Mera Bacha

by mistufer on September 03, 2009, 07:17:16 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 4342 times)
mistufer
Guest
mera bacha
Is kavita ke madhayam se maine ek maa ke ehsaaso bandha hai, jo kam umr maa nahi ban,na chati ya haalat usse apne bache ko janam lene se pahle hi maar (abortion)deti hai.
par vo dard kaise use umr bhar tiss ki tarha chubta rahta haih. please main kisi ka dil nahi dukha rahi hoon phir bhi kisi ko bura lagae toh maaf kar dena. shukriya.

Ek sawal mere dil mein aaj bhi uth raha hai
Kitna komal tumhare chera raha hoga
Tum mere liye ek vardan the rab ke ghar se
Main hi kabeel maa naa ban saki

Tumhe nani ki tarha ki pyaar
Karne wali maa milni chaiye thi
Jo tumhe pyaar karti tumhari hifazat karti
Shayad tum khush rahte unke sang
Mamata tumhe khub milti

Tum nahi jante muje apne karni par
Kitna afsoos hai,
Kash vo waqt main lauta pati
Nahi janti kya kar rahi thi
UsS waqt main khud bhi bachi thi

Kitni be-bas aur majboor mein thi
Galani se ghootan hoti hai aaj bhi
Tumhe bhulna bahut mushkil hai
Khud ko samabhlana mushkil hai
Teri yaad mein hoon tadapti

Tum muj mein kya kar rahe the
Jab tumne apni akhri dadkan chori thi
Tum toh mujpar hi nirbhar the
Aor maine miittadi tumhari hasti
Meri soch us waqt stambh thi

Kash main tum se jagah badal sakti
Ek pal mein vo kar leti beta
Par tum kismat wale ho
Tum rab ki chaye mein ho
Apne gunaah ko aise samjhati

Aise koi din nahi jayega bina yaad kiye
Aor dil mein galani rahegi har waqt
Par bhitar hi bhitar muje pata hai
Hum kabhi alag nahi honge.
Sapno mein tumse baat karti

Khash waqt ne muje rasta dikhaya hota
Aisa din kabhi naa aaya hota
Mera chand aaj mere saath hota
Meri ghar bhi khushaal hota
Zindgi meri yun naa meeth.ti

Nira
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Dil bacha k nahi.. by hifrnd20 in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Khuda Ko Bacha Liya by Rajesh Harish in Miscellaneous Shayri
wo ek masoom bacha by chitralsony in Inspirational Stories and real life Incidences. « 1 2  All »
Main ik chhota sa bacha tha (NM) by vb in Miscellaneous Shayri
Uphaas bacha..... manjum by manjum in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Pooja
Guest
«Reply #1 on: September 03, 2009, 07:43:18 PM »
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley bahoot khoob.. ek maa ke dil ke dard ko apne bakhubi shabo main utara hai...

Kuch lines jo man mai aa rahi hai Likhne ja rahi hu..

Ajj hote sung to yah umar ho gai hoti tumari
ladka tha ya ladki, iss soch main rahti hai umarbhar naari

kuch waqat ka tha sath, jo tha bas sirf humara
na chala pata kisi ko, janam se pahle he kaise gaya koi maara

khoon tha apne he khoon ka, samjh sakega na jise sansar
bin dekhein jise maar diya, uska chehra banaye dil main baar baar



Kuch lines man mai sirf un betio ke liye aa rahi hai.. jinhe sirf is liye maar diya jaata hai kyun ki logo ko Beta chahiye hota hai... aor unka kasoor sirf itna hota hai ki wo beti hoti hai..

Kash beta ban kar mere zisam mai aai hoti
na is tarah qatal-aam teri karai hoti

Na dekha chehra tera, na hi teri masoomiyat samne aai
bas itani si galati teri, beti ban kar, garbh mai aai



likhne ke baad aise lag raha hai ki wo nahi likha gaya jo man mai kahin ander daba hua hai... Wapis aa kar ek baar phir se likhne ki koshish hogi!!
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #2 on: September 04, 2009, 12:03:23 AM »
Wah wah bahut khoob Nira ji and Pooja ji,bahut dard bara kavita likhi aap dono ne aur sachai bhi hai,mindblowing creation.excellent Thumbs UP Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
 
Logged
Pooja
Guest
«Reply #3 on: September 04, 2009, 04:22:20 AM »
Wah wah bahut khoob Nira ji and Pooja ji,bahut dard bara kavita likhi aap dono ne aur sachai bhi hai,mindblowing creation.excellent Thumbs UP Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
 

Shukaria Madhu ji... yah to Nira ji ne is kadar acha likha ki pta bhi nahi chala meri kalam kaya kaya likh gai...
Logged
mistufer
Guest
«Reply #4 on: September 04, 2009, 04:36:14 AM »
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley bahoot khoob.. ek maa ke dil ke dard ko apne bakhubi shabo main utara hai...

Kuch lines jo man mai aa rahi hai Likhne ja rahi hu..

Ajj hote sung to yah umar ho gai hoti tumari
ladka tha ya ladki, iss soch main rahti hai umarbhar naari

kuch waqat ka tha sath, jo tha bas sirf humara
na chala pata kisi ko, janam se pahle he kaise gaya koi maara

khoon tha apne he khoon ka, samjh sakega na jise sansar
bin dekhein jise maar diya, uska chehra banaye dil main baar baar



Kuch lines man mai sirf un betio ke liye aa rahi hai.. jinhe sirf is liye maar diya jaata hai kyun ki logo ko Beta chahiye hota hai... aor unka kasoor sirf itna hota hai ki wo beti hoti hai..

Kash beta ban kar mere zisam mai aai hoti
na is tarah qatal-aam teri karai hoti

Na dekha chehra tera, na hi teri masoomiyat samne aai
bas itani si galati teri, beti ban kar, garbh mai aai



likhne ke baad aise lag raha hai ki wo nahi likha gaya jo man mai kahin ander daba hua hai... Wapis aa kar ek baar phir se likhne ki koshish hogi!!


pooja ji
aapki shukrguzaar hoon aapne meri rachna ko saraya.
itni achi panktiyon likhkar aapne is rachna ke arth ko aage badhaya, muje bahut acha laga.
ek baar phir dhanyawaad deti hoon

take care
nira
Logged
mistufer
Guest
«Reply #5 on: September 04, 2009, 04:37:48 AM »
Wah wah bahut khoob Nira ji and Pooja ji,bahut dard bara kavita likhi aap dono ne aur sachai bhi hai,mindblowing creation.excellent Thumbs UP Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
 

madhu ji
aapka shen yunhi milta rahe yeh hi guzarish karti hoon

bahut bahut shukriya
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #6 on: September 04, 2009, 09:26:29 AM »
Bahut hi khub Nira ji......dil ko chune waale alfaaz likhe hai aapne....
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Logged
poppoetry
Guest
«Reply #7 on: September 04, 2009, 09:32:51 AM »
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley bahoot khoob.. ek maa ke dil ke dard ko apne bakhubi shabo main utara hai...

Kuch lines jo man mai aa rahi hai Likhne ja rahi hu..

Ajj hote sung to yah umar ho gai hoti tumari
ladka tha ya ladki, iss soch main rahti hai umarbhar naari

kuch waqat ka tha sath, jo tha bas sirf humara
na chala pata kisi ko, janam se pahle he kaise gaya koi maara

khoon tha apne he khoon ka, samjh sakega na jise sansar
bin dekhein jise maar diya, uska chehra banaye dil main baar baar



Kuch lines man mai sirf un betio ke liye aa rahi hai.. jinhe sirf is liye maar diya jaata hai kyun ki logo ko Beta chahiye hota hai... aor unka kasoor sirf itna hota hai ki wo beti hoti hai..

Kash beta ban kar mere zisam mai aai hoti
na is tarah qatal-aam teri karai hoti

Na dekha chehra tera, na hi teri masoomiyat samne aai
bas itani si galati teri, beti ban kar, garbh mai aai



likhne ke baad aise lag raha hai ki wo nahi likha gaya jo man mai kahin ander daba hua hai... Wapis aa kar ek baar phir se likhne ki koshish hogi!!

Bahut hi khub Pooja ji...

"Khun tha apne hi khun ka" iss pankti ko parr kr laga jaise sara dard issi
ek pankti mein simat kar reh gya ho.....bahut khub

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Pooja
Guest
«Reply #8 on: September 04, 2009, 04:47:30 PM »
pooja ji
aapki shukrguzaar hoon aapne meri rachna ko saraya.
itni achi panktiyon likhkar aapne is rachna ke arth ko aage badhaya, muje bahut acha laga.
ek baar phir dhanyawaad deti hoon

take care
nira

Shukaria NIRA JI!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #9 on: September 04, 2009, 04:47:54 PM »
Bahut hi khub Pooja ji...

"Khun tha apne hi khun ka" iss pankti ko parr kr laga jaise sara dard issi
ek pankti mein simat kar reh gya ho.....bahut khub

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Shukaria Nikhaar ji!!!
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #10 on: September 04, 2009, 05:12:17 PM »
mera bacha
Is kavita ke madhayam se maine ek maa ke ehsaaso bandha hai, jo kam umr maa nahi ban,na chati ya haalat usse apne bache ko janam lene se pahle hi maar (abortion)deti hai.
par vo dard kaise use umr bhar tiss ki tarha chubta rahta haih. please main kisi ka dil nahi dukha rahi hoon phir bhi kisi ko bura lagae toh maaf kar dena. shukriya.

Ek sawal mere dil mein aaj bhi uth raha hai
Kitna komal tumhare chera raha hoga
Tum mere liye ek vardan the rab ke ghar se
Main hi kabeel maa naa ban saki

Tumhe nani ki tarha ki pyaar
Karne wali maa milni chaiye thi
Jo tumhe pyaar karti tumhari hifazat karti
Shayad tum khush rahte unke sang
Mamata tumhe khub milti

Tum nahi jante muje apne karni par
Kitna afsoos hai,
Kash vo waqt main lauta pati
Nahi janti kya kar rahi thi
UsS waqt main khud bhi bachi thi

Kitni be-bas aur majboor mein thi
Galani se ghootan hoti hai aaj bhi
Tumhe bhulna bahut mushkil hai
Khud ko samabhlana mushkil hai
Teri yaad mein hoon tadapti

Tum muj mein kya kar rahe the
Jab tumne apni akhri dadkan chori thi
Tum toh mujpar hi nirbhar the
Aor maine miittadi tumhari hasti
Meri soch us waqt stambh thi

Kash main tum se jagah badal sakti
Ek pal mein vo kar leti beta
Par tum kismat wale ho
Tum rab ki chaye mein ho
Apne gunaah ko aise samjhati

Aise koi din nahi jayega bina yaad kiye
Aor dil mein galani rahegi har waqt
Par bhitar hi bhitar muje pata hai
Hum kabhi alag nahi honge.
Sapno mein tumse baat karti

Khash waqt ne muje rasta dikhaya hota
Aisa din kabhi naa aaya hota
Mera chand aaj mere saath hota
Meri ghar bhi khushaal hota
Zindgi meri yun naa meeth.ti

Nira


Wah Nira Didi.. Humesha Ki Tarah A1 Likha hai aapne.. Ek Maa Ki Peedha Ko Lafzon Ke dhaal Kar Behad Hi Khubsoorati se Pesh Kiya Hai aapne.. Bahut Dard Bhari Hai Aapki Yeh Rachna.. Jazzbaaton aur Ek Maa Ke Dard Ke sath aapne Is Rachna Me Poora Nyaaye Kiya hai.. Bahut Bahut Hi Umda Peshkash. Applause Applause

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


**~** Mann **~**
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #11 on: September 04, 2009, 05:14:41 PM »
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley bahoot khoob.. ek maa ke dil ke dard ko apne bakhubi shabo main utara hai...

Kuch lines jo man mai aa rahi hai Likhne ja rahi hu..

Ajj hote sung to yah umar ho gai hoti tumari
ladka tha ya ladki, iss soch main rahti hai umarbhar naari

kuch waqat ka tha sath, jo tha bas sirf humara
na chala pata kisi ko, janam se pahle he kaise gaya koi maara

khoon tha apne he khoon ka, samjh sakega na jise sansar
bin dekhein jise maar diya, uska chehra banaye dil main baar baar



Kuch lines man mai sirf un betio ke liye aa rahi hai.. jinhe sirf is liye maar diya jaata hai kyun ki logo ko Beta chahiye hota hai... aor unka kasoor sirf itna hota hai ki wo beti hoti hai..

Kash beta ban kar mere zisam mai aai hoti
na is tarah qatal-aam teri karai hoti

Na dekha chehra tera, na hi teri masoomiyat samne aai
bas itani si galati teri, beti ban kar, garbh mai aai



likhne ke baad aise lag raha hai ki wo nahi likha gaya jo man mai kahin ander daba hua hai... Wapis aa kar ek baar phir se likhne ki koshish hogi!!


Pooja Jiiiiiiiii.... Kya Kahun Main aapki In Lines Ke Bare Me.. Dil Ko Jhanjodh Ke Rakh diya aapki In Lajawab Lafaazon ne.. Har ek Sher Apni Hi Kahaani Kaha raha hai... Bahut Bahut Khoooooooooooooob.. Applause Applause

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


**~** Mann **~**
Logged
Pooja
Guest
«Reply #12 on: September 04, 2009, 05:19:24 PM »
Pooja Jiiiiiiiii.... Kya Kahun Main aapki In Lines Ke Bare Me.. Dil Ko Jhanjodh Ke Rakh diya aapki In Lajawab Lafaazon ne.. Har ek Sher Apni Hi Kahaani Kaha raha hai... Bahut Bahut Khoooooooooooooob.. Applause Applause

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


**~** Mann **~**

bahoot bahoot shukaria Mann ji!!!
Logged
mistufer
Guest
«Reply #13 on: September 04, 2009, 05:33:27 PM »
Bahut hi khub Nira ji......dil ko chune waale alfaaz likhe hai aapne....
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley



nikhaar ji

aapka bahut bahut shukriya
Logged
mistufer
Guest
«Reply #14 on: September 04, 2009, 05:35:42 PM »
Wah Nira Didi.. Humesha Ki Tarah A1 Likha hai aapne.. Ek Maa Ki Peedha Ko Lafzon Ke dhaal Kar Behad Hi Khubsoorati se Pesh Kiya Hai aapne.. Bahut Dard Bhari Hai Aapki Yeh Rachna.. Jazzbaaton aur Ek Maa Ke Dard Ke sath aapne Is Rachna Me Poora Nyaaye Kiya hai.. Bahut Bahut Hi Umda Peshkash. Applause Applause

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


**~** Mann **~**

vickyyyyyyy
koi gham kabhi nahi chhoot.te, vo dil mein lahoo bankar reeste rahte hain
meri rachna ko saharne ka bahut bahut shukriya
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
March 28, 2024, 11:23:17 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 08:02:59 PM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]

[March 16, 2024, 03:21:26 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.21 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8502 Real Poets and poetry admirer