KISI KE LIYE KABHI KHUD KO LUTA KAR TO DEKHO..

by khwaish on August 22, 2007, 06:33:02 PM
Pages: [1] 2 3 4
Print
Author  (Read 6013 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
ZINDAGI KYA HAI?
KABHI KITAABON SE HATAKAR TO DEKHO..

RAAHAT-E-DIL KYA HAI?
KISI ROTE KO HASAKAR TO DEKHO..

MOHABBAT KYA HAI?
KISI KE LIYE,
KABHI APNE AAP KO LUTA KAR TO DEKHO..

KHUSHIYON KI EHMIYAT KYA HAI?
CHOT KHAKAR BI MUSKURAKAR TO DEKHO..

MAJBOORIYAN INSAAN KI KYA HAI?
KABHI KADI DHOOP MEIN APN PAAU JALAKAR TO DEKHO..

JUDAI KA DARD KYA HAI?
KISI KE LIYE DO BOOND AANSU BAHAKAR TO DEKHO..

SAU BURAAIYO PE APNI
PARDA DALEGA INSAAN,
KISI AUR KE AIB KO  KABHI CHUPAKAR TO DEKHO..

IBAADAT KYA HAI?
KHUDA SE KABHI APNE AAP KO,
JUUDAKAR TO DEKHO..

UMEED,TAMANNA,KOSHISH,KHWAISH
SAB KHILONE HAI ZINDAGI KE RAAH MEIN,
IN KHILONO SE KABHI MAN BEHLAKAR TO DEKHO..

RAASTE KHUD BAR KHUD NAZAR AAJAYENGE MUSAFIR
APNI KISMAT KO MEHNAT SE AZMAAKAR TO DEKHO..

DARD DENE WALO SE,
KYA SHIKAYAT KARE "KHWAISH"?
AAINA SAMNE RAKHAR KABHI
KHUD SE NAZRE MILAKAR TO DEKHO..

DOST TO FIR BHI DOST HAI,
DUSHMAN BHI CHALE AAYENGE,
KISI KE DIYE HUE ZAKHM KO BHOOLAKAR TO DEKHO..


AAJ BHI KAR SAKTA HAI
INSAAN INSAAN SE PYAAR "KHWAISH"
PAR DILO KI MAIL,
DILO SE KABHI HATAKAR TO DEKHO..
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Khud Ko Kabhi Jeete, Kabhi Marte Dekha Hamne by deepika_divya in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Kabhi khud ko Meri nazron se bacha ke Dekho (Adab) by drpandey in Shairi - E - Zindagi « 1 2  All »
Kabhi Chand Dekho, Kabhi Taare Dekho... by Kaushal Sharma in Shayri for Khumar -e- Ishq
SHONA
Guest
«Reply #1 on: August 22, 2007, 06:54:30 PM »
WoW...Beautiful khwaish..you expected smile on everyone's face but i had tears in my eyes reading it...simply beautiful.i loved this lines

 Dard dene walo se kya shikayat kare khwaish
 aaina saamne rakh ke kabhi khud se nazre milakar to dekho =D>  =D>
Logged
Rajiv'sshayri
Guest
«Reply #2 on: August 22, 2007, 11:38:00 PM »
SAU BURAAIYO PE APNI
PARDA DALEGA INSAAN,
KISI AUR KE AIB KO  KABHI CHUPAKAR TO DEKHO..

KYA BAAT LIKHI HAI KHWAISH JI BAHUT KHUB......

KABHI KISI KA BHI IMAA.N KHARAB HOTA HAI,
KHUDA KE PAAS SABHI KA HISAB HOTA HAI,
HAM APNE SACH KO FAKAT DIL SE JO KABUL KARAIN,
TO JINDAGI KA SAFAR KAMYAB HOTA HAI.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #3 on: August 23, 2007, 09:37:12 AM »
Kamaal Ka Likha Hai Khawish Nice One Yaar.
And Nice One Rajiv Ji,..
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #4 on: August 23, 2007, 09:42:36 AM »
Kitna Asaan Hota Jeena Yahan,..
Agar Har Koi Har Ek KO Samajh Paata,..

Jo Koi Mohabbat Kisi Se Karta,..
To Dusra Bhi Usi Se Dil Lagaata,.

Jeena To Asaan Hai "Khwaish":,..
Afsos Ke Kisi Ko Yahan Jeena Nahi Aata,..

____________________-Jaanasheen-
___________-Azeem-___________

Logged
ISHPREET
Guest
«Reply #5 on: August 23, 2007, 11:53:18 AM »
"khusiyon ki ehmiyat kya hai?
chot khakar bi muskurakar dekho.."

Kya Baat hai khwaish.bahut hi khub likha hai aapne.ek ek line mein zindagi ki sachai haiAapki shayri se hamesha kuch seekhne ko milta hai...bahut ache =D>  =D>  =D>
 rajiv and janasheen aap dono ne bi bahut acha likha hai
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #6 on: August 23, 2007, 01:31:02 PM »
zindagi ki sacchaiyo se phir se rubaaroo karane ke liye sukriya khwaish ji,is tarah ki shayri aajkal kam hi padne ko milti hai ........per behad behtarin likha hai aapne,exellent xpressions ............and azeem bhai aur rajiv ji......umda reply diye hai aap logo ne  bhi
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #7 on: August 24, 2007, 01:26:12 PM »
Shukriya Ishpreet And PJAG Ji,.
Aap Bhi Kuch Likhte To Seekhne Ko Milta,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #8 on: August 24, 2007, 01:29:22 PM »
Zakham Haare Hai Dil Pe Mere,.
Diya Jo Chahne Waalon Ne.,..
Ab Bhi Inse Umeed Main Wafa Ki Rakh Raha Hoon,..

_______________________________-Jaanasheen-
_______________-Azeem-__________
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #9 on: August 28, 2007, 02:32:33 PM »
BAHUT BAHUT SHUKRIYA SHONA,JANASHEEN,RAJIVJI,AZEEMBHAI,ISHPREET,P.J.A.G...BAHUT BAHUT SHUKRIYA AAP SAB KE HUSLE-AFSAI KA... :D ...
AAP LOGON KE JAWAB SE HIMMAT MILTI HAI AUR KUCH LIKHNE KI...SHUKRIYA
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #10 on: August 28, 2007, 03:08:18 PM »
KISI KI BAAT ACHI LAGI TO USKI
HAR JAGAH CHARCHA KARO..
BOORI BAATON KO DIL MEIN HI RAKH KE
USPE PARDAH KARO...
NA KARO BURAI,
KHUDA KE BANAYE HUE INSAAN KI
BOORI BAATON KO EH "KHWAISH"
KHUD HI ACHA KARO..

ROSHNI TO SITAARON
SE BI HO JATI HAI "KHWAISH"
ZAROORI NAHI KE
HAMESHA SIRF CHAND KA HI SAJDA KARO..

PHOOL JAB BHI TOOT THA HAI DAALI SE,
KEHTA HAI SABSE,
KHUSBOO DO SABHI KO
BESHAK MERE JAISE TOOTA KARO..

KISI KI BAAT ACHI LAGE TO
USKI HAR JAGAH CHARCHA KARO..
BOORI BAATON KO DIL MEIN HI RAKH KE
USPE PARDAH KARO..
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #11 on: August 30, 2007, 03:16:34 PM »
Quote from: "khwaish"
BAHUT BAHUT SHUKRIYA SHONA,JANASHEEN,RAJIVJI,AZEEMBHAI,ISHPREET,P.J.A.G...BAHUT BAHUT SHUKRIYA AAP SAB KE HUSLE-AFSAI KA... :D ...
AAP LOGON KE JAWAB SE HIMMAT MILTI HAI AUR KUCH LIKHNE KI...SHUKRIYA


Khwaish Ji,..
Jaanasheen Mera Id Hai,.
Aur Mera Naam Azeem Hai,..
U Are Confused
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #12 on: February 18, 2008, 05:58:54 AM »
Kitna Asaan Hota Jeena Yahan,..
Agar Har Koi Har Ek KO Samajh Paata,..

Jo Koi Mohabbat Kisi Se Karta,..
To Dusra Bhi Usi Se Dil Lagaata,.

Jeena To Asaan Hai "Khwaish":,..
Afsos Ke Kisi Ko Yahan Jeena Nahi Aata,..

____________________-Jaanasheen-
___________-Azeem-___________



Bahut Khoob Azeem bhai...bahut acha likha hai..sach kaha aapne"jeene asaan hai par afsos kisi ko jeena nahi aata"

Bahut khoob rajivji...
Logged
mukesh123g
Guest
«Reply #13 on: February 18, 2008, 06:09:25 AM »
WoW...Beautiful khwaish..you expected smile on everyone's face but i had tears in my eyes reading it...simply beautiful.i loved this lines

 Dard dene walo se kya shikayat kare khwaish
 aaina saamne rakh ke kabhi khud se nazre milakar to dekho =D>  =D>
WoW...Beautiful khwaish..you expected smile on everyone's face but i had tears in my eyes reading it...simply beautiful.i loved this lines

 Dard dene walo se kya shikayat kare khwaish
 aaina saamne rakh ke kabhi khud se nazre milakar to dekho =D>  =D>
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #14 on: February 18, 2008, 06:18:54 AM »
Bohat khoob khwaish ji.. Usual Smile


Zindagi toh gam ka sagar hai..
Iss sey kya umeed rakhe hum..

Mohabatt toh ko chuke hai hum..
Bas aankhon sey aasu hi nikale hai..

Phool bankar unki angan mein meheke hum..
Kanta samajh kar unone nikal diya hai..

Dard-e-afsana ban gaye hoon..
Unke mohabatt key intezar mein..


Unke key liye humne khud ko luta hai..
Aur woh hai ki khud moo modkar chale..
Logged
Pages: [1] 2 3 4
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 24, 2024, 09:45:02 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.103 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer