Ek nishani rah jayegi............

by Pooja on February 20, 2006, 09:49:10 AM
Pages: 1 ... 14 15 16 17 [18] 19 20 21 22 ... 29
Print
Author  (Read 24170 times)
Pooja
Guest
«Reply #255 on: October 28, 2006, 11:40:17 PM »
Quote from: "niraj_191"
Quote from: "Pooja"
khud ke dard ko sahlana acha lagta hai
pal pal jakham apne ko jagana acha lagta hai

ansoo ki lardi mai, socho ki rawani
is kahani ko dohrana acha lagta hai

dil ka gubbar, deemag band kar chala ab
goom hona andhiyaare main acha lagta hai

bahoot jee li Pooja, farebi duniya main
ab to khamosh So jaane ko dil karta hai….


dard khudka batake unhone ye jataya hai
aaj se ye banda unke liye paraya hai

unhone aasuon ki kahani ko dohraya hai
yaha bhi patjhad me savan aaya hai

unki jindgi me ab andheron ka saya hai
humne roshni ke liye khud ko jalaya hai

aaj unhone apni jindgi ko thukraya hai
humne to khud ko unki 'jindgi' banaya hai



wah kaya baat hai, bahoot hi acha likha hai Niraj ji apne.....

zindagi de kar bhi wo mera na hua
kyun uski soch se itna na hua

bikhar gai zarra zarra meri zindagi
uski zindagi per koi asar na hua

chal diya munh morr kar wo is tarah
jaise uski zindgi main, kabhi mera koi zikar hi nahi hua......
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
amar ho jayegi by qayda in Shayri-E-Dard
dosti bikhar jayegi by myloveosho in Shayri for Dard -e- Judai
ZINDAGI PHIR SAWAR JAYEGI by kyon dil aaj dukha hai in Shayri for Khumar -e- Ishq
Tu Chali Jayegi To Ye Dhadkan Rook Jayegi...........Touhid by Mohammad Touhid in Shayri for Dard -e- Judai
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #256 on: November 05, 2006, 08:05:08 AM »
Thanks a lot Vicky and Pooja for appreciation ...
And cool written by you too Pooja ...
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #257 on: November 05, 2006, 08:07:13 AM »
Aaj phir se aankhen narm kyu hai,
Jise paaya nahi use khone ka gum kyu hai,
Unse milkar bichhde to ehsaas hua ki,
Khuda ne jo zindagi di wo itni kam kyu hai ...
Logged
srikant
Guest
«Reply #258 on: November 05, 2006, 11:28:12 AM »
Koi umeed bar* nahi aati
koi Surat nazar nahi aati

Maut ka ek din mua-iyan* hai
needy kyun raa t bhar nahi aati

Aage aati thee haal-e-dil pe hansi
ab kissi baat per nahi aati

Jaanta houn savaab-ta_ato zehad*
per tabiyat idhar nahi aati

Hai kuch aisee he baat jo chup houn
verna kya baat kar nahi aati

Kyun na cheekhun ke yaad kerte hain
meri awaaz gar nahi aati

Daag-e-dil gar nazar nahi aata
boo bhee e charagar* nahi aati

Hum wahaan hain jahaan se humko he
khud humari khabar nahi aati

Marrte hain aarzoo me Marne ki
maut aati hai per nahi aati

Kaaba kiss muh se jaoge gaalib
sharm tumko magar nahi aati
Logged
angel4u
Guest
«Reply #259 on: November 06, 2006, 06:12:48 PM »

Us Shakhs Ko Mera Halka Sa Ehsaas To Hai,
Be-Dard Sahi Wo Mera HuMraaz To Hai,

Wo Aaye Na Aaye Mere Paas Lekin,
Shiddat Se Mujhe Uska Intezaar To Hai,

Abhi Nahi To Kya Hua Mil Hi Jayenge Kabhi,
Mere Dil Mein Usse Milan Ki Aas To Hai,

Pyaar Ki Gawahi Mere Rooh Ke Aansuon Se Maang,
Barasti Nahi Aankhein Magar Dil Udaas To Hai...
* * * * *
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #260 on: November 20, 2006, 05:49:39 PM »
Ehsaas tera apne dil se lagaye baithe hai,
Hum dard ko bich dariya mein jalaye baithe hai,
Jo na kar sake ikraar apni mohabbat ka sar-e-aam,
Aise logo ki tasveer hum apne ghar mein basaye baithe hai ...
Logged
shahid
Guest
«Reply #261 on: November 25, 2006, 06:10:57 AM »
heyyyyyyy lisen everybody waheed bhai kho gai hain unko dhoondne main meri madad karo.
Logged
angel4u
Guest
«Reply #262 on: November 25, 2006, 07:26:26 PM »
are wo bombay mein ghum raha hai, kahin nai khoya hai......
Logged
Pooja
Guest
«Reply #263 on: November 26, 2006, 09:28:53 AM »
bahoot khoob srikan, JHL JI, Majid and angle...

dil ke dard ko ab khud hum satane lage
socho mai doob kar, khud ko rulane lage

bada kar gum apne ko, is tarah khud ko samjhane lage
na thi kismat humari, jo wo humse door jaane lage
Logged
niraj_191
Guest
«Reply #264 on: November 26, 2006, 11:48:24 AM »
dil ka dard kisiko jataya nahi jata
is tarah apno ko tadpaya nahi jata
gamo ka kafila to yaha bhi hai
kambakht in aankho se roya nahi jata
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #265 on: November 26, 2006, 04:34:47 PM »
Hum to marne ko kab se taiyaar baithe hai,
Par taiyaar meri kabr nahi hoti,
Jaake keh do khuda se kafan bhej de mera,
Humse ab ek pal ki bhi sabr nahi hoti ...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #266 on: November 27, 2006, 07:31:37 AM »
mar mar kar gujari hai zindagi
jeene marne ka ab hosh nahi
bathe hai ban kar pathar ki murat
ho jaaye koi khafa to mera dosh nahi
Logged
Pooja
Guest
«Reply #267 on: November 27, 2006, 08:05:43 AM »
Majid bahoot dino baad apko pad rahi hu... magar her ek shayari ajj apkne kamal ki likhi hai,,,,, good work,...
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #268 on: December 03, 2006, 05:43:17 PM »
Khuda ki likhi ek daastan hai meri zindagi sajane ke liye,
Unka ek andaaz hi kaafi hai mera nazuk dil jalane ke liye,
Nafrat itni karne ki wajah ho sakti hai unki humse maaloom nahi,
Ek pal ka bhi waqt nahi mila humko mere bebas dil ko samjhane ke liye ...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #269 on: December 08, 2006, 06:08:25 AM »
wah kay abaat hai JHL ji...

dil ki dastaan, kalam ne hai sunai
ek ek hanju ke shabdo mai bikhar sayahi
likh likh thaki Pooja, sudh budh hai ajj bhulai
janati hu phir bhi, kahin na hogi mere dard ki sunwaai
Logged
Pages: 1 ... 14 15 16 17 [18] 19 20 21 22 ... 29
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 20, 2024, 05:09:57 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[May 18, 2024, 12:47:34 PM]

[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.667 seconds with 20 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer