Kahenge Yeh Daur Nayaa Hai ... ! NARESH MEHRA

by Anshumali on October 02, 2010, 07:40:18 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 966 times)
Anshumali
Guest
Din Kuch Aise Guzraa Hai
Chehraa Tab Se Utraa Hai ...

Aakhir Kab Sochegaa Woh
Khud Se Kyon Uljhaa Hai ...

Sookhe Dariyaa Ka Paanii
Aake Baadal Ne Bharaa Hai ...

Kitna Azmaa Le Logo Ko
Sab Kaa Asar Apnaa Hai ...

ChuDiyaa TuutTii Nahi Aise
Koi PaDos MeN Guzraa Hai ...

Pehan Le Koi Liibas "Naresh"
Kahenge Yeh Daur Nayaa Hai ...
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #1 on: October 02, 2010, 11:40:02 AM »
Naresh Bhai.. Wah kya Baat hai.. Bahut Bahut Khooooob.. Aapki Yeh Nazm Bahut Acchi lagi.. Har Lafz Behad khubsoorti se Saja hai... Bahut pyaari peshkash Hai.. Applause Applause

Daad Kubool karen..  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley



**~** Mann **~**
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #2 on: October 02, 2010, 04:34:44 PM »
Waah Kya baat hai ,,, Naresh ji,,, Bahoto Bahoot Khoob.. Badi hi bareeki se dard ko teer ki tarah pesh kiya hai.. bahoot bahoot khoob!!!!
Logged
dead heart
Guest
«Reply #3 on: October 02, 2010, 04:42:31 PM »
Bahaut bahaut khoob Naresh jee..!

Applause Applause
Logged
Anshumali
Guest
«Reply #4 on: October 02, 2010, 05:38:17 PM »
Naresh Bhai.. Wah kya Baat hai.. Bahut Bahut Khooooob.. Aapki Yeh Nazm Bahut Acchi lagi.. Har Lafz Behad khubsoorti se Saja hai... Bahut pyaari peshkash Hai.. Applause Applause

Daad Kubool karen..  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley



**~** Mann **~**

Mann Ji ... aapki pasandegi aur daad ka bahut bahut shukriya .. aise hi aate rahen aage bhi ... khush rahen

duaaon ke saath ....
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #5 on: October 02, 2010, 06:08:30 PM »
Naresh Jee Aadaab!


Kafi nasihat bhari kalaam kahi hai aapne.... Usual Smile
Behad achchi kalaam per dil se daad hazir hai.. Usual Smile

aapki kalaam par aate hai....
          



Din Kuch Aise Guzraa Hai
Chehraa Tab Se Utraa Hai ...

Kafi halka fulka matla kaha hai janab... Par kafi soch ne laga aapke is matle ne samjh meiN nahi aa raha tha... pata nahi aajkal kahaaN zaheN rahne laga hai...

Matla bahut khoob kaha hai daad.... Usual Smile          



Aakhir Kab Sochegaa Woh
Khud Se Kyon Uljhaa Hai ...

Kia nasihat ki hai Naresh jee kahiN hum per to nahi mara naa aapne yeH sher... Hum par hai to zaya gaya ... KyuN ke humne sochna hi chhod diya hai aajkal... :D          


Sookhe Dariyaa Ka Paanii
Aake Baadal Ne Bharaa Hai ...

Kia baat hai kafi shayarana hai daad..... Usual Smile          


Kitna Azmaa Le Logo Ko
Sab Kaa Asar Apnaa Hai ...

Waah janab bahut khoob aasaani se behad badi baat kahi hai daad.... Usual Smile          


ChuDiyaa TuutTii Nahi Aise
Koi PaDos MeN Guzraa Hai ...

Oye hoye .... Kia kaheN is sher per hazaroN daad... aapki nazar o khayaal ko Salaam Naresh jee.... Usual Smile          


Pehan Le Koi Liibas "Naresh"
Kahenge Yeh Daur Nayaa Hai ...

maqte ka pahela misre se aisa kuch zahir nahi ho raha hai naresh jee ke aapne kaisa libaas pahnne se dor ko nayaa kaha... ?

Kuch surat humare zaheN meiN bani hai ... Arz hai

Daal le libaas purana hi "Naresh"
KaheNge yeH daor nayaa hai ....        




Aik achchi koshish per dil se daad kabool kijiye Naresh jee......

Likhate rahiye......
Aate rahiye.......
Allah aapki kalam meiN aur bhi zor e taqat deN

Khush rahiye.....
Khuda Hafez..... Usual Smile          

Logged
ishk ek ibadat
Guest
«Reply #6 on: October 03, 2010, 12:29:46 PM »
Din Kuch Aise Guzraa Hai
Chehraa Tab Se Utraa Hai ...

Aakhir Kab Sochegaa Woh
Khud Se Kyon Uljhaa Hai ...

Sookhe Dariyaa Ka Paanii
Aake Baadal Ne Bharaa Hai ...

Kitna Azmaa Le Logo Ko
Sab Kaa Asar Apnaa Hai ...

ChuDiyaa TuutTii Nahi Aise
Koi PaDos MeN Guzraa Hai ...

Pehan Le Koi Liibas "Naresh"
Kahenge Yeh Daur Nayaa Hai ...

Naresh Ji !
Radhey Radhey !

bahut asardaar lage sabhi ashaar ... nasiihat dete hue ..
maqta khaas taur par pasand aaya hume ...

dil se daad
Logged
Anshumali
Guest
«Reply #7 on: October 06, 2010, 05:13:08 AM »
Waah Kya baat hai ,,, Naresh ji,,, Bahoto Bahoot Khoob.. Badi hi bareeki se dard ko teer ki tarah pesh kiya hai.. bahoot bahoot khoob!!!!

Sophi Ji ... Namaste ! aapko meri koshish pasand aai ... aur aap dil tak mere ehsaas pahuch gaye ... meri mehnat safal hogi ... bahut bahut shukriy .... meri post ko waqt dene aur daad ka ... aise hi aate rahen aage bhi ... khush rahen ....

duaaon ke saath ....
Logged
Anshumali
Guest
«Reply #8 on: October 08, 2010, 02:01:10 AM »
Bahaut bahaut khoob Naresh jee..!

Applause Applause

Rahim Ji ... aapka koshish ko saraahane aur khaas daad ka bhut bahut shukriya Ji ! aise hi aate rahen aage bhi .. khush rahen ...

duaaon ke saath ....
Logged
Anshumali
Guest
«Reply #9 on: October 13, 2010, 02:52:28 PM »
Naresh Jee Aadaab!


Kafi nasihat bhari kalaam kahi hai aapne.... Usual Smile
Behad achchi kalaam per dil se daad hazir hai.. Usual Smile

aapki kalaam par aate hai....
         



Aik achchi koshish per dil se daad kabool kijiye Naresh jee......

Likhate rahiye......
Aate rahiye.......
Allah aapki kalam meiN aur bhi zor e taqat deN

Khush rahiye.....
Khuda Hafez..... Usual Smile         



Sameer Ji ... Aapki pasandegi aur pur-khuloos daad ka bahut bahut shukriya ... aise hi aate rahen aur hausla dete rahen aage bhi ... khush rahen ...

duaaon ke saath ....
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #10 on: October 14, 2010, 05:05:11 AM »
bht bht pyari gazal naresh ji...bht hi pyare sher likhe hain aapne..ye khaas pasand aaya ji

Aakhir Kab Sochegaa Woh
Khud Se Kyon Uljhaa Hai ...

ChuDiyaa TuutTii Nahi Aise
Koi PaDos MeN Guzraa Hai ..
Logged
Radhika_2
Guest
«Reply #11 on: October 24, 2010, 04:35:08 AM »
Din Kuch Aise Guzraa Hai
Chehraa Tab Se Utraa Hai ...

Aakhir Kab Sochegaa Woh
Khud Se Kyon Uljhaa Hai ...

Sookhe Dariyaa Ka Paanii
Aake Baadal Ne Bharaa Hai ...

Kitna Azmaa Le Logo Ko
Sab Kaa Asar Apnaa Hai ...

ChuDiyaa TuutTii Nahi Aise
Koi PaDos MeN Guzraa Hai ...

Pehan Le Koi Liibas "Naresh"
Kahenge Yeh Daur Nayaa Hai ...

Bahut Khoob ... Naresh Ji ! Very Nice Creation ... !

dil se daad ... !
Logged
Anshumali
Guest
«Reply #12 on: October 24, 2010, 07:41:11 PM »
Naresh Ji !
Radhey Radhey !

bahut asardaar lage sabhi ashaar ... nasiihat dete hue ..
maqta khaas taur par pasand aaya hume ...

dil se daad

Rajinder Bhai ... aapki pasandegi aur daad ka shukriya ... khush rahen ....

duaaon ke saath ...
Logged
Anshumali
Guest
«Reply #13 on: October 26, 2010, 12:37:41 AM »
Naresh Jee Aadaab!


Kafi nasihat bhari kalaam kahi hai aapne.... Usual Smile
Behad achchi kalaam per dil se daad hazir hai.. Usual Smile

aapki kalaam par aate hai....
          



Aik achchi koshish per dil se daad kabool kijiye Naresh jee......

Likhate rahiye......
Aate rahiye.......
Allah aapki kalam meiN aur bhi zor e taqat deN

Khush rahiye.....
Khuda Hafez..... Usual Smile          



Sameer Ji .. Aadaab ! aapki pasandegi aur purkhuloos daad ka bahut bahut shukriya .. aise hi saath nibhaate rahen aage bhi ..

khush rahen ...
duaaon ke saath ....
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 16, 2024, 07:09:43 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer