale ko naseeb na ho,
Jaise dard ne challi kiya mere dil ko,
Koi dard ke itne bhi kareeb na ho!

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
**My New Year SMS & Mixed Collections** by Shafiquzzaman Khan UZZAL in SMS , mobile & JOKES « 1 2 ... 5 6 »
My Collections by riya_shah21 in SMS , mobile & JOKES
my collections!!!!! by ZIddi~Ladki in Shayri for Dard -e- Judai
Ghazal collections by @kaash in Share:Miscellaneous Shayari « 1 2 3  All »
Collections Of Sad Shayaries... by Roja in Share: Poetry of Pain « 1 2 ... 12 13 »
salma786
Guest
«Reply #1 on: March 16, 2009, 11:24:06 AM »
Dard bahoot hai par itna samjh lijiye,
Meri mohabbat me bewafaai ka daag nahi hai,
Jitna dard chahe dedijiye mohabbat ke badle,
Par Mere junoon ki koi Inteha nahi hai!
Logged
salil2002
Guest
«Reply #2 on: March 16, 2009, 12:50:33 PM »
bahut achche salma nice one...............waitin more frm u
ek chhotti si koshish

dard se mil k aaya main doston
sach main oose bahut dard main paaya tha doston
oosne poochha mere dil ka haal aur kaha tu roya kyun nahin
hans diya main keh k ,badi muskil se aansuom ko chhupaaya hai doston
Logged
salma786
Guest
«Reply #3 on: March 16, 2009, 01:38:02 PM »
Shukriya salil ji... Nice to see you aftr so many days Usual Smile


Bahoot khoob!


Sitam sehte hai par ansu bahaya nahi karte,
Unki yadon ko zehan se mitaya nahi karte,
Ghav jitna gehra hoga dard utna badega,
Tabhi Unke diye zakhmo pe marham lagaya nahi karte!




Logged
salma786
Guest
«Reply #4 on: March 16, 2009, 01:43:19 PM »
Mana dilo se khelna hai adat unki,
Hamare dil se bhi wo jee bhar khel gaye,
Dil ki galiyare me jo ashiyaan banaya tha,
Us Ashiyaane ko wo thokar maar haste huye nikal gaye!
Logged
salma786
Guest
«Reply #5 on: March 16, 2009, 01:48:13 PM »
Jin akhon me maine khwaab sajaye the,
Un khwabon ko tu asani se tod gaya,
Sath chalne ka wada bhi kiya tha tune,
Phir bich raah me kaise tu mujhe chod gaya?
Logged
salma786
Guest
«Reply #6 on: March 16, 2009, 01:52:55 PM »
Guzre waqt ke lamhe yaad ane lage hai,
Wahi dard mere zakhmo ko phir taza kar gaye,
Jo sache dil se chahat ki thi kisi bewafaa ki,
Hum wafadar hokar bhi jee te jee mar gaye!
Logged
salma786
Guest
«Reply #7 on: March 16, 2009, 01:55:48 PM »
Dard ka humse rishta sa ban gaya hai,
Jo dekha tha khwaab wo adhura reh gaya hai,
Jo banana chaha tha ret me mahal Ishq ka,
Wo lehro ke sath hi tut kar beh gaya hai!
Logged
Roja
Guest
«Reply #8 on: March 16, 2009, 01:56:33 PM »
Wow... All are very good to read. Thanks for sharing dear Salma
Logged
salma786
Guest
«Reply #9 on: March 16, 2009, 02:02:43 PM »
Thanks Roja Usual Smile


Dard sehne ki ab hamari adat si hogayi hai,
Kismat ko meri khusiyon se bagawat si hogayi hai,
Malum hota to koshish hi na karte kismat ko manane ki,
K ek bewafa se akhir hume mohabbat si hogayi hai!

Logged
salma786
Guest
«Reply #10 on: March 16, 2009, 02:13:36 PM »
Phir wahi beeti baat mere yadon me laut ayi hai,
Tere diye dard ko har ghadi wo dauhra rahi hai,
Jitna sambhala tha maine apne toote wajood ko,
Teri yadeen akar unhe phir bikhra gayi hai!!
Logged
salma786
Guest
«Reply #11 on: March 16, 2009, 02:17:32 PM »
Zamane se maine har zakhm apna chupaya hai,
Tune kisi or ki baho me apna ghar basaya hai,
Ruswaa kar ke bhari mehfil me mujhe to chod gaya,
Tere diye dard se maine has ke rishta nibhaya hai!
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #12 on: March 16, 2009, 09:44:14 PM »






Meri mohabbat ka jo sabab tune diya hai,
Wo kisi chahne wale ko naseeb na ho,
Jaise dard ne challi kiya mere dil ko,
Koi dard ke itne bhi kareeb na ho!


very nice n beatiful salma ji,madhuwesh.
Logged
salma786
Guest
«Reply #13 on: March 17, 2009, 03:35:37 AM »

very nice n beatiful salma ji,madhuwesh.
Shukriya Madhuwesh ji!
Logged
salma786
Guest
«Reply #14 on: March 17, 2009, 03:46:38 AM »
Ishq ki aag me hum khudko jalaye baithe the,
Dard se hi hum khusiyo ki umid lagaye baithe the,
Kise pata tha gamo ka sailab iskadar ayega,
Toofano ke bawandar me Ret ka mahal banaye baithe the!
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 25, 2024, 04:10:33 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.154 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer