mai bhul nahi pata

by bekarar on December 02, 2008, 01:33:40 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1354 times)
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
Aashna dil ka mera hi, gumon se aabad kyun hai
Mai bhool kyun nahi paata, mujhe sab yaad kyun hai

Mujhe aadat hai tere tanz se zakhmon ko sajane ki
Ab  marham-e-muskaan ke, Ye inamaat kyun hai,

Ye tay tha, Na tu mile mujhse, na mai tujhe yaad karun
Fir khwabon me tumse roj ye mulakaat kyun hai

Kuch soch ke banaya tha, Sehra me aashiyan
Yahan bhi mere khudaya, ye barsaat kyun hai,

Tum saath thi to, jo rahte the khafa-khafa mujhse,
Tere jaane ke baad wahi log mere saath kyun hai,

Har baar yun lagta hai ke lout ke aaogey tum fir-se,
tere bare me mere ye, jhuthe Khayalaat kyun hai,

wo kounsi majbooriyan thi, ki tune mujhe choda
sar-e-aam bewafai ke baad bhi, mere zahan me ye Sawalat kyun hai,

tumhaari baaten, mulakaten, shikwe, sitam, bewafai
mai bhool kun nahi paata, mujhe sab yaad kyun hai
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
pata nahi kyon!!! by sky_web2005 in Shayri for Khumar -e- Ishq
pata nahi...... by tushar_4u_im in Shayri-E-Dard
*Kuch Pata Nahi* by Roja in Shayri-E-Dard
Ab nahi leta hai Dil tumhen bhul jane ka naam by Rahi2001 in Shayri for Khumar -e- Ishq
BAhut Caha unko NAhi Bhul Payee Hum..........KAsh by Sanjeev kash in Miscellaneous Shayri
Shikha12
Guest
«Reply #1 on: December 02, 2008, 02:02:20 PM »
"Aah" pe "Waah" nahin karni chahiye..

Lekin itni khoobsurti se koi dard ka bayaan karey, toh uske andaaz-e-bayaan pe "Waah" kiye bina nahin raha jaata...

Bahut umda peshkash hai Sanjeev Ji.. Har ek sheir apne aap mein gazal jaisi khoobsurti samete hai..
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #2 on: December 02, 2008, 02:09:56 PM »
Bohat bohat khoobsurat kalam Sanjeev har sher me tumne ek naya pehlu bayaan kiya hain Terrific  Clapping Smiley Clapping Smiley

Itne khoobsurat kalam ke aage darta hu
Koi yeh na pooch bhaithe ghayel ne likha to likha q hain
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #3 on: December 02, 2008, 02:30:43 PM »
Aashna dil ka mera hi, gumon se aabad kyun hai
Mai bhool kyun nahi paata, mujhe sab yaad kyun hai

Mujhe aadat hai tere tanz se zakhmon ko sajane ki
Ab  marham-e-muskaan ke, Ye inamaat kyun hai,

Ye tay tha, Na tu mile mujhse, na mai tujhe yaad karun
Fir khwabon me tumse roj ye mulakaat kyun hai

Kuch soch ke banaya tha, Sehra me aashiyan
Yahan bhi mere khudaya, ye barsaat kyun hai,

Tum saath thi to, jo rahte the khafa-khafa mujhse,
Tere jaane ke baad wahi log mere saath kyun hai,

Har baar yun lagta hai ke lout ke aaogey tum fir-se,
tere bare me mere ye, jhuthe Khayalaat kyun hai,

wo kounsi majbooriyan thi, ki tune mujhe choda
sar-e-aam bewafai ke baad bhi, mere zahan me ye Sawalat kyun hai,

tumhaari baaten, mulakaten, shikwe, sitam, bewafai
mai bhool kun nahi paata, mujhe sab yaad kyun hai


Waah Mere Bhai,.
Kitni Khubsurat Nazm Likhi Hai,.
Nice One Bhai Once Again,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #4 on: December 02, 2008, 02:32:08 PM »
Us Bewafaa Ke Shehar Mein Jaakar Maine Ye Dekha,.
Dil Me Zakham Haaton Mein Patthar Tayyaar The,.

Shayad Ye Bewaafa Bhi Mere Dost Kisi Waqt Wafaadaar The,.

_______________________________-Jaanasheen-
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #5 on: December 02, 2008, 03:00:47 PM »
"Aah" pe "Waah" nahin karni chahiye..

Lekin itni khoobsurti se koi dard ka bayaan karey, toh uske andaaz-e-bayaan pe "Waah" kiye bina nahin raha jaata...

Bahut umda peshkash hai Sanjeev Ji.. Har ek sheir apne aap mein gazal jaisi khoobsurti samete hai..

bahoot shukriya shikha....aap bhi do sher likh detin dard-e-bewafai me bhi kuch wafa najar aati

Bohat bohat khoobsurat kalam Sanjeev har sher me tumne ek naya pehlu bayaan kiya hain Terrific  Clapping Smiley Clapping Smiley

Itne khoobsurat kalam ke aage darta hu
Koi yeh na pooch bhaithe ghayel ne likha to likha q hain


zarre ko aftab banana to koi aapse sikhe...sajid miyan
Waah Mere Bhai,.
Kitni Khubsurat Nazm Likhi Hai,.
Nice One Bhai Once Again,.

shukriya azeem  Usual Smile
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #6 on: December 02, 2008, 03:03:43 PM »
Us Bewafaa Ke Shehar Mein Jaakar Maine Ye Dekha,.
Dil Me Zakham Haaton Mein Patthar Tayyaar The,.

Shayad Ye Bewaafa Bhi Mere Dost Kisi Waqt Wafaadaar The,.

_______________________________-Jaanasheen-

bahoot khoob azeem
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #7 on: December 02, 2008, 03:09:42 PM »
bahoot khoob azeem

Shukriya,.
Bekarar Ji,.
Silsila Aage Badhaao,.
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 25, 2024, 12:22:34 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.162 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer