Dard Nichodte hai.....( Ghayel )

by Sajid_Ghayel on April 26, 2010, 03:55:21 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 1458 times)
Sajid_Ghayel
Guest
Jab kabhi hum apna dard nichodte hai
Behte hai bohat aasoo aur zabt todte hai

Nahi chodti unko sharmindgi yado ki
Rah_e_safar apna jo humsafar chodte hai

Na ban saka unse kuch bhi zamane me
Auro se kiya aksar jo ahad todte hai

Paththar ki zameen par paththar ke samne
Zinda mere shehar ke sar phodte hai

Jab aazmaya humne yeh baat humne jani
Jo todte hai aksar wahi dil ko jodte hai

Rukh hawao se mushkil ek aur bhi hai Ghayel
Hum shayri se apni rukh zamane ka modte hai

Sajid Ghayel
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
WOH DARD KI DUKAN.......(GHAYEL) by sajid_ghayel in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry) « 1 2  All »
Hone de Ghayel muje.......(Ghayel) by sajid_ghayel in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Ghayel kahe Parmeshwar........(Ghayel) by sajid_ghayel in Shayari-e-Parastish « 1 2  All »
Ghayel samajhta hain......(Ghayel) by sajid_ghayel in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2 ... 7 8 »
Mujhe ghayel karne wala.....(Ghayel) by sajid_ghayel in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan « 1 2  All »
mamta bajpai
Guest
«Reply #1 on: April 27, 2010, 12:06:46 AM »
Lajawab peshkash!!!Bahut khoob!!
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 12 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #2 on: April 27, 2010, 05:27:41 AM »
good one ghayel ji Applause Applause Applause Applause
Logged
tamanna.pt
Guest
«Reply #3 on: April 27, 2010, 05:33:43 AM »

        Ghayal sb. aapki kalam ki tareef me hum kuch bhi likheng kam hi padega, bahut umda , shabnam ko moti me tabdeel karne ka madda rakhte hai aap tabhi har mamuli si baat bhi aap jaise shayaro ki kalam se guzar k khaas hojaya karti hai. Aapke kalaamo se bahut kuch seekhne ko milega.  
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #4 on: April 27, 2010, 07:13:44 AM »
Bahut khoob Ghayel Ji
Logged
sbechain
Guest
«Reply #5 on: April 27, 2010, 09:31:50 AM »
   
          Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
        ALFAAZ MAIN GAR JADU HO TO INQALAAB AATA HAI,
        WARNA YEH ZABAAN AKSAR RUSWAI KA SABAB HOTI HAI
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #6 on: April 27, 2010, 12:38:57 PM »
ahh kahe ya wah bhai , kya qoob kaha janab mann , 4th ashar me kya kahe diya mere bhai wah kya qoob , baaqi ashar bhi qoob rahe .. magar 4th ashar ke liye ghazal kahi hogi apne .. kya kahene dad hazir hai qubool karen ..


duwa go

qadeertoopchi
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #7 on: April 27, 2010, 12:41:13 PM »
   
          Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
        ALFAAZ MAIN GAR JADU HO TO INQALAAB AATA HAI,
        WARNA YEH ZABAAN AKSAR RUSWAI KA SABAB HOTI HAI

wallah saheba kya qoob baath kahi hai ,, wah kya almia hai sahab .. kya kahene .. bahoth sahi kaha apne .. dad hazir hai apki qidmath  me .. allah apko hamesha khush rakhe ..


khadim

qadeertoopchi
Logged
cara
Guest
«Reply #8 on: April 27, 2010, 01:09:54 PM »
Wah kya baat hai             Sajid_Ghayel ji......


Pashtatey wahi hai jo inka saath chodte hai
na jaane "GHAYEL" ki shayri mein kya dum hai
wahi phirse aake insey naata jodte hai......
Logged
Sajid_Ghayel
Guest
«Reply #9 on: April 27, 2010, 03:46:19 PM »
Lajawab peshkash!!!Bahut khoob!!

Nawazish karam Mamta Jee...........
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #10 on: May 04, 2010, 11:57:35 AM »
very nice Ghayal ji. Applause Applause Applause
Logged
Sajid_Ghayel
Guest
«Reply #11 on: May 04, 2010, 08:56:38 PM »
good one ghayel ji Applause Applause Applause Applause

Nawazish Karam Adil Jee....
Logged
Sajid_Ghayel
Guest
«Reply #12 on: August 05, 2010, 07:14:40 PM »
       Ghayal sb. aapki kalam ki tareef me hum kuch bhi likheng kam hi padega, bahut umda , shabnam ko moti me tabdeel karne ka madda rakhte hai aap tabhi har mamuli si baat bhi aap jaise shayaro ki kalam se guzar k khaas hojaya karti hai. Aapke kalaamo se bahut kuch seekhne ko milega.  

Tamanna jee yeh to bas aapki zarra nawazi hai, warna main kya aur meri hasti kya...........yuhi sath banaye rakhna.
Logged
Sajid_Ghayel
Guest
«Reply #13 on: September 15, 2010, 07:45:08 PM »
Bahut khoob Ghayel Ji

Badi meharbani mere bhai.......
Logged
aaina
Guest
«Reply #14 on: September 15, 2010, 10:39:16 PM »
sajid sahab khoob achi takhleeq......daad



aslam
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 20, 2024, 12:22:25 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.15 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer