KI TUM CHAL DIYE

by Jiya on April 06, 2007, 09:20:32 AM
Pages: [1] 2 3  All
Print
Author  (Read 5069 times)
Jiya
Guest

Humne kuchh kaha bhi nahi tha,
Ki tum chal diye

Darde Dil bata bhi na sake the,
Ki tum chal diye

Itne Intzaar ke baad to Deedaar hua tumhaara,
Ki tum chal diye

Izhaare Mohabbat kiya Bhi na tha,
Ki tum chal diye

Abhi to Dum bhi na nikla tha hamaare,
Ki tum chal diye

Abhi Kafan bhi Naseeb na hua tha,
Ki tum chal diye

Zanaaza utha bhi na tha hamaara,
Ki tum chal diye

abhi Dafan bhi na hue the hum,
Ki bas tum chal diye..................Haan Chal Hi Diye.

................................................. ...........................jiya
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Naha ke chal diye by sarafz in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2  All »
Chal diye................!!!!!! by Talat in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
chal diye........... by purani_jeans_aur_guitar in Shairi - E - Zindagi « 1 2 3  All »
Tum Chal Diye Sab Chorh Kar... by Aryaan in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
Chal Diye by angel4u in Shayri-E-Dard
Ricky
Yoindian Shayar
******

Rau: 8
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
4 days, 3 hours and 56 minutes.

Posts: 2455
Member Since: Dec 2003

View Profile
«Reply #1 on: April 06, 2007, 01:08:31 PM »
nice approach.. good work.
Logged
Jiya
Guest
«Reply #2 on: April 06, 2007, 03:40:22 PM »
Quote from: "Ricky"
nice approach.. good work.

thnx a lot Ricky ji,,,,,that  u r liking my ppoems,,,, that is enough for me.

-.-.-.-.-.-.-.-.-.-.-.-.-.-.-.-.-.-.-.-.-.-.-.-.-.-.-.-.-thanks
Logged
pushp24
Guest
«Reply #3 on: April 06, 2007, 04:03:52 PM »
nice one jiya...

bahut intzaar kiya teri chahton ka,
dard dil ka na kaha na suna tumne, to hum chal diye...

phir intzaar ke baad mila intzaar humko,
phir izhaare muhobbat ho na saka, to hum chal diye...

dum nikal gaya ab humara, jo kafan mila tumse,
dafan ab ye sansein hui, lo hum chal diye...

haan hum chal diye...
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #4 on: April 06, 2007, 06:20:31 PM »
Jiya ji bahoot hi sunder tehreer likhi hai aapne

mere dard ko ai dost tumne pehchana bhi na tha
ki tum yuiN  mukraaye our thhukra ke chal diye

Mere ghar ke har kone main jo jalte the deeye
Ik ik ker ke talkhi se bhujhaye our chal diye

Hum dekhte hi rahe tere husn-o-jalwe yuiN hi
tum is kader yuiN muskraaye our chal diye

harash
Logged
Ricky
Yoindian Shayar
******

Rau: 8
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
4 days, 3 hours and 56 minutes.

Posts: 2455
Member Since: Dec 2003

View Profile
«Reply #5 on: April 06, 2007, 06:46:46 PM »
Pushji..
Your lines are nice..

Jiya..  
Tareef k layak hai toh tareef karni hi chahiyee..

Harsh ji..
Apne bhi achha likha hai..
Logged
Jiya
Guest
«Reply #6 on: April 07, 2007, 07:47:53 AM »
Quote from: "pushp24"
nice one jiya...

bahut intzaar kiya teri chahton ka,
dard dil ka na kaha na suna tumne, to hum chal diye...

phir intzaar ke baad mila intzaar humko,
phir izhaare muhobbat ho na saka, to hum chal diye...

dum nikal gaya ab humara, jo kafan mila tumse,
dafan ab ye sansein hui, lo hum chal diye...

haan hum chal diye...

abhi to aaye the tum,
aur abhi hi chal diye,
adhuri hi thi baat abhi,
ki tum chal diye,

tum kya samjho mohabbat ko,
jo ye kare wo hi jaane,
kya beeti hai is dil par hamaare,
jo sitam sahe wo hi jaane.

hamne to shikaayat bhi nahin ki tumse,
ki tum chal diye,
humne to bas wafa hi ki tumse,
ki tum chal diye.

..................................haan hum chal hi diye.
Logged
pushp24
Guest
«Reply #7 on: April 07, 2007, 03:25:10 PM »
nice reply jiya...

baatein hain adhoori abhi kisse hain adhoore,
na shuru kiya kissa koi tumne, to hum chal diye...

muhobbat karte hain hum bhi, jaante hain dard bhi iska,
sitam mushkil jab hue sehne, to hum chal diye...

wafa our shikayatein saath nahin chaltin muhobbat mein JIYA,
lo sun li shikaytein aaz phir tumhari, lo aaz phir hum chal diye...

haan hum chal diye...
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004

View Profile
«Reply #8 on: April 07, 2007, 04:45:51 PM »
Bohat khoob JIya,pushp and harsh ji Usual Smile .
Logged
Jiya
Guest
«Reply #9 on: April 09, 2007, 09:51:29 AM »
Quote from: "pushp24"
nice reply jiya...

baatein hain adhoori abhi kisse hain adhoore,
na shuru kiya kissa koi tumne, to hum chal diye...

muhobbat karte hain hum bhi, jaante hain dard bhi iska,
sitam mushkil jab hue sehne, to hum chal diye...

wafa our shikayatein saath nahin chaltin muhobbat mein JIYA,
lo sun li shikaytein aaz phir tumhari, lo aaz phir hum chal diye...

haan hum chal diye...
 wah bohot khoobsuraj javaab diya hai aapne!!!!!!
bohot hi achha likhte hain aap.Pushp ji aap bohot hi achha likhte hain.

teere nazar se ghayal hue hum'
aur adaaon pe tumhaari kaayal hi hue the .
ki tum chal diye.

dekh ke tumko sharmaa se gaye hum,
gunghat palko ki sharm ka khola hi tha,
ki tum chal diye.

soch ke ki zindagi ke safar mein koi saathi mila,
abhi haatho mein haath hi diya tha,
ki tum chal diye.

hoti agar mohabbat tumhe bhi,
to yun hume chhod ke na jaate tum,
in aakhon ne to har pal tumko hi dekhna chaha,
yun aakhon ko band kar hamaari,
ki tum chal diye.

hota agar asar shkaayaton ka hamaari,
to tum ye shikaayat hi na karte
in hothon ne to har pal tumhaara naam lena chaha,
yun honthon ko see ke hamaare
ki tum chal diye.

soch kar ki laut kar aaoge tum,
humne apalke apni beechhai tumhaare intzaar mein,
ye soch ke ki tum na jaa sakoge hamaare bina,
par e-pathar dil insaan tum hame chhod ke chal diye,
ki tum chal diye.
..........................................haan tum chal hi diye

.-.-.-.-.-.-.-.-.-.-.-.-...-.-..-.-.-.-.-..-.-.-.-.-.-.-.-.-.-.-.-.-.-.-jiya
 
[/b]
Logged
Jiya
Guest
«Reply #10 on: April 09, 2007, 10:10:47 AM »
Quote from: "harashmahajan"
Jiya ji bahoot hi sunder tehreer likhi hai aapne

mere dard ko ai dost tumne pehchana bhi na tha
ki tum yuiN  mukraaye our thhukra ke chal diye

Mere ghar ke har kone main jo jalte the deeye
Ik ik ker ke talkhi se bhujhaye our chal diye

Hum dekhte hi rahe tere husn-o-jalwe yuiN hi
tum is kader yuiN muskraaye our chal diye

harash
Harash ji aapne bohot hi sundar rachna mein javaab diya hai.bohot hi taarif ke kaabil hai.
...............................................th anks  jiya.

 dard bhara tha is kadar is dil mein hamaare,
chalak na jaaye kahin,
to hum chal diye.

diye kya jalenge jis aag mein hum jalte hain,
kahin jal na jaye ye aashiyaana tumhaara,
to hum chal diye.

ye jalwe hamaare husn ke na le len jaan tumhaari,
hum apni jaan ko bachaane ke liye,
yun muskuraaye aur chal diye,  hum chal diye.
................................................. ......................jiya
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #11 on: April 09, 2007, 03:31:18 PM »
Quote from: "Jiya"

Bahoot bahoot shukriya Jiya ji.......per aapka bhi jawaab nahi jiyaji....

Aapke ahsaas jo nikle hain dard-e-dil se...
hamne yuiN uthhaye ki hans ke chal diye

YuiN bhar ke ye akhiyaN tapakte jo aansoo
Khaali tha jo jaam abki bhar ke chal diye

Harash
[/b][/color]
Logged
pushp24
Guest
«Reply #12 on: April 09, 2007, 05:49:03 PM »
nice again jiya...
agar yehi haal raha to ek din tum chale jaaoge,
ya hum chalein jaayenge... isliye flow thoda change kar lete hain...

pyas honthon ki khud hi jalaye firte hain,
tujhe kya maloom ai sanam mere, is dil ko kaise behlaaye firte hain...
tum khud ko phool, humein patthar keh kar muskuraya lo chaahe jitna
par patthar to patthar hi rehte hain, aksar phool hi murjhaya karte hain...
Logged
Jiya
Guest
«Reply #13 on: April 11, 2007, 04:44:04 PM »

Phir se bohot hi khobsurat javaab likha hai apne Harsh ji.kam shabdo mein geheraai liye hue...very nice.

aaj sab kuch aankhon ko tut-ta nazar aata hai,
ke tum yaadon ko aasuno mein baha ke chal diye.

har lamha guzra dard-e-ashq bahate bahaate,
ki tum aasuno ko jaam samajh, pee ke chal diye.

................................................. ........................jiya
Logged
Jiya
Guest
«Reply #14 on: April 11, 2007, 05:07:15 PM »
Quote from: "pushp24"
nice again jiya...
agar yehi haal raha to ek din tum chale jaaoge,
ya hum chalein jaayenge... isliye flow thoda change kar lete hain...

pyas honthon ki khud hi jalaye firte hain,
tujhe kya maloom ai sanam mere, is dil ko kaise behlaaye firte hain...
tum khud ko phool, humein patthar keh kar muskuraya lo chaahe jitna
par patthar to patthar hi rehte hain, aksar phool hi murjhaya karte hain...
ji bilkul theek kaha aapne,,,,,,aur kya javaab diya hai aapne......bohot hi achha.......humne suna tha wo theek hi tha ki aap bohot ho achaa likhte hain...... Usual Smile  Usual Smile

Haan maana ki Phool Murjhaate hain,
Phir aap kyun Phoolo se Dil lagaate hain,
Hum Phool hain aur hume Naaz hai hum par,
Hum is Duniyako Khubsurati de kar jaate hain.

Ye Gumaan nahin Jalan hai aapki,
Jise aap aisa keh kar jataate hain,
Pattaron ka kya hai Dost,wo to Raaho mein aksar,
Chat hi pohochaya karte hain,
Aur ye phool to Murjha kar bhi is Fiza ko Mehekaaya karte hain.

................................................. ..........................jiya.-.-.-.-.
Logged
Pages: [1] 2 3  All
Print
Jump to:  

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 25, 2024, 11:20:33 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.146 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer