Yehi Sochte Sochte Hum Ek Dusre Ko Kho Denge Ek Din..
"Woh Mujhe Yaad Nahi Karta To Main Ussey Kyon Yaad Karoon"..
Yeh Ghazal Har Woh Dost Ke Liye
Jo Milkar Kahin Bichad Gaye Hai..
Umeed To zaroor Rehti Hai Ke Hum Sab Phir Mile
Par Kayi Baar Zindagi Ki Talk Haqeeqat Kuch Aur kehti Hai...
Jo Bhi Hai Woh Jahan Bhi hai Bas Khush Rahe Yehi Ek Sache Dil Se Dua Hai....
Kuch Yaadein Dil Mein Humesha Ke Liye Reh Jaate Hai
Aaena To Wahi Rehta Hai Bas Chehre Badal Jaate hai
Eh Bichde Hue Musafir Ek Baar palat Kar To Dekh!!!
Kuch Lehrein Saath Apne Kinaare Bhi Le Jaate Hai
Haste-Khelte, Rote-Muskurate Hue Zindagi Guzri Hai
Waqt Aur Halaat Aksar Apne Hisse ke Khel Khilaate Hai
Milkar Bichde Hai, Bichad kar Phir Mile Hai...!!!!!
Yaadein Hardum Apni Kuch Nishnaiyan De Jaate Hai
Waqt Ke Mez Par Kuch Dhoondhli Si Tasveerein Hai
Tasveerein Aksar Guzri Hui Kahaniyan Sunaate Hai
Kahreedne Ko Jisse Kam Padhti Hai Daulat-e-Duniya Bhi!!!
"Kuch Sukoon Ke Pal" ke Liye Bas Yahan Sab Jiye Jaate Hai
"Khwaish" Mithi Zubaan Aur Saadgi Se Rehna Umar Bhar!!!
Insaan Bhi Insaan Ko Yaad Kar Yahan Ashq Bahaate Hai
~~~~~Khwaish~~~~~
Aisi lajaawab aur bemisaal baten bahut kam
rehgayin hain duniya men, aisi soch bahut kam
voh dosti ko tardapne vale dost bhi kam
Vaisi belauz, be-fikr ki dosti bhi kam
Nahi koi farq ab matlab-o-fareb men kam
karta dosti ke naam nahi koi lalach kam
Daad!! khwaish sahab, hamse besaakhta lafz ugalvane ke liye
aur zor-e qalm dad nikalvane keliye.