just feeling frustrated...

by amrita on July 04, 2005, 08:58:10 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 8895 times)
amrita
Guest
Tanhai mein baithkar teri yaad aaye
mujhe tanhaiyon se nafrat hoti hai

Phoolon ki mehek jab teri yaad dilaye
mujhe gulistaano se nafrat hoti hai

Hawa ke jhonke tere pass hone ka ehsaas dilaye
mujhe aisi hawaaon se nafrat hoti hai

Har raat jo teri yaad mein jaag kar guzaari
mujhe raaton se nafrat hoti hai

Jiski chamak mein raat bhar tera chehra dikhayi de
mujhe uss mahataab se nafrat hoti hai

Ek naya din teri nayi yaad layega
mujhe savero se nafrat hoti hai

Jiski kirane meri zindagi mein roshni na la sake
mujhe uss aftaab se nafrat hoti hai

Bheeg bheeg kar bitaye the kuch lamhe
barsaat hi nahi mujhe har mausam se nafrat hoti hai

Tu nahi hai meri zindagi mein
tere tohfo se nafrat hoti hai

Kyon  nahi hai ab meri zindagi mein
doston ke in sawaloon se nafrat hoti hai

Haath tham kar kiye the jo tune waade
mujhe apne har ang se nafrat hoti hai

Teri pasand ke rang ka jo libaas mujh par jache
mujhe har rang se nafrat hoti hai

Meri payal ki jis chankaar par tera dil aaya tha
tujhe jo pasand ho har dhun se nafrat hoti hai

Jala rahi hu teri saari tasveere
mere dil mein base tere aks se nafrat hoti hai

Meri zindagi se duur ja kar bhi meri zindagi mein hai
teri aisi maujudgi se nafrat hoti hai

Mere chehre par chod gaya hai jo udaasi tu
muskurane waale har shaqs se nafrat hoti hai

Chah kar bhi has nahi paa rahi hu
mujhe aisi ghutan se nafrat hoti hai

Na jaane kaise pagal pan mein likh rahi hu
tere naam ki gayi apni har nazm se nafrat hoti hai

Haathon ki lakeero ko noch kar tujhe zindagi mein layi apni
mujhe apne naseeb se nafrat hoti hai

Tujhe bhulane ki koshish mein nakamyaabi hasil ho
apni is lachaari se nafrat hoti hai

Tere bewafaa hone par bhi tujh se pyaar hai
mujhe aaj apne aap se nafrat ho rahi hai
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
My feeling by muneeb in Shayri for Khumar -e- Ishq
letter written by a frustrated Software engineer by mili_genie in SMS , mobile & JOKES
friendship is feeling by Rahi2001 in SMS , mobile & JOKES
my feeling after delhi rape case by pritam tripathi in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
suno ji.......(heart feeling) by RAJAN KONDAL in Love Poetry in Punjabi
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #1 on: July 04, 2005, 09:33:59 AM »
Tere bewafaa hone par bhi tujh se pyaar hai
mujhe aaj apne aap se nafrat ho rahi hai

Hmmm Amrita......... Itni nafrat..................

bohat hi khuub ..................
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #2 on: July 04, 2005, 11:58:13 AM »
Kya baat hai Amrita......Bohat khoob!!!!!!!!!!!
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #3 on: July 04, 2005, 12:04:51 PM »
..................................
wonderfull  amrita....................very  nice  words................
Logged
nishita
Guest
«Reply #4 on: July 04, 2005, 12:16:40 PM »
................................................. ....


bohat achha likha amrita Usual Smile.... good going girl..keep writing...
Logged
dolly
Guest
«Reply #5 on: July 04, 2005, 01:12:54 PM »
Excellent Amrita..............bahut bahut achha................................
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #6 on: July 04, 2005, 05:06:52 PM »
.....................................

wow....kya khoob likha hai aapne amrita,its really very very nice.
Logged
amrita
Guest
«Reply #7 on: July 04, 2005, 05:11:11 PM »
thanks dolly ............aryaan....waheed.......nishita....... ...saba.....nidhi...
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #8 on: July 04, 2005, 11:08:15 PM »
kyun haarenge hum jo mere saath ho tum
tere haaton main haath hai mera mer pehchaan ho tum
sach kehte ho tum ki jaan dene ki baat sab karte hai
kya zarurat hai mujhe kisi bhi cheez ki meri zindagi ho tum
kyun dekhenge hum kisi aur ko kabhi bhi
meri har band, khulti jukti nazar main ho tum
teri chahat pe barosa karte hai hum dil se
ki mere tuh khuda mere dildaar ho tum
Logged
jeetufor_u
Guest
«Reply #9 on: July 05, 2005, 06:08:22 AM »
TAARIF KE LIYE BOL KAM HAIN


LORIYON SE NEEND AB AATI NAHI
ISLIYE MAA CHUP HAI KUCH GAATI NAHI.

JHOOTH BHI BOLE TO AKHIR KIS TARAH
AAINA APNA KARAMATI NAHI.

KYA KARE USSE HUM SHOLON KI UMEED
ANKH TO ANSOO BHI BARSATI NAHI.

IS KADAR KUCHLI GAYI HAI INSANIYAT
AB KISI KE PAAS WO JATI NAHI.

ZEHER KE PYALE LIYE HAI SAB MAGAR
DIL KISI KA BHI 'SUKRATI' NAHI.

JIS TARAH SE KAH RAHE HAI HUM GAJAL
LOG KEHTE HAI KI KAHI JATI NAHI
Logged
isha_verma7
Guest
«Reply #10 on: July 05, 2005, 06:32:40 AM »
every line is just WOW.....keep up the good work gurl!!!!......and this line just amazing "Tere bewafaa hone par bhi tujh se pyaar hai mujhe aaj apne aap se nafrat ho rahi hai"'
Kuch jayedaa hee nafrat nahi hogayee yaar!!!
Logged
amrita
Guest
«Reply #11 on: July 05, 2005, 09:04:02 AM »
very nice faree and jeet........

thanks isha.......i know bahut jyaada hi nafrat hogayi....likhne ke baad realise kiya kuch jyaada hi hogaya tha log pm kare ke pooch rahe hain ARE YOU ALL RIGHT..??...
Logged
HumTum
Guest
«Reply #12 on: July 05, 2005, 09:20:10 AM »
Quote from: "amrita"
Tanhai mein baithkar teri yaad aaye
mujhe tanhaiyon se nafrat hoti hai

Phoolon ki mehek jab teri yaad dilaye
mujhe gulistaano se nafrat hoti hai

Hawa ke jhonke tere pass hone ka ehsaas dilaye
mujhe aisi hawaaon se nafrat hoti hai

Har raat jo teri yaad mein jaag kar guzaari
mujhe raaton se nafrat hoti hai

Jiski chamak mein raat bhar tera chehra dikhayi de
mujhe uss mahataab se nafrat hoti hai

Ek naya din teri nayi yaad layega
mujhe savero se nafrat hoti hai

Jiski kirane meri zindagi mein roshni na la sake
mujhe uss aftaab se nafrat hoti hai

Bheeg bheeg kar bitaye the kuch lamhe
barsaat hi nahi mujhe har mausam se nafrat hoti hai

Tu nahi hai meri zindagi mein
tere tohfo se nafrat hoti hai

Kyon  nahi hai ab meri zindagi mein
doston ke in sawaloon se nafrat hoti hai

Haath tham kar kiye the jo tune waade
mujhe apne har ang se nafrat hoti hai

Teri pasand ke rang ka jo libaas mujh par jache
mujhe har rang se nafrat hoti hai

Meri payal ki jis chankaar par tera dil aaya tha
tujhe jo pasand ho har dhun se nafrat hoti hai

Jala rahi hu teri saari tasveere
mere dil mein base tere aks se nafrat hoti hai

Meri zindagi se duur ja kar bhi meri zindagi mein hai
teri aisi maujudgi se nafrat hoti hai

Mere chehre par chod gaya hai jo udaasi tu
muskurane waale har shaqs se nafrat hoti hai

Chah kar bhi has nahi paa rahi hu
mujhe aisi ghutan se nafrat hoti hai

Na jaane kaise pagal pan mein likh rahi hu
tere naam ki gayi apni har nazm se nafrat hoti hai

Haathon ki lakeero ko noch kar tujhe zindagi mein layi apni
mujhe apne naseeb se nafrat hoti hai

Tujhe bhulane ki koshish mein nakamyaabi hasil ho
apni is lachaari se nafrat hoti hai

Tere bewafaa hone par bhi tujh se pyaar hai
mujhe aaj apne aap se nafrat ho rahi hai


Nice one .. specially these lines !!

Mere chehre par chod gaya hai jo udaasi tu
muskurane waale har shaqs se nafrat hoti hai


Logged
HumTum
Guest
«Reply #13 on: July 05, 2005, 09:25:01 AM »
dekh ke apni muhhobat  ka anjaam
aaj apney honey pe nafrat hoti hai

waffa ke badley milli bevfaai tum se
humko apni waffa se nafrat hoti hai

jis shajar ke neechey kartey they pyaar ki batien
dekh ke uss suney shajar ko shajar se nafrat hoti hai !!

padh ke itni mayuus shayri ko "HumTum"
ab humey shayri se nafrat hoti hai !!
Logged
rbh
Guest
«Reply #14 on: July 05, 2005, 11:25:37 AM »
is dil ke chhalon ko koi shayeri kahe to parwah nahi
takleef to tab hoti hai jab koi wah wah karta hai...


awesome amrita ..... really very very nice
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
March 28, 2024, 10:50:40 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 08:02:59 PM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]

[March 16, 2024, 03:21:26 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.266 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8502 Real Poets and poetry admirer