~Door Jate huye~

by pankshivam on November 29, 2008, 11:23:04 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1689 times)
pankshivam
Guest
Beet jayegi ye zindagi shayad abb usse bhulate huye...
Yaad bankar rahegi tasveer uski muskurate huye...
Chahat rahi ek lamha jeene ki sath usake,
Sau baar mar raha hun aaj usse door jate huye...


~Pank~
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #1 on: November 29, 2008, 12:34:33 PM »
Very well said Shivam  Applause
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #2 on: November 29, 2008, 12:42:50 PM »
Shukriya Sajid Sahab!!!
Logged
taheer khaja
Guest
«Reply #3 on: November 29, 2008, 02:03:07 PM »
pank ji. bahut khoob Applause
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #4 on: November 29, 2008, 02:11:04 PM »
Beet jayegi ye zindagi shayad abb usse bhulate huye...
Yaad bankar rahegi tasveer uski muskurate huye...
Chahat rahi ek lamha jeene ki sath usake,
Sau baar mar raha hun aaj usse door jate huye...


~Pank~
Bohat Badhiya Pank Ji,.

Chahat Apni Bhi Thi Ke Us Se Doori Na Ho,.
Hum Dono Ke Beech Koi Majboori Na Ho,.

Khuda Ko Jaane Kya Manzoor Tha, Maloom Nahi,.
Ya Phir Usne Chahat Ki, Ke Meri Duaa Poori Na Ho,.

_________________________-Jaanasheen-
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #5 on: November 29, 2008, 02:34:34 PM »
Bohat khoob pank ji

Bohat khoob Azeem bhai...

 
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #6 on: November 29, 2008, 02:43:17 PM »
Bohat Badhiya Pank Ji,.

Chahat Apni Bhi Thi Ke Us Se Doori Na Ho,.
Hum Dono Ke Beech Koi Majboori Na Ho,.

Khuda Ko Jaane Kya Manzoor Tha, Maloom Nahi,.
Ya Phir Usne Chahat Ki, Ke Meri Duaa Poori Na Ho,.

_________________________-Jaanasheen-

Dilwale apni duao me asar rakhte hain
Milne ki ummeed aur  fitrat me apni sabar rakhte hain
Q itne pareshaan aap aaj nazar aate hain azeem
Aap ghayel nahi shayer hain aap dil jeetne ka hunar rakhte hain

                                        -sg-
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #7 on: November 29, 2008, 04:16:21 PM »
Dilwale apni duao me asar rakhte hain
Milne ki ummeed aur  fitrat me apni sabar rakhte hain
Q itne pareshaan aap aaj nazar aate hain azeem
Aap ghayel nahi shayer hain aap dil jeetne ka hunar rakhte hain

                                        -sg-


Shukriya Honeyroseji!!!
Shukriya Jaanasheenji !!!
Shukriya Taheer Khaja !!!
Shukriya Sajid Sahab !!!
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #8 on: December 01, 2008, 07:31:23 AM »
Dilwale apni duao me asar rakhte hain
Milne ki ummeed aur  fitrat me apni sabar rakhte hain
Q itne pareshaan aap aaj nazar aate hain azeem
Aap ghayel nahi shayer hain aap dil jeetne ka hunar rakhte hain

                                        -sg-


Great Bhaijaan,.

Dil Jeetne Ka Hunar Humne Kho Diya,.
Shayaari Karte Karte Jab Main Ro Diya,.

Ab Duniya Samajhti Hai Kamzor Mujhe,.
Dene Lagi Hai, Gham Kuch Aur Mujhe,.

"Sajid" Roshan Sitaara Hai Mehfill Ka,.
"Azeem To, Patthar Hai Veeraan Ki Manzil Ka,.

Yunhi "Sajid" Duniya Ko Ujaala Dena,.
Aur Logon Ko Mere Haal, Ka Ishaara Dena,.

________________________-Jaanasheen-
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #9 on: December 01, 2008, 07:49:28 AM »
Great Bhaijaan,.

Dil Jeetne Ka Hunar Humne Ho Kho Diya,.
Shayaari Karte Karte Jab Main Ro Diya,.

Ab Duniya Samajhti Hai Kamzor Mujhe,.
Dene Lagi Hai, Gham Kuch Aur Mujhe,.

"Sajid" Roshan Sitaara Hai Mehfill Ka,.
"Azeem To, Patthar Hai Mohabbat Ki Mazil Ka,.

Yunhi "Sajid" Duniya Ko Ujaala Dena,.
Aur Logon Ko Mere Haal, Ka Ishaara Dena,.

________________________-Jaanasheen-


Milta rahe aap logo ka sath bs itani duaa karte hain...
Dhadak jaye kisi ke gam me dil to vahi kehalata hai,
Varna Dil toh pathhar ke bhi huaa karte hain...
Dekhe hai zamane me lakh Shayar hamne,
Par bahoot kam log hain jo dilo ko chhua karte hain ...
 
Shukriya Sajid Sahab!!!
Shukriya Jaanasheenji!!!
Aap Sabhi Logo ka Tahe Dil se Shukriya!!!
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #10 on: December 01, 2008, 08:13:46 AM »
Milta rahe aap logo ka sath bs itani duaa karte hain...
Dhadak jaye kisi ke gam me dil to vahi kehalata hai,
Varna Dil toh pathhar ke bhi huaa karte hain...
Dekhe hai zamane me lakh Shayar hamne,
Par bahoot kam log hain jo dilo ko chhua karte hain ...
 
Shukriya Sajid Sahab!!!
Shukriya Jaanasheenji!!!
Aap Sabhi Logo ka Tahe Dil se Shukriya!!!


U Are Welcome,.
And Nice One Again,.

Saath Hain Hum Tumhare, Tumhe Manzil Tak Pahoonchaayenge,.
Manzil Ki Khushi Paakar Kahin Bhool Na Jaana, Hum Tumhe Na Bhool Paayenge,.

Har Khushi Meri Tumse Hi Jurdi Hai "Jaan",.
Tum Jo Rooth Jaao, To Beshaq, Marr Jaayenge,.

Dil Ko Choo Jaaye Waisi Shayari To Nahi Aati,.
Lekin Dheere Dheere, Apna Haal Aapko Sunaayenge,.

Sunkar Mera Haal, Shayad Aapke Dil Se Aaah Nikle,.
Shayari Ko zariya Banaakar, Aapke Dil Mein Bas Jaayenge,.

_________________________________-Jaanasheen-


Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 24, 2024, 03:08:56 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.165 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer