- Khud Ko Tanha Pate Hai -

by Meena is back on September 24, 2006, 10:33:17 AM
Pages: [1] 2 3 4  All
Print
Author  (Read 4121 times)
Meena is back
Guest
bohot dino ke baad ayi hoon aur phirse ek koshish apni pesh karna chahati hoon:


Manzile pa kar bhi ankhon me ashk hum basate hai,
Kyu sab kuch pas hote hue bhi khud ko tanha pate hai,

Zakhmo ka dard itna gehra nahin jitna ke hai tanhai ka saath,
Nazar nahin ate joh ,who tanhai ke sholey hume jalate hai,

Har waqt, har pal, har lamha is aag ne gehra hai hume par,
Chehre pe muskan ke moti uska nam-o-nishan mitate hai,

Par aisa nahin hai ke gumsum sa jeeti hai “Meena” yaha,
Sun sakhe koi to Kamoshi ke lafz humari kahani sunate hai!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Tanha Khud se Baat karoon..... by sharmaarunkumar in Ghazals
aaj khud ko tanha paaya................................. by waheed_rose2004 in Shayri-E-Dard
~~~Na Kar Tu Khud Ko Tanha~~~ by Sammual in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Tere Hone Par Bhi Khud Ko Tanha Samjhoon? by ishu_singh10 in Shayri for Khumar -e- Ishq
Himmat Nahi Kar Pate by nishi gahlaut in Shayeri for Dard -e- Bewafai « 1 2  All »
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #1 on: September 24, 2006, 10:39:48 AM »
Its really fantastic Meena ...
Really very good one ...
Keep it up ...
Logged
Tosha
Guest
«Reply #2 on: September 24, 2006, 10:39:58 AM »
bahut hi accha likha hai ... Ji aate raha karo!!
Logged
nikki
Guest
«Reply #3 on: September 24, 2006, 10:43:54 AM »
hello sis! long time no c..kahan gayab ho gayi thi aap?
Bahut hi pyara likha hai aapne.....as always

saath dene ka vaad karke jo gaye hain
dekhein kabhi laut kar bhi aate hain

yaadon mein to roz milte hain humse
dekhte hain kabhi haqiqat mein bhi saamne aate hain

aye hawa kabhi unke paas se guzarna to unse kehna
kuch aise bhi unke diwane hain...
jo unhein yaad karke aanson bahate hain

woh nahi hain jab se paas hamare
hum khud ko tanha paate hain
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #4 on: September 24, 2006, 10:45:01 AM »
awesome  Meena.........

labon pe  khair  tabassum  bikhar  bikhar hi gaya
yeh aur baat hai ki  hansne ko  dil  tarsta tha......
Logged
Tosha
Guest
«Reply #5 on: September 24, 2006, 10:45:05 AM »
madam ji aap kaha gayeb thi ... Puzzled !

bahut khoob arz kiya hai aap ne bhi!!
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #6 on: September 24, 2006, 10:45:49 AM »
Dil sha-e-tanhaaiyo mein jala nahi hota,
Tu agar mujhse zindagi mein mila nahi hota,
Dushmano se meri maut ka sauda tune kiya,
Tu khud mita deta to gila nahi hota ...
Logged
nikki
Guest
«Reply #7 on: September 24, 2006, 10:47:20 AM »
thank u Tosha sis...i dont feel like writing anymore..u know why...koi bhi puarana friend abb nahi likhta....sab ke sab gayab...aap bhi bahut kum aati hain....Huh??
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #8 on: September 24, 2006, 10:47:55 AM »
jhl... shukriya jhl...  :D

toshu...thank u kuddiye, ati raha karongi if u say so :D
Logged
nikki
Guest
«Reply #9 on: September 24, 2006, 10:49:15 AM »
superbbbb Jhl....too good
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #10 on: September 24, 2006, 10:51:37 AM »
Thanks a lot Meena and Nikki for appreciation ...
And nikki you too have written cool one ...
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #11 on: September 24, 2006, 10:52:54 AM »
Quote from: "nikki"
hello sis! long time no c..kahan gayab ho gayi thi aap?
Bahut hi pyara likha hai aapne.....as always

saath dene ka vaad karke jo gaye hain
dekhein kabhi laut kar bhi aate hain

yaadon mein to roz milte hain humse
dekhte hain kabhi haqiqat mein bhi saamne aate hain

aye hawa kabhi unke paas se guzarna to unse kehna
kuch aise bhi unke diwane hain...
jo unhein yaad karke aanson bahate hain

woh nahi hain jab se paas hamare
hum khud ko tanha paate hain


hey nikki kuddiye, arreyaar me was busy, its really nice to c here also, bohot acha likha tumne, aur sab fine hain ?


humne bhi kabhi intezar me pal guzare hai,
door hokar bhi woh kitne pas humare hai,
har rang me unhi ka rang naazar ata hai hume,
din me woh phool to raat ko woh sitare hai!
Logged
nikki
Guest
«Reply #12 on: September 24, 2006, 10:56:17 AM »
thanx JHL n Meena sis...too good Meena sis...

intzaar se humein koi gila nahi
magar itne intzaar ke baad bhi... jisse chaha woh humein mila nahi
kya meri mohabbat mein koi kami hai
ya fir mera usse mil paana khuda ka faisla nahi
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #13 on: September 24, 2006, 10:57:44 AM »
Quote from: "Meena is back"
Quote from: "nikki"
hello sis! long time no c..kahan gayab ho gayi thi aap?
Bahut hi pyara likha hai aapne.....as always

saath dene ka vaad karke jo gaye hain
dekhein kabhi laut kar bhi aate hain

yaadon mein to roz milte hain humse
dekhte hain kabhi haqiqat mein bhi saamne aate hain

aye hawa kabhi unke paas se guzarna to unse kehna
kuch aise bhi unke diwane hain...
jo unhein yaad karke aanson bahate hain

woh nahi hain jab se paas hamare
hum khud ko tanha paate hain


hey nikki kuddiye, arreyaar me was busy, its really nice to c here also, bohot acha likha tumne, aur sab fine hain ?


humne bhi kabhi intezar me pal guzare hai,
door hokar bhi woh kitne pas humare hai,
har rang me unhi ka rang naazar ata hai hume,
din me woh phool to raat ko woh sitare hai!


bahot  ache  Nikki......Meena........Toshu
Logged
Tosha
Guest
«Reply #14 on: September 24, 2006, 10:59:18 AM »
maine to kuch likha hi nahi Puzzled ! ... phir bhi Thanx Waheed :D
Logged
Pages: [1] 2 3 4  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 25, 2024, 11:07:17 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.116 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer