Ghazal:maiN baat dil se kahta huuN yah baat merii maaniYe!

by divyam on February 24, 2009, 03:20:42 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 2113 times)
divyam
Guest
Reply with quote
Pyaare dostoN,

ek Ghazal pesh-e-khidmat hai, paRhiye aur izhaar-e-khayaal zaroor farmaayeN:(yeh Ghazal do ek saal puraani hai, tab me.n takhallus me.n apna naam hi istemaal kiya karta tha.. Usual Smile )

***************************************

maiN baat dil se kahta huuN yah baat merii maaniYe!
mil jaaYe gaa sab kuch waheeN dar par Khudaa ke jaaniYe!

yeh zindagee kee raah pyaare! muKhtaSar hee jaaniYe!
hai lamHah lamHah qeematee kuch mol to pehchaaniYe!

gar HauSile ooNche hoN to baadal bhee Khud chhaT jaaYeN ge
kaT jaayeNgii duShwaariyaaN jo kaam dil meiN Thaaniye!

jab un ke paas aataa hooN maiN woh door mujh se jaate haiN
hai un ke dil meN baat kyaa yeh raaz kaise jaaniYe?

chehre ke peechhe haiN chhupe chehre bohat, ShakleN hazaar
duShman kee kyaa pehchaan hai aur dost kis ko jaaniYe?

TooTaa hu'aa. looTaa hu'aa, sahmaa hu'aa, bikhraa hu'aa
ham aap ko dil de chuke haiN, maaniYe nah maaniYe!

Maqta Haazir hai:

kucHh lafz haiN TooTe :Mayank:, eHsaas kucHh bikhre huwe
yaaroN se maiN kehtaa huuN :mujh ko jaaniye, pehchaaniYe:!


-Mayank
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Baat baat bhi na thi by Rajesh Harish in Miscellaneous Shayri
Baat baat mein baat..... by SURESH SANGWAN in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Baat se baat niklegi...manju by manjum in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
wo baat aadhuri si wo baat rahne dejiyega : paani by paani in Shayri-E-Dard
Ghazal: baat ChhoTii sii haii maaniYe saahib...! by DhavalRami in Shayri-E-Dard
Talat
Guest
«Reply #1 on: February 24, 2009, 03:27:29 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Bohot Hi Khoobsurat Ghazal Hai Divyam 'Mayank' Ji Bohot Khoob !!
Logged
salil2002
Guest
«Reply #2 on: September 11, 2009, 06:59:28 AM »
Reply with quote
MAYANK  dost bahut hi khoobsurat ghazal hai daad dil se kabool farmaaye
Logged
Roja
Guest
«Reply #3 on: September 12, 2009, 03:08:46 AM »
Reply with quote
Bahut khoob Mayan ki...  Applause
Logged
aaina
Guest
«Reply #4 on: September 12, 2009, 04:06:27 AM »
Reply with quote
Pyaare dostoN,

ek Ghazal pesh-e-khidmat hai, paRhiye aur izhaar-e-khayaal zaroor farmaayeN:(yeh Ghazal do ek saal puraani hai, tab me.n takhallus me.n apna naam hi istemaal kiya karta tha.. Usual Smile )

***************************************

maiN baat dil se kahta huuN yah baat merii maaniYe!
mil jaaYe gaa sab kuch waheeN dar par Khudaa ke jaaniYe!

yeh zindagee kee raah pyaare! muKhtaSar hee jaaniYe!
hai lamHah lamHah qeematee kuch mol to pehchaaniYe!

gar HauSile ooNche hoN to baadal bhee Khud chhaT jaaYeN ge
kaT jaayeNgii duShwaariyaaN jo kaam dil meiN Thaaniye!

jab un ke paas aataa hooN maiN woh door mujh se jaate haiN
hai un ke dil meN baat kyaa yeh raaz kaise jaaniYe?

chehre ke peechhe haiN chhupe chehre bohat, ShakleN hazaar
duShman kee kyaa pehchaan hai aur dost kis ko jaaniYe?

TooTaa hu'aa. looTaa hu'aa, sahmaa hu'aa, bikhraa hu'aa
ham aap ko dil de chuke haiN, maaniYe nah maaniYe!

Maqta Haazir hai:

kucHh lafz haiN TooTe :Mayank:, eHsaas kucHh bikhre huwe
yaaroN se maiN kehtaa huuN :mujh ko jaaniye, pehchaaniYe:!


-Mayank



bhut hi khoobsurat eshsaasat, daad hazir hai mayank sahab qubool karen
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 23, 2024, 11:06:25 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.097 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer