.*.*.*Dard hi Dard.*.*.*

by Style_guru on November 18, 2005, 02:46:50 PM
Pages: 1 ... 4 5 6 7 [8] 9 10 11 12 ... 36
Print
Author  (Read 33024 times)
Style_guru
Guest
«Reply #105 on: April 29, 2006, 02:12:10 PM »
The Style Guru Says....


Thanx a lot Bro!!!


Arz Hai....

Aaj bhi shaam ki aankhen nam kyon hain?
Hume to arsa ho gaya daastan-e-gham sunaye hue....

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
dard by zindagi_kal_ho_na_ho in Shayri-E-Dard
dard dard ki had mein by husain52 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Dard ne itna dard diya by Ricky in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
ek dard yahan hai ek dard wahan hai by mudassirali in Shayri for Khumar -e- Ishq
Dard Ko Dard Men Dekha by syednaami in Shayeri for Dard -e- Bewafai « 1 2  All »
Style_guru
Guest
«Reply #106 on: May 01, 2006, 01:52:29 PM »
The Style Guru Says.......



Dard-e-gham ka mausam jab aata hai,
Muskurahaton se bhi dard chalkata hai,
Lahu ke ashq bhi behte hain,
Saason me toofan sa uthata hai,
Dard-e-gham ka mausam jab aata hai,
Unke saath guzra har lamha yaad aata hai,
Jo hum fana hue to koi azooba nahi,
Ye to aksar aashiqi me dekha jata hai,
Meri maut ka gham na karna mere chahne walon,
Ye Dard-e-gham hume saath liye jaata hai.....
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #107 on: May 01, 2006, 02:59:07 PM »
Wah wah !! sad5
Logged
Style_guru
Guest
«Reply #108 on: May 01, 2006, 03:09:30 PM »
The Style Guru Says.....


Welcome Bhai!!! Aaj kuch likoge nahi??


Arz hai,

[color=Dark brown]
Badalon ke darmiyan kuch aisi sazish hui,
Mera ghar mitti ka tha-mere hi ghar barish hui,
Uski bhi zid hai yaheen bijliyan girane ki,
Aur hamari bhi zid hai wahin aashiyan banane ki.....[/color]
[/b]
Logged
Pooja
Guest
«Reply #109 on: May 01, 2006, 03:44:34 PM »
wah kaya mahfil sajai hui hai apne Guru ji!!!
Logged
Style_guru
Guest
«Reply #110 on: May 01, 2006, 03:50:28 PM »
The Style Guru Says....


Arre Aapne hamare kaam ko sahara, hamari koshish kaamyab hui tongue3

Vaise aaj kal aapne likhna kuch kam kar diya hai!!!
Is everything on the track?
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #111 on: May 01, 2006, 03:53:04 PM »
Hum bhi sharaabii tum bhii sharaabii
Rang-e-humsafar tera bhii gulabii mera bhi Gulabii
Taqadiir bhi na koi ranj na thi ko kharabii

Jab tak hai Zinda humnafas terii ankhon se piileiin
Fhir Jee sakein tabb talak jee lein
Mout ke baad fhir na reh jaye koi hansrat baaQi

Agle Janam fhir shayad wo kisii aur ke Janaam honge
Merey seene pe, fhir bhi uske kuch Naksh-e-Kadam honge

Kuch chuninda lamhon ke mehmaan hain hum yahan
Paimana fhir na bharenge Zindagi ka ya bandagi ka
Yaad bahut aayenge tumhein aaur tadpayenge tumhein aye meri SaaQi!!
Logged
kaiynath
Guest
«Reply #112 on: May 01, 2006, 04:34:00 PM »
wow neer man gaye aapko
Logged
Style_guru
Guest
«Reply #113 on: May 02, 2006, 02:58:53 PM »
The Style Guru Says.....


Oye kaake tusi gr8 ho yaar!! Par tusi sharaab kadon peen lage???

And KAIYNATH Ji, Aapne hume nahi maana na  :cry:


Neway, Arz hai:-

Chaman ko chaman ki baharon ne loota,
Saahil ko kashti ke kinaron ne loota,
Aap to ek hi kasam se yoon darr gaye,
Hume to aapki kasam deke hazaron ne loota.....
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #114 on: May 02, 2006, 05:32:32 PM »
Wah wah big B good one~!!

Veer jee ey to saadi ek shayari honn thi, tey hun kadon bhi shaarab nu na chuwange aaye waada hai tuwade naal :smile:
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #115 on: May 03, 2006, 06:59:52 AM »
Dard Mein Ab Mujhe Chain Milne Laga,..
Jab Usne Hume Tadarpta Dekh Aansoon Jo Bahaya,..
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #116 on: May 04, 2006, 04:44:50 AM »
bahut khoob guru tell me ur name
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #117 on: May 04, 2006, 08:19:47 AM »
Main To Ek Khwaab Hoon Is Se Tu Pyaar Na Kar,..
Pyaar Ho Jaaye To Phir Izhaar Na Kar,..

Ye Hawaein Sabhi Chup Chap Chal Jaayengi,..
Laut Kar Phir Kabhi Gulshan Mein Nahi Aayeingi,.
Apne Hathon Mein Hawaon Ko Giraftaar Na Kar,..

Shaak Se Toot ke Gunche Bhi Kabhi Khilte Hain,..
Raat Aur Din Bhi Zamaane Mein Kahin Milte Hain,..
Bhool Jaa Jaane De Taqdeer Se Tu Takraarr Na Kar,..

____________-Azeem-_________________
Logged
Style_guru
Guest
«Reply #118 on: May 04, 2006, 08:54:28 AM »
The Style Guru Says.........


Thanx Neer Bhai!!!
Gud work Janasheen Ji!!

& Tabassum Ji,Naam me kya rakha hai??? Phir bhi Bande ko "Tarun" kehte hain....

Arz Hai,

Dil me Intezaar ki lakeer chhod jayenge,
Aankhon me yaadon ki nami chhod jayenge,
Dhoondte firoge hume ek din,
Zindagi me aisi kami chhod jayenge.....
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #119 on: May 04, 2006, 08:57:54 AM »
Jaane Ke Baad Tumhare Mere Dil Mein Kami Na Hogi,..
Hum Tum Kuch Is kadar Dil Mein Basaalenge Jaanasheen,..
Logged
Pages: 1 ... 4 5 6 7 [8] 9 10 11 12 ... 36
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 17, 2024, 10:37:00 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.099 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer