Rajigujral
Khususi Shayar
   
Rau: 17
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:4 days, 59 minutes.
Posts: 1703 Member Since: Apr 2014
|
Ik roz poochha usne mujh se, Kya mai.n is dard se nizat payunga?, Kya phir chal - fir sakoonga mai.n,Kya mai.n behtar ho jaunga?
Kya jawab mai.n deta is sawal, Nahi janta tha anjam uske hal ka. Phir bhi kaha tu achha ho jayega,Chalega,dorehga, khushiyan manayega.
Sehta raha wo dard isi umeed mai.n,magar achha hona nahi tha uske nasib mai.n. Sab kehte the woh bach nahi payega, Yeh rog,usko khatam karke hi jayega.
Wahi hua,ik din wo kehne laga,Der lag raha hai mujh ko, aur hasne laga. Shayad keh raha tha ki woh janta tha ,Maine bola jhoot, use behlane ke liye, Mai.n kayar tha, nahi tha dam mujh mei.n sach se takrane ke liye
Kaise samjhata usko ki koi kayar ho ya bahadur, koi farak nahi padta, Waqt tootta hai jab kisi per, woh bahaduri ki kadar nahi karta.
Ho gaya woh khamosh phir hamesha ke liye, mil gayi nizat usko dard se.
Sochta hun shayad yeh accha hi hua, Kam thi zindagi uski woh khush nseeb tha.
Zindagi jitani bhi kam ho yeh behtar hai, Agar lambi ho zindgi to badtar hai. Badta hai dard waqt se, kam nahi hota,Badan ke dard se badkar hai dard is dil ka. Badan ke dard ko koi dawa khatam bhi ker de, Dil ka dard marne se pehle khatam nahi hota.
|