Kyun Chalna Hi Hai Un Raahon Main.....!!

by Talat on July 20, 2009, 05:51:14 PM
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Author  (Read 11230 times)
sbechain
Guest
«Reply #15 on: July 22, 2009, 01:03:03 PM »
bahut khoob celmira ji Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Talat
Guest
«Reply #16 on: July 22, 2009, 02:11:11 PM »
You just raised the bar to a whole new level wav

Thanks so much.......it feels really very nice to see such a comment Usual Smile
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #17 on: July 22, 2009, 02:17:29 PM »
Wow Di.. Its really Good .. bahoot khoob likha hai aapne.. bahoot Khoob!
Logged
HumTum
Guest
«Reply #18 on: July 22, 2009, 02:18:46 PM »
waah waah  Celmira Ji ... kya baat hai .. Aaseey shamil huye hai GunehgaroN mein.. .... bahut khoob....Daad hazir hai.




Palko pe ashk tham gaye is tarhaa
Jaise musafiroN ke iraadey badal gaye

Dard bhi reh reh ke lauteN hai is tarhaa
Jab se haalat ke takaazey badal gaye

Har ek khushi bus cheen gayi hum se
Jab se apnoN ke sahaareN badal gaye


HumTum


Logged
Talat
Guest
«Reply #19 on: July 22, 2009, 04:49:35 PM »
Talat!!! Aapki Itni kitni Khoobsurat nazm Ko padhne Ke Baad,Ek Koshish Main Bhi Karna Chaunga..Umeed Karta Hoon Aapko aur sabko Pasand Aaye...

Ab Shaamil Hai Hum Bhi Unn Deewano Mein,
Jo Mehfil Ko sajaate Chale gaye, Kuch Anjaano Mein....

Aap Qaid Hi Kar Lete Humein To Dil Ko Sukoon Mil Jaata!!!
Hum Bhi Keh Dete, Ke Haan,Shaamil Hai Hum Bhi Tere Gulaamo Mein...

Kyon Waqt Ko Yuh Barbaad Kiye Jaate Hai Hum!!!
Kya Rakha Hai Dil Ke Inn Armaano Mein...

Kabhi Humesha Kareeb Rehne Wale Bhi Ajnabi Ban Jaate Hai!!!!
Sochta Hoon, Aakhir Kyon Nahi Hoon Main Shaamil, Tere Inn Mehmaano Mein...

"Khwaish" To Bas Ek Pathar Ki Tarah Hai!!!!!
Kaaash!!! Hum Bhi Shaamil Hote Duniya Ke Insaano Mein....


Bohot pasand aayi aap ki ye koshish Khwaish Dost..aur bohot khoob likha hai aapne, humesha ki tarah...Bohot Khoob Dost Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


Koi Paas Rehne Waala Door Ho Jaata Hai
Khud Apna Saaya Bhi Kahin Kho Jaata Hai

Bikhra To Diye Hain Guzre Hue Lamhe Humne
Koi Chupke Se Maala Phir Ye Piro Jaata Hai

Dil Main Jab Bhi Uthti Hai Lehar Dard Ki,
Jaagte Hain Jab Saara Jag So Jaata Hai

Socha To Tha Ye Aankh Nam Na Hogi Kabhi,
Kuch To Hai Magar Jo Palken Bhigo Jata Hai
Logged
angel4u
Guest
«Reply #20 on: July 22, 2009, 05:02:05 PM »

Shayad ek muddat ke baad Shayri-e-Dard main kuch likha hai........



As usual very very very beautiful...

Applause
Logged
Talat
Guest
«Reply #21 on: July 22, 2009, 05:19:07 PM »
Wah wah Celmira ji and Khwaish ji,mindblwing.bahut khoobsurt aur kitna dard hai aap dono ke sher mein.excellent. icon_thumleft Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Thanks so much my dear Usual Smile
Logged
Talat
Guest
«Reply #22 on: July 22, 2009, 05:22:06 PM »
Wah Wah Wah Bahut Umda Talat Dear, Bahut hi jajbaati alfaaz chune aapne..Wah Clapping Smiley  Clapping Smiley  Clapping Smiley

Aur Khwaish Ji kya kahe aapse aap to har dost ko apne lafzo ka saath dete hai, kya khoob reply diya aapne bahut aacha laga pad ke .. Clapping Smiley

Shally.


Thanks so much Shally...bohot bohot shukriya dear.
Logged
Roja
Guest
«Reply #23 on: July 22, 2009, 05:25:00 PM »

Shayad ek muddat ke baad Shayri-e-Dard main kuch likha hai........



Bahut bahut khoob dear Talat  Thumbs UP
Logged
Roja
Guest
«Reply #24 on: July 22, 2009, 05:25:59 PM »
Khwaish bhaiya, Humtum ji and Shelly aap sab ne b bahut accha saat diya  Usual Smile
Logged
Talat
Guest
«Reply #25 on: July 23, 2009, 11:41:00 AM »
Behtareen Peshkas Hai Dr. Sahiba
Bahu Hi U mda Ji..Keep It Up.

Bohot bohot shukriya Majid
Logged
Talat
Guest
«Reply #26 on: July 23, 2009, 11:43:32 AM »
kya baat hai celmira ji.....

batak gayi thee aise raahon main,
gum ke siva kuch na dekha in nighaon ne.

sharminda kar diya ,is kader dil ko mere,
ki apni hi nazron se girgaye hum.

jante hai ki ho jaaye gey barbaad hum,
fir bhi chal padte hai ,in raahon main.

dil yeh bhi kaheta hai,
zakham hi zakham mitle ho jahan,
fir kyu chalna hai un raahon main.


khwaish ji.. ..aapne bhi bhut badiya likha hai.


Thanks so much Cara...always nice to see few lines from you whenever you reply, to anyone... Usual Smile

Bohot Khoob dear  Applause Applause Applause


Logged
Talat
Guest
«Reply #27 on: July 23, 2009, 11:53:25 AM »
BHUT KHOOB CELMIRA JI Applause Applause Applause


Thanks a lot MB Ji
Logged
Talat
Guest
«Reply #28 on: July 23, 2009, 11:54:17 AM »
Applause Applause Applause

bahot bahot khoob likha hai aapne Talat ji
hamesha ki tarah jazbaton ko
behtareen tarah se ashaar me rakha hai
baht achi ghazal

Khwaish ji aapne bhi acha saath diya hai
very nice  Applause Applause

Kaash Ji.. aapne humesha apne alfaaz se hausla badhaya hai.....bohot bohot shukriya Usual Smile
Logged
Talat
Guest
«Reply #29 on: July 23, 2009, 11:55:59 AM »

waah waah kya baat hai hamesha ki hi tarhaa.n alfaazo.n ka jaadu bhut khoobsurat paishkash talat daad hazir hai

Tah-e-dil se shukriya Aslam Ji, aapne ye ghazal padhi aur saraha...Thanl you so much.
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 28, 2024, 08:05:31 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.122 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer