lamha lamha yeh dard....

by Manav Mehra on August 05, 2007, 01:43:39 PM
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Author  (Read 3827 times)
HumTum is back
Guest
«Reply #15 on: August 10, 2007, 08:49:58 AM »
Nice Manav n All Usual Smile

Ishq to apni manzil ko paye
Phir "Manav" kyun gabraye?

Jo dard ko apna banaye
Wohi dard mein sakun paye

Gar tu Pyaar ki Aag jalaye
Yaqenan "Mansi" Pigaal jaye

Kudha meri dua kabool farmaye
"Mansi" "Manav" ki ho jaye !!


HumTum
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Lamha-Lamha Sal Gujarte Jate Hai by Pooja in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
lamha-lamha by ranjana in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
lamha lamha by tushar_4u_im in Shayri-E-Dard
lamha lamha yaad hai... by pushp24 in Shayeri for Dard -e- Bewafai « 1 2  All »
Pooja
Guest
«Reply #16 on: August 12, 2007, 03:16:49 AM »
bahoot khoob manav ji and bahoot hi acha likha hai Humtum ji ...
Logged
Talat
Guest
«Reply #17 on: August 12, 2007, 01:33:40 PM »
Bohot khoob likha aapne Manav...Keep it up Usual Smile

Divs and Humtum, bohot khoob....Nice sharing Angel  !!  Usual Smile
Logged
angel4u
Guest
«Reply #18 on: August 12, 2007, 04:54:36 PM »

Jab Kar Na Sake Hum Unse Gila,
Gairon Se Shikayat Kyon Kare,
Dil Sheesha Samajh Kar Tod Diya,
Manzil Pe Laa Kar Chhod Diya,
Wo Pyar Nahi Ek Sapna Tha,
Sapno Se Shikayat Kyon Kare...
* * * * *
Logged
Manav Mehra
Guest
«Reply #19 on: August 13, 2007, 05:16:59 PM »
thanks Talat and Pooja. aap sab ki honsla-afzai ka shukriya

Angel very beautiful poetry... bohaat achhe!!!
Logged
Manav Mehra
Guest
«Reply #20 on: August 13, 2007, 05:23:09 PM »
Quote from: "HumTum is back"
Nice Manav n All Usual Smile

Ishq to apni manzil ko paye
Phir "Manav" kyun gabraye?

Jo dard ko apna banaye
Wohi dard mein sakun paye

Gar tu Pyaar ki Aag jalaye
Yaqenan "Mansi" Pigaal jaye

Kudha meri dua kabool farmaye
"Mansi" "Manav" ki ho jaye !!


HumTum



HumTum ji.... aap ka kya kehna!!!.. ek anjaan shaks ke liye aaise koi dua karne wale bohaat kam dikhte hain.Honestly kabhi aaisa mujhse bhi nahi hua. aaise mann mein ek vichar hai... jo jis raah par chal chuka hu,usko apne peechle walon mein kabhi na kabhi apna-app dikhai de jata hai... thanks ki aap ne aaise mere liye dua ki...

jab apno se bardkar shaks bhi yuhi badal jaye
aise mein kahan koi dard mein sakun phir paye

Hai "Manav" toh ek insaan hi "HumTum ji"
dil zakhmi phir kayun na uska bhi tilmilaye

sholon sa toofan utha rakha hai dil mein
"manasi" kayun hai be-asar, yeh samjh na aaye

magar kehna na usse bewaffa yaaron tum kabhi bhi
shayad waqt hai jo,mere sath,usse bhi hai aajamaye...!!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #21 on: August 14, 2007, 12:02:20 PM »
Bohot khoob..phir se Manav Usual Smile

Very nice one Angel Usual Smile
Logged
Pooja
Guest
«Reply #22 on: August 14, 2007, 04:56:48 PM »
good reply Humtum ji!!!

bahoot khoob Manav ji... simple lafzo mai bahoot achi tarah se apne zazbato ko piroya hai... Good job!!
Logged
Roja
Guest
«Reply #23 on: August 15, 2007, 03:30:48 AM »
Quote from: "Manav Mehra"
Quote from: "HumTum is back"
Nice Manav n All Usual Smile

Ishq to apni manzil ko paye
Phir "Manav" kyun gabraye?

Jo dard ko apna banaye
Wohi dard mein sakun paye

Gar tu Pyaar ki Aag jalaye
Yaqenan "Mansi" Pigaal jaye

Kudha meri dua kabool farmaye
"Mansi" "Manav" ki ho jaye !!


HumTum



HumTum ji.... aap ka kya kehna!!!.. ek anjaan shaks ke liye aaise koi dua karne wale bohaat kam dikhte hain.Honestly kabhi aaisa mujhse bhi nahi hua. aaise mann mein ek vichar hai... jo jis raah par chal chuka hu,usko apne peechle walon mein kabhi na kabhi apna-app dikhai de jata hai... thanks ki aap ne aaise mere liye dua ki...

jab apno se bardkar shaks bhi yuhi badal jaye
aise mein kahan koi dard mein sakun phir paye

Hai "Manav" toh ek insaan hi "HumTum ji"
dil zakhmi phir kayun na uska bhi tilmilaye

sholon sa toofan utha rakha hai dil mein
"manasi" kayun hai be-asar, yeh samjh na aaye

magar kehna na usse bewaffa yaaron tum kabhi bhi
shayad waqt hai jo,mere sath,usse bhi hai aajamaye...!!!



wah wah... Manav ji..bahut khoob
and Hum Tum... nice reply...  =D>
Logged
Pooja
Guest
«Reply #24 on: August 15, 2007, 02:51:09 PM »
Payar ka dard wo hi shakas hai samjh paaye
Jo payar mai dil se hai thokar khaye

Insaan kai baar khud main itna majboor ho jaaye
Chah kar bhi dil ki baat, juban per na la paaye

Pard kar apki shayari Manav ji, bas itna hi man mai ayye
Pooja apke payar ke samne, dil se hai sir ko jhukaye !!
Logged
Manav Mehra
Guest
«Reply #25 on: August 18, 2007, 04:53:26 AM »
Many many Thanks Talat ji...


Thanks Pooja ji... aapse comment milna bohat encouraging hai

Thanks to Roja ji also...


aap sabse nivedan hai.. aap bhi kuch likhein
Logged
Manav Mehra
Guest
«Reply #26 on: August 18, 2007, 04:55:39 AM »
Quote from: "Pooja"
Payar ka dard wo hi shakas hai samjh paaye
Jo payar mai dil se hai thokar khaye

Insaan kai baar khud main itna majboor ho jaaye
Chah kar bhi dil ki baat, juban per na la paaye

Pard kar apki shayari Manav ji, bas itna hi man mai ayye
Pooja apke payar ke samne, dil se hai sir ko jhukaye !!



Pooja,apki baat dil ko chu gayi.... last time Humtum ji ke baat sun kar ankhein nam ho gayi thi.. ajj aapne almost palkein bheego di meri...


pard ke aapki shayari Pooja ji
mann mein ek baat aayi hai

har koi hai prem-payaasa jag mein
lekin alag alag trishnayi hai

mil jayeinge,to khil jayeinge "manasi"
warna apni toh "manav",zindagi murjhayi hai
Logged
Manav Mehra
Guest
«Reply #27 on: August 18, 2007, 04:55:57 AM »
Quote from: "Pooja"
Payar ka dard wo hi shakas hai samjh paaye
Jo payar mai dil se hai thokar khaye

Insaan kai baar khud main itna majboor ho jaaye
Chah kar bhi dil ki baat, juban per na la paaye

Pard kar apki shayari Manav ji, bas itna hi man mai ayye
Pooja apke payar ke samne, dil se hai sir ko jhukaye !!



Pooja,apki baat dil ko chu gayi.... last time Humtum  ki baat sun kar ankhein nam ho gayi thi.. ajj aapne almost palkein bheego di meri...


pard ke aapki shayari Pooja ji
mann mein ek baat aayi hai

har koi hai prem-payaasa jag mein
lekin alag alag trishnayi hai

mil jayeinge,to khil jayeinge "manasi"
warna apni toh "manav",zindagi murjhayi hai
Logged
Pooja
Guest
«Reply #28 on: August 18, 2007, 06:39:37 AM »
murjha jaaye jo
wo payar nahi hota

khatm jo ho jaaye
wo intzaaar nahi hota

agg main jal kar hi kundan banta hai
jo payar ki agg main na jale wo payar nahi hota
Logged
Manav Mehra
Guest
«Reply #29 on: August 18, 2007, 09:28:45 AM »
aapki baat bilkul sahi hai , pehli char lines aapka jawab aur next char lines mein aapko sawal....


uss kundan ko iss kundan ki kya keemat
jara iss nadaan ko bhi samjha dijiye

zindagi se lambe intezar ka kya faayda
mehfil mein apne sahbdon se bayaan kijiye

Phool aur fiza hamesha mehakte nahi rehte
ek hadh ke baad kaise khile,itna farma dijiye

Payar ko toh har dard ki dawa kehte hain log
issi mein kyun mile hai dard,yehi bata dijiye
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 25, 2024, 04:08:41 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.172 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer