HUM SAB MILKAR RAHE......

by khwaish on October 21, 2008, 05:23:25 PM
Pages: [1] 2 3 4
Print
Author  (Read 3722 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
Thode din se, main yeh mehsoos kar raha hoon ki kuch choti-choti baaton se hum sab, aapas mein dilo mein gile-shikwe paal rahe hai, koi yoindia chod jaane ki baat karta hai to koi kuch aur..issi topic se related kuch kehna chahta hoon..aur umeed karta hoon ki Hum Sab Milkar Rahe...


Yeh jo kuch Zakhm Khile hai yaaron,
dard ke Laal-qile hai yaaron...

Dosto mein to koi Dushman Nahi,
Phir kis liye yeh Shikwe-Gile hai yaaron...

Baat Karne Ko Zubaan hai Azaad,
Phir kyon Yeh Honth Sile hai Yaaron...

Mehfil Mein Aate hi, Sab se Bichad jaane ka Darr,
Abhi To Hum Sab Se Mile hai Yaaron....

Sitaare Hamesha Jhilmilate rahe, yehi ussi ki shaan hai
Par aaj Sitaare Aasman Se Kyon Hile hai Yaaron...

Bastiyan Dil Ki Basti Hai Issi Mehfil Mein "KHWAISH"
Varna Iss Duniya Mein  Aur Bahut Si Mehfile hai Yaaron....

Iss Mehfil Ke Panho Ko Palatkar Kabhi Dekhna Zara,
Iss mehfil mein Qaid Yaadon ke Kaafile hai Yaaron...

"KHWAISH" Ki aaj yehi khwaish hai ki,

"KOI NA KUCHLE ISS MEHAKTE PHOOL KO,
 APNE HI PAIRON TALE,
INHE BHI ZINDA REHNE KA HAQ HAI,
 ABHI TO YEH PHOOL KHILE HAI YAARON..."
                   
                   --khwaish--
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
TUMSE MILKAR BHI MAIN ....................... by chiraaaaaaaaag in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
tumse milkar by majid in Shairi - E - Zindagi
EK PRAYAAS - HUM SAB MILKAR KARE by chetanmamtora in Shayeri for Dard -e- Bewafai
aapse milkar ho gaya by rk.yadav in SMS , mobile & JOKES
Aao Milkar Sab Eid Manaayein,. by Azeem Azaad in Occassion Specific Poetry
Rajesh Harish
Guest
«Reply #1 on: October 21, 2008, 05:29:15 PM »
Nice Khwaish Ji
Logged
syednaami
Guest
«Reply #2 on: October 21, 2008, 05:43:58 PM »
Bahut umda Khwaish miyan.
Logged
Talat
Guest
«Reply #3 on: October 21, 2008, 07:50:07 PM »
Thode din se, main yeh mehsoos kar raha hoon ki kuch choti-choti baaton se hum sab, aapas mein dilo mein gile-shikwe paal rahe hai, koi yoindia chod jaane ki baat karta hai to koi kuch aur..issi topic se related kuch kehna chahta hoon..aur umeed karta hoon ki Hum Sab Milkar Rahe...


Bastiyan Dil Ki Basti Hai Issi Mehfil Mein "KHWAISH"
Varna Iss Duniya Mein  Aur Bahut Si Mehfile hai Yaaron....

Iss Mehfil Ke Panho Ko Palatkar Kabhi Dekhna Zara,
Iss mehfil mein Qaid Yaadon ke Kaafile hai Yaaron...

"KHWAISH" Ki aaj yehi khwaish hai ki,

"KOI NA KUCHLE ISS MEHAKTE PHOOL KO,
 APNE HI PAIRON TALE,
INHE BHI ZINDA REHNE KA HAQ HAI,
 ABHI TO YEH PHOOL KHILE HAI YAARON..."
                  
                   --khwaish--


Bohot Khoob Khwaish...khaastaur se ye lines badi pasand aayin.. Applause Applause Applause

Aapki soch, aapki koshish ko salam  icon_salut
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #4 on: October 22, 2008, 12:51:47 AM »

Yeh jo kuch Zakhm Khile hai yaaron,
dard ke Laal-qile hai yaaron...

Dosto mein to koi Dushman Nahi,
Phir kis liye yeh Shikwe-Gile hai yaaron...

Baat Karne Ko Zubaan hai Azaad,
Phir kyon Yeh Honth Sile hai Yaaron...
                  
                   --khwaish--


Bohot hi zabadast kalaam..... ek sachche hamdard ki aawaz lagti he, bohot khoob khwaish ji, bilkul sahi waqt par bilkul sahi baat kahi aap ne allah hamare dilon ko aapas mien maum ki tarah naram karde, Aameen.
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #5 on: October 22, 2008, 04:37:56 AM »
Bohat khoob khwaish ji..  Applause Applause
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #6 on: October 22, 2008, 04:49:28 AM »

wonderful creation khwaish ji Applause  Applause
Logged
k.shael
Guest
«Reply #7 on: October 22, 2008, 05:47:35 AM »
 Applause  Applause  Applause
BAHUT KHOOB,BAHUT UMDA AUR PYARA
KALAM LIKHA HAI KHAWISH JI...
BY. K.SHAEL
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #8 on: October 22, 2008, 06:04:15 AM »
Khwaish bro,

Excellent thoughts ! Applause Applause Applause

"KOI NA KUCHLE ISS MEHAKTE PHOOL KO,
 APNE HI PAIRON TALE,
INHE BHI ZINDA REHNE KA HAQ HAI,
 ABHI TO YEH PHOOL KHILE HAI YAARON..." Wah ! wah! wah! Applause
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #9 on: October 22, 2008, 01:55:31 PM »
Thode din se, main yeh mehsoos kar raha hoon ki kuch choti-choti baaton se hum sab, aapas mein dilo mein gile-shikwe paal rahe hai, koi yoindia chod jaane ki baat karta hai to koi kuch aur..issi topic se related kuch kehna chahta hoon..aur umeed karta hoon ki Hum Sab Milkar Rahe...


Yeh jo kuch Zakhm Khile hai yaaron,
dard ke Laal-qile hai yaaron...

Dosto mein to koi Dushman Nahi,
Phir kis liye yeh Shikwe-Gile hai yaaron...

Baat Karne Ko Zubaan hai Azaad,
Phir kyon Yeh Honth Sile hai Yaaron...

Mehfil Mein Aate hi, Sab se Bichad jaane ka Darr,
Abhi To Hum Sab Se Mile hai Yaaron....

Sitaare Hamesha Jhilmilate rahe, yehi ussi ki shaan hai
Par aaj Sitaare Aasman Se Kyon Hile hai Yaaron...

Bastiyan Dil Ki Basti Hai Issi Mehfil Mein "KHWAISH"
Varna Iss Duniya Mein  Aur Bahut Si Mehfile hai Yaaron....

Iss Mehfil Ke Panho Ko Palatkar Kabhi Dekhna Zara,
Iss mehfil mein Qaid Yaadon ke Kaafile hai Yaaron...

"KHWAISH" Ki aaj yehi khwaish hai ki,

"KOI NA KUCHLE ISS MEHAKTE PHOOL KO,
 APNE HI PAIRON TALE,
INHE BHI ZINDA REHNE KA HAQ HAI,
 ABHI TO YEH PHOOL KHILE HAI YAARON..."
                   
                   --khwaish--


Khwaish ji, Bahut neik koshish hai aapki.. Applause

Yahan kehna bahut kuch chahti hoon, koshish karungi ki woh Kavita ya shayari ke roop mein hi keh sakun.. Aaj Sajid ji ki "Kavita ka koi roop" padh rahi thi, toh, agar yeh kavita naa lage tab bhi samajhiyega ki kavita hi hai.. tongue3

Aap hi ki kavita ka reply, kuch aap ke hi andaaz mein...

Eet dar eet dardon ki, dil mein koi dharta gaya,
Dard ka yeh laal-qila bhi bus yunhi banta gaya..

Dost woh agar hote toh, hum bhi kuch kehte unhe,
Peeth pe unka har waar, Shool bann chubhta gaya..

Sil ke apne honth humne, zubaan ko keid kar liya,
Bach bhaga tha jo ankh se, wo ansu bhi jamta gaya..

Us Mehfil se nikal kar, Soch ke hum ghabraaye yeh,
Dushmano ke sang kaise, apna karwaa chalta gaya..

Kyon apne sitaare se bichhud ke roya nahin aasmaan,
Ek sitaara toot falak se jab zameen pe girtaa gaya..

Hum se ab ye poochiye naa, bastiyaan sab gayi kahan,
Gairaton ki maut ka tufaan, Har ek shai nigalta gaya..

Yu yaad ke panne palatkar, Paaya kya bhala kisi ne,
Har ashaar aag sa hua hai, Jo dhuaa dhuaa uddta gaya..

Nanhe Phoolon ko masalkar, kaun bhala hota hai khush,
Khud baagbaa ke haathon magar, dil ka phool masla gaya...

Uthh chale hai mehfil se hum, ab humein naa paaoge,
Udaas baithe ho kyon tum, Jaane waala toh chala gaya..



(Bhool chook maaf kijiyega... Kuch jyada bada reply ho gaya... Usual Smile )

Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #10 on: October 22, 2008, 03:48:42 PM »
Bahut Bahut Shukriya Rajeshji, Syednaami saab, Honeyroseji, bhawna ji...aap sab ne padha samjha aur saraha..aap sab ka teh dil se shukriya..
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #11 on: October 22, 2008, 03:51:07 PM »
Bohot Khoob Khwaish...khaastaur se ye lines badi pasand aayin.. Applause Applause Applause

Aapki soch, aapki koshish ko salam  icon_salut

Thanx a million celmira...aapne iss kavita ko sarraha, yeh baut hai mere liye,par aapne kuch likha nahi??
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #12 on: October 22, 2008, 03:53:25 PM »
Bohot hi zabadast kalaam..... ek sachche hamdard ki aawaz lagti he, bohot khoob khwaish ji, bilkul sahi waqt par bilkul sahi baat kahi aap ne allah hamare dilon ko aapas mien maum ki tarah naram karde, Aameen.


Bahut Bahut Shukriya Randeri saab..bas issi umeed mein hi yeh likh raha tha ki khuda kare..hum sab hamesha mil kar rahe.. notworthy
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #13 on: October 22, 2008, 03:55:11 PM »
Applause  Applause  Applause
BAHUT KHOOB,BAHUT UMDA AUR PYARA
KALAM LIKHA HAI KHAWISH JI...
BY. K.SHAEL

Thankyou so much shally..aap bhi kuch likhte to chaar chand lag jaate.. notworthy
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #14 on: October 22, 2008, 03:57:27 PM »
Khwaish bro,

Excellent thoughts ! Applause Applause Applause

"KOI NA KUCHLE ISS MEHAKTE PHOOL KO,
 APNE HI PAIRON TALE,
INHE BHI ZINDA REHNE KA HAQ HAI,
 ABHI TO YEH PHOOL KHILE HAI YAARON..." Wah ! wah! wah! Applause

Thankyou so much paaji..aap ne iss thread par jawaab diya..

teh dil se main aapka shukarguzaar hoon.. icon_salut
Logged
Pages: [1] 2 3 4
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 25, 2024, 07:29:09 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.272 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer