..~~Mere ishq ki kahaaniya~~..

by HumTum on July 12, 2005, 08:59:53 AM
Pages: [1] 2 3 4
Print
Author  (Read 3743 times)
HumTum
Guest
dil ke taaron ko tod do ke yeh nagma puraana gaa na sake
phir se koi geet mohabat ka mere kaano mai gunguna na sake

jis rah par nahin milte koi nakash-e-paa kisii ke dhoondhne se
un raahon mai mujhe dhondhta hua koi uss taraf aa na sake

mere ishq kii kahaaniyaan sab ke labon pe hon to farak nahin
mere ranj-o gham kii dastaan bhi koi poshiida bataa na sake

bahaa liye meri aankhon ne aab-e-talkh jitne bahaane the
kisii jalte hue dil ka dhuaan aankhon mai aansoo la na sake

kyun yakiin bahut tujh ko`HumTum`mauj-e-shamiimaa-e-yaar par
kyun phool kissi chaman ke tere dil ko ab mehkaa na sake !!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ishq mein mere woh suroor nahi tha by passedaway in Shayri for Dard -e- Judai
Mere ishq me.. by dhadkan in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2  All »
~Mere ishq ka asar~ by kritika sharma in Shayri for Khumar -e- Ishq
mere ishq se by poonamA in Shayri for Khumar -e- Ishq
Mere Ishq Ka Gumar by Ameer Hasan Malik in Shayri for Khumar -e- Ishq
sandhaya
Guest
«Reply #1 on: July 12, 2005, 09:34:15 AM »
kya baat hia Humtum ji .........

kaise jiyoge tum dil ke taaron ko thod ke
ki zindagi nahi chalti purani yaadon ko chod ke
kyun khona chahate ho tum khudko iss tarah
ki koi dundna bhi chahe tuh tutt jaye dund ke
na kar iss kadar khudse na insaafi Humtum
ki zindagi milti hai phir badi muskil se......
Logged
Tosha
Guest
«Reply #2 on: July 12, 2005, 10:36:43 AM »
bahut khoob ... Sandhaya... n ... Fheeke Gunde HumTum
....
raho main ajnabi se dillagi kar baithe
ajnabi tha ek anjana hum yeh gunha kar baithe
jane wale rukte nahi hai, bhool hum kar baithe
aapne kabhi bhirte hai hai yeh samajh na paye
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #3 on: July 12, 2005, 10:43:19 AM »
Sukhriya Tosha ji .......and nice too......

Dillagi hoti hai Dil ki lagi kisise bhi ho jati hai
nahi dekhti nazar ki kon hai vo bas milte hi kho jati hai
Logged
HumTum
Guest
«Reply #4 on: July 12, 2005, 10:43:54 AM »
Quote from: "sandhaya"
kya baat hia Humtum ji .........

kaise jiyoge tum dil ke taaron ko thod ke
ki zindagi nahi chalti purani yaadon ko chod ke
kyun khona chahate ho tum khudko iss tarah
ki koi dundna bhi chahe tuh tutt jaye dund ke
na kar iss kadar khudse na insaafi Humtum
ki zindagi milti hai phir badi muskil se......


shukriya Sandhaya ji .. kya khoob likha hai !!


khaaye hain zakham bahut hamne is zamaane se
na kam ho sakega yeh dard tere samjhaane se
umeed-e-shifaa bhi ab saath chodne ko hai
taskeen si ho jaati hai tera khayaal aane se !!
Logged
HumTum
Guest
«Reply #5 on: July 12, 2005, 10:47:54 AM »
Quote from: "Tosha"
bahut khoob ... Sandhaya... n ... [/b]Fheeke Gunde HumTum[/b]
....
raho main ajnabi se dillagi kar baithe
ajnabi tha ek anjana hum yeh gunha kar baithe
jane wale rukte nahi hai, bhool hum kar baithe
aapne kabhi bhirte hai hai yeh samajh na paye


Thanx Popat !!!   ( feeke :?: )  :letmethink:

bahut khoob likha hai Tosha !!!

iss dil ko aaj talak bhala kaun samja paya hai
agar ker saktey hum asia to yun bezaar na hote
iss dil ki fitrat hi kuch asii hai ke kya khey
agar mna lete isko to na badnaam sar e bazzar hote !!
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #6 on: July 12, 2005, 10:48:30 AM »
Mere kayal ko socha mujhe socha hi nahi
main kaise rahungi bina tere zamane main
tune apna jo socha kyun mera bhi socha hi nahi
samjane nahi main tuh hak jatane aai thi kyun tune dekha hi nahi
Logged
HumTum
Guest
«Reply #7 on: July 12, 2005, 10:50:41 AM »
Quote from: "sandhaya"
Sukhriya Tosha ji .......and nice too......

Dillagi hoti hai Dil ki lagi kisise bhi ho jati hai
nahi dekhti nazar ki kon hai vo bas milte hi kho jati hai


bahoot khoob sandhaya ji ...

mujhe wo koi shaatir baazigar sa lagta hai
Dil ke haal batane mein thora dar sa lagta hai
bhikri pari hai wafao ki lashein harsuu
shamshan mujhe kyuun mere ghar sa lagta hai !!
Logged
HumTum
Guest
«Reply #8 on: July 12, 2005, 10:52:45 AM »
Quote from: "sandhaya"
Mere kayal ko socha mujhe socha hi nahi
main kaise rahungi bina tere zamane main
tune apna jo socha kyun mera bhi socha hi nahi
samjane nahi main tuh hak jatane aai thi kyun tune dekha hi nahi


kya baat hai sandhaya ji ...

teri rahooN mein baithey they palke bichaye
ik teri hi nazar ne humey dekha nhi
bhuul baitha tha tujh se pyaar karne se pehley
mere hathoon mein khushiyoN ki rekha nhi !!
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #9 on: July 12, 2005, 10:54:30 AM »
Ishq main bhi kismat wale hote hai
tuh na kar gila ki tu akela badnaam hua
hum bhi hai tere hi tarah pyaar ke maare
chal milke humtum hum apna dard baant lete hai
Logged
HumTum
Guest
«Reply #10 on: July 12, 2005, 10:59:14 AM »
kya baat hai sandhaya ji ...

haal e dil bhi ab kissi ko sunaya nhi jata
ismein ruswaai mere hi pyaar ki hai
mein to ab bhi shi'dat se chahta hoon usko
mere dil mein abhi bhi tasveer yaar ki hai !!
Logged
Tosha
Guest
«Reply #11 on: July 12, 2005, 11:06:22 AM »
Quote from: "HumTum"

Thanx Popat !!!   ( feeke :?: )  :letmethink:

bahut khoob likha hai Tosha !!!

iss dil ko aaj talak bhala kaun samja paya hai
agar ker saktey hum asia to yun bezaar na hote
iss dil ki fitrat hi kuch asii hai ke kya khey
agar mna lete isko to na badnaam sar e bazzar hote !!


Quote from: "sandhaya"
Sukhriya Tosha ji .......and nice too......

Dillagi hoti hai Dil ki lagi kisise bhi ho jati hai
nahi dekhti nazar ki kon hai vo bas milte hi kho jati hai


Thanks Ya..!!!

Fheeke bole to...tasteless...colourless!!! Samjhe HumTum..!
 Puzzled !

i'll get back wth a reply..!!
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #12 on: July 12, 2005, 11:16:50 AM »
kya baat hai ............Humtum ji .....

meri raahon main tu baitha tha
aur main teri hi raahon main tera intezaar karti rahi
khusian tuh meri bhi kismat main bhul gay tha vo likhna
tabhi tuh teri nazar ko meri nazar dundh saki nahi
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #13 on: July 12, 2005, 11:19:31 AM »
Tasveer apne yaar ki dil main basali
aur yaar ko gale tak lagaya nahi
teek se mila nahi kabhi tu usse
phir kasie kare vo yakin ki tu paraya nahi
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #14 on: July 12, 2005, 11:21:26 AM »
ur welcome tosha ji ..........

Dillagi dil ki lagi na ban jaye samblana
ye takleef degi tumhe baad main jara thehrna
Logged
Pages: [1] 2 3 4
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 26, 2024, 02:28:42 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.097 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer