Do Lafz The Ik Baat Thi.

by majid on June 08, 2009, 08:16:24 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 1984 times)
majid
Guest
  Tum  The  To  Jaise  Khushiyon  Ki  Bahaar Thi.
  Zindagi  Bhala   Aise  Kahan  Ghumkhwaar  Thi.

  Dil Ki Deewaron Pe  Woh  Teri Yaadon Ki Kirne
  Labon  Pe Tabassum Ki Kaliyan , Beshumar Thi

  Sazti  Thi  Aksar  Mehfilein  Unhi  ke  Naam  Se
  Aise To Na Khamoshiyan , Humpe Sanwaar Thi.

  Socha Na Tha Tu Karega Ruth Ne Ka Yun Faisla
  Do Lafz The Ik Baat Thi, Aisi Kahan Taqraar Thi.


                      
                     ~Shihab~

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
aik lafz by gulzargul in Miscellaneous Shayri
do lafz(gul) by gulzargul in Shayri for Khumar -e- Ishq
lafz(gul) by gulzargul in Shayri for Khumar -e- Ishq
Ghazal:maiN baat dil se kahta huuN yah baat merii maaniYe! by divyam in Ghazals
LAFZ.............(K_A) by khamosh_aawaaz in Miscellaneous Shayri
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #1 on: June 08, 2009, 08:24:37 AM »
Tum The To Jaise Khushiyon Ki Bahaar Thi.
  Zindagi Bhala Aise Kahan Ghumkhwaar Thi.

  Dil Ki Deewaron Pe Woh Teri Yaad Ki Kirne
  Labon Pe Tabassum Ki Kaliyan Beshumar Thi

  Sazti Thi Aksar Mehfilein Unhi ke Naam Se
  Aise To Na Khamoshiyan Humpe Sanwaar Thi.

  Socha Na Tha Tu Karega Ruth Ne Yun Ka Faisla
  Do Lafz The Ik Baat Thi Aisi Kahan Taqraar Thi.



Waah Kya Khoob Kaha Hai Bhai, Bohat Bohat Achche, Really Great Job Yaar,.
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #2 on: June 08, 2009, 08:33:15 AM »
bahut badhiya Sahib ji. Applause Applause

          Tum the to thi zindagi rangon se bhari
          Har pal me ek nyi udan thi
          Tum nhi ho to mehsoos ye hota h
          Zindagi meri pahle nai itni viraan thi
         
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #3 on: June 08, 2009, 08:39:02 AM »

Zindagi Humpar Bhi Kuch Isi Taraah Nisaar Thi,.
Khwaabon Ki Kali Thi, Khushiyon Ki Bahaar Thi,.

Tha Taalookh Sabse Apna, Sabse Rafaqat Beshumaar Thi,.
Sab Faisla Manzoor Tha Uska, Kab Us Se Takraar Thi,.

Na Dawaa Banke Kaam Aayi, Na Duwaa Banke Kaam Aayi,.
Kya Karte Hum Bhi "Azeem, Jab Kismat Hi Bimaar Thi,.

Milta Raha Zakham, Har Kadam Uthaane Se Pehle Mujhe,.
Umr Bhar Zindagi Meri, Khushiyon Ki Talabgaar Thi,.

Aaj Kar Rahe Hain Badsalookhi Humse Mehfilon Mein,.
Kal Nazarein Milaane Ki Bhi, Humse Kise Majaal Thi,.

Ye Bhi Ek Tajruba Hai Zindagi Ka Shihab,.
Aaj Gham Hain To Kya Gila, Kal To Ye Khush-Khumaar Thi,.

_________________________________________-Azeem-

Logged
sanam hasaam
Guest
«Reply #4 on: June 08, 2009, 08:50:52 AM »
dil par aise bhi azabon ko utarte dekha,
humnay chup chaap usse khud se bicharte dekha,
tujh ko socha to har soch me khushbo utri tujh ko
likha to har lafz ko mehakte dekha,yaad aajaye to
kabhu nahi rehta dil par,warna,,duniyane bhi hum ko
tarpte dekha,teri soorat ko fakat aankh hi na tarsi hai,
raston ko bhi teri yaad me rote dekha...
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #5 on: June 08, 2009, 01:41:39 PM »
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bohut khoob Shihab ...
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #6 on: June 08, 2009, 03:48:31 PM »
Bahut Khoooooob Shihab Bhai & Azeem Bhai... Behad khubsoorat likha hai aap dono ne.. Applause Applause


**~** Mann **~**
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #7 on: June 08, 2009, 04:33:15 PM »
Tum The To Jaise Khushiyon Ki Bahaar Thi.
  Zindagi Bhala Aise Kahan Ghumkhwaar Thi.

  Dil Ki Deewaron Pe Woh Teri Yaad Ki Kirne
  Labon Pe Tabassum Ki Kaliyan Beshumar Thi

  Sazti Thi Aksar Mehfilein Unhi ke Naam Se
  Aise To Na Khamoshiyan Humpe Sanwaar Thi.

  Socha Na Tha Tu Karega Ruth Ne Ka Yun Faisla
  Do Lafz The Ik Baat Thi Aisi Kahan Taqraar Thi.



Bahut Bahut Khoob Majid Bhai. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bahut Acha Likha hai Azeem Aapne Bhi.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bahut Khoob Sanam pooja ... Clapping Smiley Clapping Smiley

Logged
dead heart
Guest
«Reply #8 on: June 08, 2009, 08:16:30 PM »
Bahaut bahaut acha likha hai Shihab bhaijan, Azeem bhaijan aur Sanam jee..Applause Applause
Logged
Talat
Guest
«Reply #9 on: June 08, 2009, 08:24:51 PM »
Tum The To Jaise Khushiyon Ki Bahaar Thi.
  Zindagi Bhala Aise Kahan Ghumkhwaar Thi.

  Dil Ki Deewaron Pe Woh Teri Yaad Ki Kirne
  Labon Pe Tabassum Ki Kaliyan Beshumar Thi

  Sazti Thi Aksar Mehfilein Unhi ke Naam Se
  Aise To Na Khamoshiyan Humpe Sanwaar Thi.

  Socha Na Tha Tu Karega Ruth Ne Ka Yun Faisla
  Do Lafz The Ik Baat Thi Aisi Kahan Taqraar Thi.



Bohot Khoob Majid Applause Applause Applause
Logged
Talat
Guest
«Reply #10 on: June 08, 2009, 08:25:34 PM »
bahut badhiya Sahib ji. Applause Applause

          Tum the to thi zindagi rangon se bhari
          Har pal me ek nyi udan thi
          Tum nhi ho to mehsoos ye hota h
          Zindagi meri pahle nai itni viraan thi
         

Nice one Pooja Ji
Logged
Talat
Guest
«Reply #11 on: June 08, 2009, 08:26:37 PM »

Zindagi Humpar Bhi Kuch Isi Taraah Nisaar Thi,.
Khwaabon Ki Kali Thi, Khushiyon Ki Bahaar Thi,.

Tha Taalookh Sabse Apna, Sabse Rafaqat Beshumaar Thi,.
Sab Faisla Manzoor Tha Uska, Kab Us Se Takraar Thi,.

Na Dawaa Banke Kaam Aayi, Na Duwaa Banke Kaam Aayi,.
Kya Karte Hum Bhi "Azeem, Jab Kismat Hi Bimaar Thi,.

Milta Raha Zakham, Har Kadam Uthaane Se Pehle Mujhe,.
Umr Bhar Zindagi Meri, Khushiyon Ki Talabgaar Thi,.

Aaj Kar Rahe Hain Badsalookhi Humse Mehfilon Mein,.
Kal Nazarein Milaane Ki Bhi, Humse Kise Majaal Thi,.

Ye Bhi Ek Tajruba Hai Zindagi Ka Shihab,.
Aaj Gham Hain To Kya Gila, Kal To Ye Khush-Khumaar Thi,.

_________________________________________-Azeem-



Bohot Khoob Azeem
Logged
Talat
Guest
«Reply #12 on: June 08, 2009, 08:27:49 PM »
dil par aise bhi azabon ko utarte dekha,
humnay chup chaap usse khud se bicharte dekha,
tujh ko socha to har soch me khushbo utri tujh ko
likha to har lafz ko mehakte dekha,yaad aajaye to
kabhu nahi rehta dil par,warna,,duniyane bhi hum ko
tarpte dekha,teri soorat ko fakat aankh hi na tarsi hai,
raston ko bhi teri yaad me rote dekha...

Nice Sharing Sanam Ji
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #13 on: June 09, 2009, 03:52:49 AM »
Subhan_allah badi khoobsurat mehfil sajayee hain tumne Shihab sabhi ne khoob likha hain...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #14 on: June 09, 2009, 06:11:29 AM »
Shukriya..

[bMajid Bhai,.
Mann {Vikas} Bhai,.
Khwaish Bhai,.
Rahim Bhai,
Sajid Bhai,.
Talat Sis,.

Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 24, 2024, 04:02:11 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.155 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer