HUM SAB MILKAR RAHE......

by khwaish on October 21, 2008, 05:23:25 PM
Pages: 1 2 [3] 4
Print
Author  (Read 3730 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #30 on: October 23, 2008, 07:14:54 PM »
hummm socha tha Dard main nahi likhugi, magar apki baat kaise taali ja sakti hai... chaliye ek koshish apke liye

Muskaan teri main kitna jhooth hai
Yah jhooth chupana bhool gaya

Her kisi ke bas ka nahi, jhooth ko yaha bolna
Jhooth bolte bolte bas, ankh se ankh milana bhool gaya

Her rishta banta hai bhawnao se, iska kaho kaya kahte ho
Sikh liye rishte nibhana, bhawnao ko chupana bhool gaya

Dil ki baat rah kar ke dil main, siyaast baji sikh gaye
Phir hath milate, dhoka dete, garden ko uthana bhool gaya

Khwaish dil ki tasalli ko kah de jo bhi mehfil main
Dosto se magar apni haqiqat chupana bhool gaya!!

Pooja ne her baar socha, dard main na kuch likhne ki
Her baar shabdo ke samne, apna he kaha bhool gaya!!!


Bahut Bahut Khoob Pooja...aapne sach ko alfaazo mein utaara..
bahut ache.. Applause Applause Applause Applause

Zindagi ka har inaam paa liya hota
gar thoda sa sar jhuka liya hota..

kab tak phirte rahe hum yuhi,
chehre par Jhoota Naqaab pehne!!
Kabhi to Yeh Naqaab Utaar Liya Hota....

yehi hai apni zindagi ka falsafa "KHWAISH"
Har aarzoo mukammal hoti agar insaan ban kar jiya hota...

Yeh Andhere kahan bas paate, mere ghar mein "pooja"!!
agar mere paas bhi Umeed ka diya hota....

"khwaish" nahi jaanta, rishte kyon nahi nibh paate zindagi mein??
par yeh jaanta hai, "khwaish" Mar jaata haste hue,
agar Pyaar se uske haath se
ek pyaala bhar Zehar bhi piya hota....



Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
TUMSE MILKAR BHI MAIN ....................... by chiraaaaaaaaag in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
tumse milkar by majid in Shairi - E - Zindagi
EK PRAYAAS - HUM SAB MILKAR KARE by chetanmamtora in Shayeri for Dard -e- Bewafai
aapse milkar ho gaya by rk.yadav in SMS , mobile & JOKES
Aao Milkar Sab Eid Manaayein,. by Azeem Azaad in Occassion Specific Poetry
Pooja
Guest
«Reply #31 on: October 23, 2008, 07:21:32 PM »
bahoot bahoot shukaria Khwaish ji!!! bahoot he acha likha hai apne!!

Mile usse zehar, peete gaye, jeete gaye
na sawal kiya, na manga jawab
dil he dil main
zakhmo ko hum seete gaye
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #32 on: October 23, 2008, 07:34:31 PM »
bahoot bahoot shukaria Khwaish ji!!! bahoot he acha likha hai apne!!

Mile usse zehar, peete gaye, jeete gaye
na sawal kiya, na manga jawab
dil he dil main
zakhmo ko hum seete gaye


Bahut Khoob Pooja.. Applause Applause Applause

Saansein Chal Rahi hai par Zindagi Nahi Hai,
Kya Kare, Har sawaal Ka Jawaab Nahi hai,

Par "pooja" yeh na kabhi puchna,
ke Zindagi Ka Kaafila  chala hai kis aur,
Jis dagar par tere kadam na badhe,
phir woh safar nahi hai....

chalte jaana, chahe iss safar mein insaan mile na mile,
humsafar na mile to kya hua, aisa to nahi ke tere saath tera khuda nahi hai....

Pathar beech jaaye ek raah par to woh musafir ke liye raasta bane,
jis pathar ne sirf chot di hai "KHWAISH"
 phir woh pathar Bhi nahi hai.......

Logged
Pooja
Guest
«Reply #33 on: October 23, 2008, 07:40:45 PM »
 Applause Applause Applause

wah kaya baat hai, bahoot khoob Khwaish ji!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #34 on: October 24, 2008, 12:39:50 PM »
Bahut Bahut Shukriya Celmira..

Aur aapne bhi woh do line,khoob likhe  Applause Applause


Thank You Khwaish  icon_flower

Waah ek hi qatare mein samandar samaaya hai.... Applause

Shukriya Sayyid   icon_flower
Logged
Talat
Guest
«Reply #35 on: October 24, 2008, 12:41:50 PM »
hummm socha tha Dard main nahi likhugi, magar apki baat kaise taali ja sakti hai... chaliye ek koshish apke liye

Muskaan teri main kitna jhooth hai
Yah jhooth chupana bhool gaya

Her kisi ke bas ka nahi, jhooth ko yaha bolna
Jhooth bolte bolte bas, ankh se ankh milana bhool gaya

Her rishta banta hai bhawnao se, iska kaho kaya kahte ho
Sikh liye rishte nibhana, bhawnao ko chupana bhool gaya

Dil ki baat rah kar ke dil main, siyaast baji sikh gaye
Phir hath milate, dhoka dete, garden ko uthana bhool gaya

Khwaish dil ki tasalli ko kah de jo bhi mehfil main
Dosto se magar apni haqiqat chupana bhool gaya!!

Pooja ne her baar socha, dard main na kuch likhne ki
Her baar shabdo ke samne, apna he kaha bhool gaya!!!


Very Nice Reply Pooja  Applause Applause Applause

Bahut Bahut Khoob Pooja...aapne sach ko alfaazo mein utaara..
bahut ache.. Applause Applause Applause Applause

Zindagi ka har inaam paa liya hota
gar thoda sa sar jhuka liya hota..

kab tak phirte rahe hum yuhi,
chehre par Jhoota Naqaab pehne!!
Kabhi to Yeh Naqaab Utaar Liya Hota....

yehi hai apni zindagi ka falsafa "KHWAISH"
Har aarzoo mukammal hoti agar insaan ban kar jiya hota...

Yeh Andhere kahan bas paate, mere ghar mein "pooja"!!
agar mere paas bhi Umeed ka diya hota....

"khwaish" nahi jaanta, rishte kyon nahi nibh paate zindagi mein??
par yeh jaanta hai, "khwaish" Mar jaata haste hue,
agar Pyaar se uske haath se
ek pyaala bhar Zehar bhi piya hota....





Bohot Khoob Khwaish  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Talat
Guest
«Reply #36 on: October 24, 2008, 12:52:40 PM »
Khwaish, Pooja....aap ke peshkash padhne ke baad ek choti si koshish humari taraf se bhi  Usual Smile


Kuch tum badhte, kuch hum badhte,
faasle mit hi jaate phir
Kuch hum hasnte, kuch tum hanste,
aansoo sookh hi jaate phir

Tum ko roka ahem ne,
hum bhi apne lab sil baithe,
Jo tum haath badha dete,
Hum bhi thehar na jaate phir

Humne phera nazron ko,
par dil se to na phera tha,
Humne mud kar na dekha,
Tum bhi to na aaye phir

Chup ho ke yoon baithe tum,
jaise na ho pehchaan koi
Darwaaze jab band ho jaayen
Aawaaz kahan se aaye phir !!

Logged
Pooja
Guest
«Reply #37 on: October 24, 2008, 05:19:23 PM »
Thanks Celmira!!

Wah wah wah!!!

Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

bahoot he acha jawab likha hai celmira apne!!! Good work!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #38 on: October 25, 2008, 06:52:17 AM »
Applause Applause Applause

wah kaya baat hai, bahoot khoob Khwaish ji!!

Bahut Bahut Shukriya Pooja aapka!!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #39 on: October 25, 2008, 06:55:08 AM »
Very Nice Reply Pooja  Applause Applause Applause

Bohot Khoob Khwaish  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Thankyou So Much Celmira Fom Appreciating!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #40 on: October 25, 2008, 06:58:35 AM »
Khwaish, Pooja....aap ke peshkash padhne ke baad ek choti si koshish humari taraf se bhi  Usual Smile


Kuch tum badhte, kuch hum badhte,
faasle mit hi jaate phir
Kuch hum hasnte, kuch tum hanste,
aansoo sookh hi jaate phir

Tum ko roka ahem ne,
hum bhi apne lab sil baithe,
Jo tum haath badha dete,
Hum bhi thehar na jaate phir

Humne phera nazron ko,
par dil se to na phera tha,
Humne mud kar na dekha,
Tum bhi to na aaye phir

Chup ho ke yoon baithe tum,
jaise na ho pehchaan koi
Darwaaze jab band ho jaayen
Aawaaz kahan se aaye phir !!



Wah! Wah!! Bahut Bahut Khoob Celmira...

"kuch hum haste,
 Kuch Tum Haste,
 Aansu Sookh hi jaate phir"

Bahut Khoob.. Applause Applause Applause Applause
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #41 on: October 27, 2008, 07:15:43 PM »
Bahut Bahut Shukriya aap sab ka, jin hone iss poetry par comments aur  reply diye.. icon_salut notworthy
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #42 on: October 27, 2008, 07:34:40 PM »
khwaish ji,

aapka ek-ek sher padha-in panno mein....khoob taraashe huey heera ho aap...aapki baaten aapka saral vyaktitv ujaagar kari he...aur mein usi sarlta aur seh-hridayta pur nutmustuk hota aaya hu...sheersh chune pur bhee jinke paav sada dharti pur jame rehte hein..unko dekhkar accha lagta hein..khwaish bhai.in khoobsurat rachnao ke liye meri badhai bhee sweekar kare.

Prateek
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #43 on: October 27, 2008, 07:37:24 PM »
mahiya ji,

aapki kavita ki tees mehsoos hoti he.aapne ek atyant prabhaavshaali uttar diya hein khwaish jee ki kavita ko...aapki gehri baaten....jinhone bhee samjhi hongi...woh nazarandaaz nahi kar payenge aapki is kavita ko.

Prateek
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #44 on: October 27, 2008, 07:39:27 PM »
celmira ji aur pooja ji,

aap dono ki dumdaar rachnaaye aur upasthithi in paanon ko chaar chaand laga gayi hein...khoob likha he aap sub ne...meri shubhkaamne in rachnao ke prati sweekar kare!

Prateek
Logged
Pages: 1 2 [3] 4
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 28, 2024, 04:36:46 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.181 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer