Ek nishani rah jayegi............

by Pooja on February 20, 2006, 09:49:10 AM
Pages: 1 ... 13 14 15 16 [17] 18 19 20 21 ... 29
Print
Author  (Read 24172 times)
angel4u
Guest
«Reply #240 on: October 06, 2006, 06:01:15 PM »
Thanks waheed bro... Usual Smile


Jab yaad na karna chahoge yaad aayenge hum,
teri yaadon tere khwabon mein yun chha jayenge hum,
dhundoge har jagah tasveer hamari magar,
tab teri pahuch se bahut door chale jayenge hum...
* * * * *
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
amar ho jayegi by qayda in Shayri-E-Dard
dosti bikhar jayegi by myloveosho in Shayri for Dard -e- Judai
ZINDAGI PHIR SAWAR JAYEGI by kyon dil aaj dukha hai in Shayri for Khumar -e- Ishq
Tu Chali Jayegi To Ye Dhadkan Rook Jayegi...........Touhid by Mohammad Touhid in Shayri for Dard -e- Judai
waheed_rose2004
Guest
«Reply #241 on: October 06, 2006, 06:28:56 PM »
yeh  bhi wahi bolti hai Puzzled !   ur  welcome  Aunty  tongue3

nice  again ......
Logged
angel4u
Guest
«Reply #242 on: October 06, 2006, 06:36:38 PM »
Tum uncle tongue3
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #243 on: October 07, 2006, 05:34:47 PM »
Good one all and thanks too ...
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #244 on: October 07, 2006, 05:37:06 PM »
Hazaaro jhopdiya jalkar raakh hoti hai,
Tab jaa kar kahi ek  mahal banta hai,
Aashiqo ke marne par kafan bhi nahi milta,
Aur hasinaao ke marne par Taj Mahal banta hai ...
Logged
dewanadil
Guest
«Reply #245 on: October 07, 2006, 05:52:07 PM »
itz too gud!!

ishq me marne waale ko shahdat milti hai..
chahe banjaye taaj mahal,banane wala to aashiq hota hai.....
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #246 on: October 07, 2006, 06:10:57 PM »
Aashiqo ke dil ki dhadkane pattharo mein dab jaati hai,
Ki jab bhi hasina ko dafnaya jaaye to uske saath wo bhi tadpe ...
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 3 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #247 on: October 12, 2006, 01:09:31 PM »
Quote from: "Pooja"

kahi ander dard mai sama gaya
wo shakas jo hath apna chura gaya
pal pal mai beet gaye kaise barso
barso ka sath, jhootha wo bata gaya

kab hua milan, kab judai bhi aa gai
kayun itna zalim, apne dil ko wo bana gaya
waqat ka dariya to bahta hi jayega
jakham magar wo bahoot gahra bana gaya


zakahm gehra hai zakmo mein namak malte hai,
dard sehte hai tera aur.. dard mein jalte hai.
zindgi aaj bhi to teri judaai sehti hai,
pyaar zinda hai mera ye khudai kehti hai.

zinda hu main per ye zindgi satati hai,
zindgi ke bahon mein bas tanhaayee hi aati hai.
dil mein dard aankho mein nami rehti hai
pyaar zinda hai mera ye khudaai kehti hai.
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #248 on: October 12, 2006, 04:01:47 PM »
Khuli jo aankhen to manzar ajeeb tha,
Dard tha magar wo dil ke kareeb tha,
Jinhe hum dhundte the haatho ki lakeero mein,
Pata chala wo kisi aur ka nazeeb tha ...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #249 on: October 20, 2006, 05:35:12 AM »
khud ke dard ko sahlana acha lagta hai
pal pal jakham apne ko jagana acha lagta hai

ansoo ki lardi mai, socho ki rawani
is kahani ko dohrana acha lagta hai

dil ka gubbar, deemag band kar chala ab
goom hona andhiyaare main acha lagta hai

bahoot jee li Pooja, farebi duniya main
ab to khamosh So jaane ko dil karta hai….
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #250 on: October 28, 2006, 08:16:38 AM »
Agar hai tujhe mujhse zara si bhi mohabbat to ek ishaara kar de,
Jis khwaab mein hum saath ho bas wo ek khwaab hamara kar de ...
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #251 on: October 28, 2006, 10:09:38 AM »
Quote from: "Just_Hate_Love"
Agar hai tujhe mujhse zara si bhi mohabbat to ek ishaara kar de,
Jis khwaab mein hum saath ho bas wo ek khwaab hamara kar de ...



WAH JHL ji... do line me hi bahut kuch kaha gaye aap........
bahut khoob...........

nice one POOJA JI.....
Logged
niraj_191
Guest
«Reply #252 on: October 28, 2006, 10:45:08 AM »
Quote from: "Pooja"
khud ke dard ko sahlana acha lagta hai
pal pal jakham apne ko jagana acha lagta hai

ansoo ki lardi mai, socho ki rawani
is kahani ko dohrana acha lagta hai

dil ka gubbar, deemag band kar chala ab
goom hona andhiyaare main acha lagta hai

bahoot jee li Pooja, farebi duniya main
ab to khamosh So jaane ko dil karta hai….


dard khudka batake unhone ye jataya hai
aaj se ye banda unke liye paraya hai

unhone aasuon ki kahani ko dohraya hai
yaha bhi patjhad me savan aaya hai

unki jindgi me ab andheron ka saya hai
humne roshni ke liye khud ko jalaya hai

aaj unhone apni jindgi ko thukraya hai
humne to khud ko unki 'jindgi' banaya hai
Logged
Pooja
Guest
«Reply #253 on: October 28, 2006, 11:36:04 PM »
Quote from: "Just_Hate_Love"
Agar hai tujhe mujhse zara si bhi mohabbat to ek ishaara kar de,
Jis khwaab mein hum saath ho bas wo ek khwaab hamara kar de ...


wah JHL JI, Kaya baat hai do line mai bahoot khoob kah gaye app. bahoot ach alikha hai apne.

her khawab main wo, her saans mai wo
jo na hua mera kabhi, ek insaan wo......
Logged
Pooja
Guest
«Reply #254 on: October 28, 2006, 11:36:47 PM »
Quote from: "vicky AKELA"
Quote from: "Just_Hate_Love"
Agar hai tujhe mujhse zara si bhi mohabbat to ek ishaara kar de,
Jis khwaab mein hum saath ho bas wo ek khwaab hamara kar de ...



WAH JHL ji... do line me hi bahut kuch kaha gaye aap........
bahut khoob...........

nice one POOJA JI.....


shukaria vicky ji.... app bina likhe chale gaye sad5
Logged
Pages: 1 ... 13 14 15 16 [17] 18 19 20 21 ... 29
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 20, 2024, 10:00:48 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[May 18, 2024, 12:47:34 PM]

[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.145 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer