Dear "Talat" , This Poetry is Dedicated To Your Loving Mother!!!!

by khwaish on January 29, 2010, 10:26:34 AM
Pages: [1] 2 3 4  All
ReplyPrint
Author  (Read 5300 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
Reply with quote
Yeh Kalaam Main Khaas Taur Pe Mere Bahut Hi Ache Dost Talat Ke Liye Likh Raha Hoon,Jinhone kuch Hi Din Pehle Apni Ammi Ko Kho Diya..

Main Dil Se Yeh Ardaas Karta Hoon ke Unke Ammi Ko khuda Jannat Bakshe Aur Unhe Apne Reham-o-Karam ki Nazar Mein Rakhe..

Talat..Jaise Ki maine Aapko pehle Bhi Kahan Hai Ke Chalte Rehna Hi Zindagi Ka Doosra Naam Hai,Aur Hum insaan Isse Zyaada Aur Kuch Bhi Nahi kar Sakte..

Umeed Karta Hoon iss kalaam Se Aapko Aage Chalte Rehna Ka Hausla Haasil Ho..

Shukriya..

Zindagi Hai Ek Veeran Safar
Iss Safar Mein Kuch palon Ko Dil Mein Sajaate Jaao...

Yeh Naa Socho ke Kya Khoya Hai Tumne,
Jo Hassil Hai Iss Safar Mein Usse Apnaate Jaao...

Awaaz Denge Tujhe Kal Dene Wale,
Aaj Apne Dil ko Apni Awaaz Banate Jaao...

Jis Maa Ko Aaj Tune Khoya Hai,
ussi maa ka Yeh sapna Raha Hoga Ke Tu Hardam Muskaati Rahe!!!!
Maa Ke Uss Sapne Ko Humesha Haqeeqat Banate Jaao...

Mehakte Hai Sirf Wahi Phool Jo Dhoop  Ko sehna Jaane!!!
Har mausam Mein Jo Jee Sake,Kuch Aise Phoolon Ko khilaate Jaao..

Manzil Par Pahunchna Hi Hai uss Musafir Ko,
Chaahe Laakh Raah Mein Deewar Uthate Jaao...

Eh dost Talat!!! "Khwaish" Yeh Dil Se Dua Deta Hai Tujhe!!!
Chaahe Zindagi Mein Kaise Bhi Halaat Ho ,Aap Bas Muskuraate Jaao....

                       ~~~~~Khwaish~~~~~~

Logged
Talat
Guest
«Reply #1 on: January 29, 2010, 10:50:24 AM »
Reply with quote
Khwaish Dost.....mere paas lafz nahin aapke is gesture ke liye. Kitni hi der main baithi roti rahi aapki ye dedication padh kar.......Aap ne sahi kaha: Meri muskurahat main hi ammi ki muskurahat thi, meri har khushi main unki khushi thi, mere aansu unhe bechain kar dete the aur meri pareshaniyan unhe pareshan kar deti theen.....Allah se dua hai ki Wo unhe Jannat-ul-firdaus main oocha muqaam ataa farmaaye, ameen....Ammi na ho kar bhi har pal har lamha duaaon ki surat main saath hain.

Thank You so much Dost...aapke is gesture ne dil ko bohot tassali di hai.
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #2 on: January 29, 2010, 11:17:28 AM »
Reply with quote
Issi Umeed Se Hi Yeh Ghazal Likhi gayi Thi ke Kahin Na Kahin Yeh Aapke Dil Ke Jazbaaton Ko Tehraao De Sake..

Jinhe Hum Kho Dete Hai,Unhe Kabhi vaapas Paa Nahi sakte,Par Unki yaadon Ke saath Unhe Apne Ird-Gird Mehsoos Kar sakte hai..

Unhe Humesha Apne Saath Samjhiyega..Aur Unki Khushi Ke khaatir Khud bhi Humesha Khush Rahiyega..
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 2 hours and 24 minutes.

always smile

Posts: 15214
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #3 on: January 29, 2010, 11:23:42 AM »
Reply with quote
bahut hi acha likha hai khawahish

Talat .. hum dua karte hai ki allah aapki ammi ko jannat naseeb kare..ameen
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 2 hours and 24 minutes.

always smile

Posts: 15214
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #4 on: January 29, 2010, 11:50:38 AM »
Reply with quote
Talat ..ek shair aapse hi sikha hai jo aaj aapke liye kahna chahuga

hoke mayus na aangan se ukhado paude
dhoop barsi hai yaha to barish bhi yahi per hogi
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #5 on: January 29, 2010, 02:20:21 PM »
Reply with quote
Aapki walida ke intaqal par bahut afsos hua Talat ji. Allah aapko sabre-jameel ataa farmaye aur aapki walida ki maghfirat  aur Jannat-ul-firdaus mein uncha  darja ataa farmaaye, Ameen.
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #6 on: January 29, 2010, 03:30:52 PM »
Reply with quote
Talat ..ek shair aapse hi sikha hai jo aaj aapke liye kahna chahuga

hoke mayus na aangan se ukhado paude
dhoop barsi hai yaha to barish bhi yahi per hogi

Bahut Gehri Baat Kahi Hai Samnoj Ji Aapne..

Bahut Khoob
Logged
Talat
Guest
«Reply #7 on: January 29, 2010, 03:42:39 PM »
Reply with quote
bahut hi acha likha hai khawahish

Talat .. hum dua karte hai ki allah aapki ammi ko jannat naseeb kare..ameen

Talat ..ek shair aapse hi sikha hai jo aaj aapke liye kahna chahuga

hoke mayus na aangan se ukhado paude
dhoop barsi hai yaha to barish bhi yahi per hogi

Sach kaha Sam..Yahi shayad zindagi ka naam hai...aur Maan ki duaaain to humesha ghana saaya ban ke apne bachon ke saath rehti hain.........duaaon ke liye bohot shukriya....
Logged
Talat
Guest
«Reply #8 on: January 29, 2010, 03:43:55 PM »
Reply with quote
Issi Umeed Se Hi Yeh Ghazal Likhi gayi Thi ke Kahin Na Kahin Yeh Aapke Dil Ke Jazbaaton Ko Tehraao De Sake..

Jinhe Hum Kho Dete Hai,Unhe Kabhi vaapas Paa Nahi sakte,Par Unki yaadon Ke saath Unhe Apne Ird-Gird Mehsoos Kar sakte hai..

Unhe Humesha Apne Saath Samjhiyega..Aur Unki Khushi Ke khaatir Khud bhi Humesha Khush Rahiyega..


Sach kaha hai Dost...warna to itne bade ghum ko sehne ki taaqat hi insaan main nahin...
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #9 on: January 29, 2010, 03:44:15 PM »
Reply with quote
Khwaaish Bhai.. Dil Ko Chhoo gaye aapke Likhe Alfaaz.. Applause

Talat Di.. Zyada to Kya Kahun.. Basssss itna hi Kahunga Ki Ab Royega Mat.. Jaisa Ki Aapne Likha Ki Aap Roti Rahin..!!!Aise Waqt Kya Kahana Chahiye Mujhe Aata Nahi Di.. Bas Itna Kahunga Ki..

Aapki Ammi Aapke Sath Hain.. Bassss Yaadon Me Unhe Apne Sath Rakhne Ki Der Hai..!!


Phir Se Hausla Kar, Phir Se Khilkhila,
Tu Hansegi To Bahaare Phir Laut Aayengi..!!




**~** Mann **~**
Logged
Talat
Guest
«Reply #10 on: January 29, 2010, 03:46:22 PM »
Reply with quote
Aapki walida ke intaqal par bahut afsos hua Talat ji. Allah aapko sabre-jameel ataa farmaye aur aapki walida ki maghfirat  aur Jannat-ul-firdaus mein uncha  darja ataa farmaaye, Ameen.

Bohot shukriya Riyaz Sahab....Allah Taa'ala aapki duaain meri ammi ke haq main qubool farmaaye, ameen.
Logged
Talat
Guest
«Reply #11 on: January 29, 2010, 03:49:08 PM »
Reply with quote
Khwaaish Bhai.. Dil Ko Chhoo gaye aapke Likhe Alfaaz.. Applause

Talat Di.. Zyada to Kya Kahun.. Basssss itna hi Kahunga Ki Ab Royega Mat.. Jaisa Ki Aapne Likha Ki Aap Roti Rahin..!!!Aise Waqt Kya Kahana Chahiye Mujhe Aata Nahi Di.. Bas Itna Kahunga Ki..

Aapki Ammi Aapke Sath Hain.. Bassss Yaadon Me Unhe Apne Sath Rakhne Ki Der Hai..!!


Phir Se Hausla Kar, Phir Se Khilkhila,
Tu Hansegi To Bahaare Phir Laut Aayengi..!!




**~** Mann **~**

Thank You Vicky...main nahin ro rahi....Meri ammi humesha mujhe muskurata hua dekhna chahti theen.....bas Allah se har pal har lamha unke liye duaain karti hoon ki unke liye Jannat-ul-firdaus main uncha muqaam ataa farmaaye, ameen.
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #12 on: January 29, 2010, 03:53:43 PM »
Reply with quote
Aapki walida ke intaqal par bahut afsos hua Talat ji. Allah aapko sabre-jameel ataa farmaye aur aapki walida ki maghfirat  aur Jannat-ul-firdaus mein uncha  darja ataa farmaaye, Ameen.
Bohot shukriya Riyaz Sahab....Allah Taa'ala aapki duaain meri ammi ke haq main qubool farmaaye, ameen.

Summa Ameen !

Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #13 on: January 29, 2010, 03:54:57 PM »
Reply with quote
Thank You Vicky...main nahin ro rahi....Meri ammi humesha mujhe muskurata hua dekhna chahti theen.....bas Allah se har pal har lamha unke liye duaain karti hoon ki unke liye Jannat-ul-firdaus main uncha muqaam ataa farmaaye, ameen.

Summa Aameen


**~** Mann **~**
Logged
malli
Guest
«Reply #14 on: January 29, 2010, 03:57:02 PM »
Reply with quote
Dearest Talat
Logged
Pages: [1] 2 3 4  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 27, 2024, 04:17:34 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.131 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer