~~"Khushbu Fizaaon Main Hai"~~by Celmira (Talat)

by k.shael on July 03, 2009, 11:57:51 AM
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Author  (Read 4913 times)
k.shael
Guest
«Reply #15 on: July 04, 2009, 04:38:59 AM »
MashAllah Talat di...bahaut bahaut acha likha hai aapne...

Nicely presented Shally jee...

SHukriya Rahim, bilkul sahi farmaya aapne Talat dear ne bahut hi khoob likha hai, aabhi bhi alfaaz kayi guna bhaari pad rahe hai tasveero par..

Shally.
Logged
qadeertoopchii
Aghaaz ae Shayar
*

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
10 hours and 52 minutes.
Posts: 36
Member Since: Jun 2009


View Profile
«Reply #16 on: July 04, 2009, 04:41:01 AM »
subhan allah , kya hi qoob kalam likhe hain talat bahen apne aur kya qoob pesh kiya hai shally .. waqa-e- ye kalam nazar se chuk gaye the aur shally ne hame ruba ru karwaya tareef ke qabil to dono hi hain .. allah khush rakhe subko aur iss jazbe ko barqarar rakhe !!


Dhadkan bhi hai sansen bhi !!
 lekin mar gaya koi !!

.......talat..........

wah bhai wah kya misre hain wah !!

faqath eak kamre ka sannata hi mere paas hai !!
marr chuki hai meri tanha-e- kisse awaz don !!

kaash mai bhi apni barbadi ka manzar dekhta !!
kho ga-e- hai meri bina-e- kisse awaz don !!

Qadeertoopchi
Logged
k.shael
Guest
«Reply #17 on: July 04, 2009, 04:42:26 AM »
Waah...!  Bohot hi khoob ashaar hain Celmira ji, pehle kabhi nazar se nahi guzre magar shukriya Shally ji ka jinhon ne hame isse rubru karwaya, or khoobsurat andaaz main pesh kiya, khas kar "Akela kar gaya koi" me bohot soch samajh kar or zabardast beckground image ka istemaal kiya hai...

Celmira ji shally ji or wo tamam members jo kaafi waqt se yoindia par likh rahe hain un se main ek darkhast karunga ke wo agar apna ek thread aysa banae ke jis me apni purani peshkash ko dobara pesh karen to ek baar phir wo manzr-e-aam par aaye or kama-haqqahu daad-o-tahseen paye.

Aaj shally ji ne umda kaam kiya to ye khayaal aaya, celmira ji shally ji khwaish ji pooja ji roja ji angel ji wagaira bohot se sathiyon ke kain ash'ar ayse hain jo ab nai rachnaon ke boj tale dab chuke hain, to dosto apne hi kalaam ke saath insaaf kijiye, ham use padhne ko bechain hain.

Is me koi sharm ki baat nahi badaai ki baat nahi apna waqt nikaal kar dili jazbaat ke saath likhe gaye ash'ar se insaaf karna hi chahiye...

Kisi ka ek behtareen sher yaad aagaya:....

       Kavita likhna khel nahi he, puchho in fankaaron se
       Ye sab loha kaat rahe hain, Qalamo'n ki talwaaron se

Allah kare yoindia par wahi ho jo sabke liye faidemand ho.

Aap ka mukhlis: Sayyid Randeri



Shukriya Syeed Ji, ye shayad pehli baar hai ki aapne mere kisi kaam ko saraha,aur sach maniye behad khushi hui, aapko iss thread me dekhkar..waise bhi Talat dear ke alfaazo ne na sirf mera har kisi ka dil choo liya hai..

aur aap baat kar rahe hai apne khud ki shayries ke thread open karne ki maine apna aisa hi thread pehle hi khol rakha hai, par kaam ke bojh aur waqt ki kami ke karan use aur nahi bada paa rahi hoo.n par waqt milte hi jaroor usme purane panno ke alfaazo ko likhongi..

aur sabhi se guzarish hai ki wo bhi aisa hi kare taaki hame behad khoobsurat alfaazo ko padne ka mouka milta rahe..

shukriya

Shally.
Logged
k.shael
Guest
«Reply #18 on: July 04, 2009, 04:45:35 AM »
wahhhhhhhhh talat ji and shally ji
u both have created master pieces
mubarak ho dono ko

Shukriya Neera Dear, Talat Dear ke alfaaz sach me master piece hi hai, ye aise alfaaz hote hai jinhe shayar khud likhte hai aur bhool sa jaate hai, par aise alfaaz chipe bhi nahi rehte..aur duniya se ek din ro-b-ro hokar mukam paate hai..

Shally.
Logged
k.shael
Guest
«Reply #19 on: July 04, 2009, 04:47:19 AM »
Bahut khoob Celmira Ji And Shally Ji

Talat ki Rachna aur Shally ki Nikhaar
Chha gayee hai Yoindia par ek nayee bahaar

Shukriya Rajesh Ji, Aapki shayri ne to aur bhi bhadiya bana diya iss thread ko..

Shally.
Logged
k.shael
Guest
«Reply #20 on: July 04, 2009, 04:50:44 AM »

Really beautifully written by Talat and presented by Shally...

Talat its always a pleasure to read you, thanks to Shally that she has made such efforts and presented it beautifully...

Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Thanx a lott Angel didi, sach me bahut bahut khushi hui ki aapne iss thread ko sarha..didi, ye sab Talat dear ki shayri ka kamal hai ki aap log mujhe sarah rahe hai, warna to maine aisa kuch khaas nahi kiya..

Shukriya didi,

Shally.
Logged
superspawn10
Guest
«Reply #21 on: July 04, 2009, 11:03:06 AM »
Bohot acha likha hai aapne Talat ji...
Aur Shally ji..nice work.. Clapping Smiley
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #22 on: July 11, 2009, 05:25:26 PM »
shukriya Shally ji.... aap ne jis thread ka zikar kiya hai us ka link yhan deden to hame asaani hojayegi..
Logged
thegrimreaper
Guest
«Reply #23 on: July 19, 2009, 02:21:10 PM »
simply hats off icon_salut
Logged
aaina
Guest
«Reply #24 on: July 19, 2009, 08:53:13 PM »


Hawa Ruk Gayi to Bhi Kya Ghum,
Unki Khushbu Fizaaon Main Hai!!

Hazaar Uljhane Hongi, Magar,
Ek Tasveer Teri Yaadon Main Hai!!


Mohabbat Nahin Hai Asaan Safar,
Ye Bade Mushkil Imtihanon Main Hai!!

Khamoshiyon Ko Na Bewafai Jaano,
Baat Wo Suno Jo Nigahon Main Hai!!

        ~~Talat~~


Celmira Dear, Aapki Ye lines bahut aachi lagi!! Dil ko Choo Gayi, So Inhe Desigen karke post kar diya..

Hope u liked it..!!

Shally.

kya baat hai talt bhut hi behetreen andaaz hai aapka lafzo.n ko is andaaz de piroti hain ki shayad lafz khud bhi hairat se apne itne khoosurat hone par rashq karte honge,

aur shally ji kya baat hai aapki jitni bhi tareef ki jaye kam hai bhut khoob presentation jawaab nhi
Logged
aaina
Guest
«Reply #25 on: July 19, 2009, 08:54:39 PM »



Akela Kar Gaya Koi,
Tanha Bikhar Gaya Koi

Dhadkan Bhi Hain Sansain Bhi,
Lekin Mar Gaya Koi

Apne Hi Sawaalon Se,
Baarha Dar Gaya Koi

In Aankhon Main Basta tha
Ab Khwaab Utar Gaya Koi

Dard Ki Har Manzil Se,
Aaj Guzar Gaya Koi !!

Ye Lines bhi bahut behtreen thi Celmira Dear, Sach me bahut khoob alfaaz hai aapke..

Hope u like it..!!

Shally.

ek aur khoobsurat paishkash bhoot khoob
nd again shally ji very nice work
Logged
Talat
Guest
«Reply #26 on: August 03, 2009, 01:05:57 PM »
Wow Talat Ji.. Kya Khoob Likha hai aapne.. Aur aapki Yeh Rachnaayen Shally Beatiful Presentation Ki Vajah se Aur Khubsoorat Ban gai Hain..!!! Very Nice Work Shally..!! Applause Applause


**~** Mann **~**


Thanks a lot Vicky.
Logged
Talat
Guest
«Reply #27 on: August 03, 2009, 01:07:33 PM »
MashAllah Talat di...bahaut bahaut acha likha hai aapne...

Nicely presented Shally jee...

Bohot shukriya Rahim
Logged
Talat
Guest
«Reply #28 on: August 03, 2009, 01:09:24 PM »
Waah...!  Bohot hi khoob ashaar hain Celmira ji, pehle kabhi nazar se nahi guzre magar shukriya Shally ji ka jinhon ne hame isse rubru karwaya, or khoobsurat andaaz main pesh kiya, khas kar "Akela kar gaya koi" me bohot soch samajh kar or zabardast beckground image ka istemaal kiya hai...

Celmira ji shally ji or wo tamam members jo kaafi waqt se yoindia par likh rahe hain un se main ek darkhast karunga ke wo agar apna ek thread aysa banae ke jis me apni purani peshkash ko dobara pesh karen to ek baar phir wo manzr-e-aam par aaye or kama-haqqahu daad-o-tahseen paye.

Aaj shally ji ne umda kaam kiya to ye khayaal aaya, celmira ji shally ji khwaish ji pooja ji roja ji angel ji wagaira bohot se sathiyon ke kain ash'ar ayse hain jo ab nai rachnaon ke boj tale dab chuke hain, to dosto apne hi kalaam ke saath insaaf kijiye, ham use padhne ko bechain hain.

Is me koi sharm ki baat nahi badaai ki baat nahi apna waqt nikaal kar dili jazbaat ke saath likhe gaye ash'ar se insaaf karna hi chahiye...

Kisi ka ek behtareen sher yaad aagaya:....

       Kavita likhna khel nahi he, puchho in fankaaron se
       Ye sab loha kaat rahe hain, Qalamo'n ki talwaaron se

Allah kare yoindia par wahi ho jo sabke liye faidemand ho.

Aap ka mukhlis: Sayyid Randeri


Bohot shukriya Sayyid ..Kya khoob sher hai.....

Sahi kaha aapne...bas thoda waqt mile to Inshallah zaroor.....

Thanks so much Sayyid
Logged
Talat
Guest
«Reply #29 on: August 03, 2009, 01:10:20 PM »
wahhhhhhhhh talat ji and shally ji
u both have created master pieces
mubarak ho dono ko

Thanks a lot Nira Ji
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 28, 2024, 07:03:41 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.273 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer