KUCHH NAAM

by tabassum shakeel on June 14, 2006, 04:16:05 PM
Pages: 1 2 3 [4] 5 6
Print
Author  (Read 4580 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #45 on: September 09, 2006, 11:58:03 AM »
Nice One Bhai
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #46 on: September 10, 2006, 07:30:07 PM »
        bahut khoob qutub ji  .......jaanasheen Ahmed faraz pakistaan se hain inka ek collection hai "jana jana" jo maine padha hai bahuut achcha likhaten hain ......unhi ki ek aur nazm likhati hun


 idd card    

Tujh se bichad ke bhi zinda tha
rah rah ke ye zahar piya hai
jo kuchh guzari jaiseguzari
tujh pe kab ilzam diya hai
apne haal pe khud roya hun
khud hi apna chak siya hai
kitani jankahi se maine
tujhko dil se door kiya hai
khamoshi ki jheel me toone
phir kyon patthar phenk diya hai
 
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #47 on: September 10, 2006, 07:39:19 PM »
    tanhaaiyon me aaj bhi hamne kabhi kabhi
khud se bhi chhup ke tumko pukara kabhi kabhi

beeta hua vo waqt hai yun naqsh dil pe aaj
tujhse mile the kal hi tha lagta kabhi kabhi

dil pe navzishen vo teri yaad mujh ko hain
tanhaai meri hansati tujh pe kabhi kabhi

tu dil ka mere hissa hai tujhko pata hai kya
kya tu bhi mujhko yaad hai karta kabhi kabhi
             
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #48 on: September 11, 2006, 05:56:51 AM »
Well said tabassum ..

Tabassum Can you post more of Ahmed faraz work from his collection, or rather you can start a new therd for that.

Ques...
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #49 on: September 11, 2006, 04:23:56 PM »
thanx qutub ji one more i want to share this one is my favourite
baraso.n ke baad dekhaa ik shaKhs dil_rubaa saa


baraso.n ke baad dekhaa ik shaKhs dil_rubaa saa
ab zahan me.n nahii.n hai par naam thaa bhalaa saa

abaruu khi.nche khi.nche se aa.Nkhe.n jhukii jhukii sii
baate.n rukii rukii sii lahajaa thakaa thakaa saa

alfaaz the ke jugnuu aavaaz ke safar me.n
ban jaaye jangalo.n me.n jis tarah raastaa saa

Khvaabo.n me.n Khvaab us ke yaado.n me.n yaad us kii
niindo.n me.n ghul gayaa ho jaise ke rat_jagaa saa

pahale bhii log aaye kitane hii zindagii me.n
vo har tarah se lekin auro.n se thaa judaa saa

agalii muhabbato.n ne vo naa_muraadiyaa.N dii.n
taazaa rafaaqato.n se dil thaa Daraa Daraa saa

kuchh ye ke muddato.n se ham bhii nahii.n the roye
kuchh zahar me.n bujhaa thaa ahabaab kaa dilaasaa

phir yuu.N huaa ke saavan aa.Nkho.n me.n aa base the
phir yuu.N huaa ke jaise dil bhii thaa aabalaa saa

ab sach kahe.n to yaaro ham ko Khabar nahii.n thii
ban jaayegaa qayaamat ik vaaqi_aa zaraa saa

tevar the beruKhii ke andaaz dostii ke
vo ajanabii thaa lekin lagataa thaa aashnaa saa

ham dasht the ke dariyaa ham zahar the ke amrit
naahaq thaa zo.Num ham ko jab vo nahii.n thaa pyaasaa

ham ne bhii us ko dekhaa kal shaam ittefaaqan
apanaa bhii haal hai ab logo 'Faraz' kaa saa

 

 
Home | Index of Poets  
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #50 on: September 11, 2006, 04:25:13 PM »
one more is there........
every one love this one........

ab ke ham bichha.De to shaayad kabhii Khvaabo.n me.n mile.n


ab ke ham bichha.De to shaayad kabhii Khvaabo.n me.n mile.n
jis tarah suukhe hue phuul kitaabo.n me.n mile.n

Dhuu.NDh uja.De hue logo.n me.n vafaa ke motii
ye Khazaane tujhe mumkin hai Kharaabo.n me.n mile.n

[uja.De=desolated, ruined; Kharaab=bad]

tuu Khudaa hai na meraa ishq farishto.n jaisaa
dono.n insaa.N hai.n to kyo.n itane hijaabo.n me.n mile.n

[hijaab - veil, here it means barrier]

Gam-e-duniyaa bhii Gam-e-yaar me.n shaamil kar lo
nashaa ba.Dataa hai sharabe.n jo sharaabo.n me.n mile.n

aaj ham daar pe khe.nche gaye jin baato.n par
kyaa ajab kal vo zamaane ko nisaabo.n me.n mile.n

ab na vo mai.n huu.N na tu hai na vo maazii hai `Faraaz',
jaise do shaKhs tamannaa ke saraabo.n me.m mile.n
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #51 on: September 11, 2006, 04:28:36 PM »
aur  ye mujhe bahut pasand hai isake baad hi maine "janaa janaa" collection padha...........

jis simt bhii dekhuu.N nazar aataa hai ke tum ho


jis simt bhii dekhuu.N nazar aataa hai ke tum ho
ai jaan-e-jahaa.N ye ko_ii tum saa hai ke tum ho

ye Khvaab hai Khushbuu hai ke jho.nkaa hai ke pal hai
ye dhundh hai baadal hai ke saayaa hai ke tum ho

is diid kii sa_aat me.n ka_ii rang hai.n larazaa.N
mai.n huu.N ke ko_ii aur hai duniyaa hai ke tum ho

dekho ye kisii aur kii aa.Nkhe.n hai.n ke merii
dekhuu.N ye kisii aur kaa cheharaa hai ke tum ho

ye umr-e-gurezaa.N kahii.n Thahare to ye jaanuu.N
har saa.Ns me.n mujh ko ye lagataa hai ke tum ho

har bazm me.n mauzuu-e-suKhan dil zad_gaa.N kaa
ab kaun hai shiirii.n hai ke lailaa hai ke tum ho

ik dard kaa phailaa huaa saharaa hai ke mai.n huu.N
ik mauj me.n aayaa huaa dariya hai ke tum ho

vo vaqt na aaye ke dil-e-zaar bhii soche
is shahar me.n tanhaa ko_ii ham saa hai ke tum ho

aabaad ham aashuftaa saro.n se nahii.n maqtal
ye rasm abhii shahar me.n zindaa hai ke tum ho

ai jaan-e-'Faraz' itanii bhii taufiiq kise thii
ham ko Gam-e-hastii bhii gavaaraa hai ke tum ho

more and more you may get on this link http://www.cs.memphis.edu/~ramamurt/faraz.html
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #52 on: September 11, 2006, 04:40:10 PM »
now i try to write some thing................ek nakaam koshish isi qafiye ke saath aur janab faraz se muaazrat ke saath........................

ye dil ki hai ik dhadkan ki janeja tum ho
ye khwaab hai tum jaisa ya sach me hi tum ho

chaha hai tumhe itna tumko bhi pata hai
is dil me khushi ban ke rahte ho to tum ho

ham badnaseeb hain ki  ab tujhse kya kahen
bas ye naseeb apna hai ki dil me jo tum ho

chahat ki na hai baat na hai aarzoo koi
phir bhi tujhe  pukara hai mujh jaise jo tum ho

vo roothne ki aadat tu chhod de sanam
qismat hi hai jo roothi bas dil me hi tum ho

ye saare hain kyun aise tu kyun juda sa hai
kyun saath rahke sab ke bhi sabse juda tum ho

ae kaash tu na hota itna bhi achcha jo
meri nazar na uthti kyun achche se tum ho

hai meri aarzoo ki tu bas khush sada rahe
meri har ek doa me ab shaamil tum ho
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #53 on: September 13, 2006, 07:45:23 AM »
Bahoot Khob Post Keyaa Aapnay..

Kayaa Baath Kahee hai.. jo tum ho ..

Great work ..

Thank you for posting on my request..

Ques....
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #54 on: September 16, 2006, 11:47:07 AM »
Waah Tabassum Didi Bahoot Khoob,..
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #55 on: September 16, 2006, 12:11:12 PM »
Yaaro.n ham to ishq mei.n saudai ban gaye,
Shaheriye tamaam, tamaashaayi ban gaye.

Logo.n ki badzubani bhi bari jo is kadar,
Ham to apne pyaar ki ruswaayi ban gaye.

Hamne unki baawafaayi na parkhi ek baar,
Parkhi to gunah ki shehnaai ban gaye.

Aise mei.n ‘MUSAFIR’ yu.n hi ab kare hai kyu.n gunah,
Ham safar ye ab tere harjaayi ban gaye.



N/M

Ques...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #56 on: September 16, 2006, 12:26:04 PM »
Bahoot Khoob Bhaijaan...
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #57 on: October 05, 2006, 03:13:38 PM »
             
bahut bahut shukriya qutub ji and jaansheen bro.......


shafaq par jab ghule hon rang kuch tujh se
hame bhi us ghadi tera muskurana yad aata hai

kabhi ham saath the aise ki jaise jism do ik jaan
tujhe bhi kya kabhi ab vo zamana yaad aata hai

meri mahroomiyon ki dastaan kuchh aur bhi lambi
lagi hai jab tera vo chhod jaana yad aata hai

tere bin ji na paenge kabhi hamne ye socha tha
magar mar bhi na paae koi farz jab yaad aata hai

tu mujhko yaad rakhe hai ki mujh ko bhool baitha hai
kabhi tanhaiyon me hamko ye khyal aata hai
       
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #58 on: October 05, 2006, 03:47:56 PM »
Waah Didi Kamaal ka Likha hai,..

Bewafaa Wo Tera Muskuraana,..
Bhool Jaane Ke Kabeel Nahi hai,..
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #59 on: October 13, 2006, 08:14:41 PM »
 jo kho chuka hai vahi ek khwaab likhati hun
jo ja chuka hai use hi sadaen detin hun
na to sitara hai aisa na aisi qismat hai
main raat dekha hua ek khwaab likhtin hun

falak se toote sitare ka koi hissa tha
mere aanchal ne jise apne me sameta tha
khush bahut the ham apni qismat par
usi khushi ki kahani main aaj likhti hun

hamari sadagi hamari haya ka kya kahana
ki pahle din se ye dushman hamari jaan ki hai
ham laaakh chahen nigahen yahaan uthati hi nahi
vo rooth rooth gae bas unhi ko likhti hun

mohabbaton me bhi had ho t achcha hota hai
kisi ko itna bhi na chaho ki vo gumaan kare
ki apni saans to bas usko soch chalti hai
use khabar bhi nahi usko kahaan likhti hun

kabhi ye likhna tha pyara use hamara bhi
aaj is likhne se dheron shikayen hain use
javaab sab ka main dun itani kahaan jaan mujhme
haan par main aaj bhi usko bas achcha likhti hun

qalam hi saath me laaya hame ik din tha
mera likha bhi kabhi usaki chahaton me tha
ye likhna aaj bana hai raqeeb kya kahna
vo mere dil me hai aur ab bhi usko likhti hun

magar vo din the khushi ke khushi ka likhna tha
khshi qalam se mere chhalak chhalak jaati thi
ab hans ke likhna shuru bhi kardun jo main chahe
hansi ki baat bhi ro kar ke hi main likhti hun........          
Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5 6
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 28, 2024, 03:55:28 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.302 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer