mere yaar kii basti thi

by salil2002 on January 12, 2009, 05:43:59 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2307 times)
salil2002
Guest
viraana hai yahan jahan kabhi mehfile sajti thi
haan kehte thay kii har shaam yahan ruk k gujarti thi
ab to yahan saaye bhi nazar nahin aate mujhko
mujhse log kehte hai kii yahan mere yaar kii basti thi

mujhe yakeen nahin hota yahan ka dekhkar manjar
lagta hai jaise ek tufaan sa aa ke gujar gaya
nahin baki tha khandharo ka bhi namo nishaan
jaise koi saari yaahon ko le k ho kho gaya
kohre mein dekhta raha main har taraf
talaasha maine yaar mere har taraf
na nazar aaya tu na nazar aana tha tujhko
jaise saanson kii garmi se pighal gayi ho baraf

achanak thokar lagi to maine jhuk k dekha
teri tasveer thi woh surkh jode main
lat aa kar maathe par thehar jaati thi
kitni haseen dikhti thi oos jode main
phir main bad gaya lekar teri yaad apne dil main
teri woh bholi surat tera pyaar apne dil main

haan main sach kehta tha kii tu pariyon si dikhti thi
haan yeh bhi sach tha kii tu mohabbat bhi karti thi
hamara mukaddar hi daga de gaya humein e-dost
main to thehra hi raha jahan mere yaar kii basti thi
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Mere Yaar Ki Ada by bobby.soni in Shairi - E - Zindagi
Basti Me Rahne Wale Hi Basti Jalate Rahe by @kaash in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan
aye mere yaar mere pyar by saahill in Miscellaneous Shayri
Jal rahi hai basti basti.....soudagar by soudagar in Shayari-e-Parastish « 1 2  All »
MUT AAO BASTI MEIN MERE by babasatyajaunpuri in Shairy-E-Watan
Shikha12
Guest
«Reply #1 on: January 12, 2009, 05:49:54 AM »
Too Good.. Salil Ji.. Applause Applause
You have nicely binded your emotions with great thoughts...
Logged
k.shael
Guest
«Reply #2 on: January 12, 2009, 05:54:14 AM »
 Applause  Applause  Clapping Smiley
Bahut Khoob Salil,

2Good freind, wht a come back,

Shally.
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #3 on: January 12, 2009, 06:03:49 AM »
viraana hai yahan jahan kabhi mehfile sajti thi
haan kehte thay kii har shaam yahan ruk k gujarti thi
ab to yahan saaye bhi nazar nahin aate mujhko
mujhse log kehte hai kii yahan mere yaar kii basti thi

mujhe yakeen nahin hota yahan ka dekhkar manjar
lagta hai jaise ek tufaan sa aa ke gujar gaya
nahin baki tha khandharo ka bhi namo nishaan
jaise koi saari yaahon ko le k ho kho gaya
kohre mein dekhta raha main har taraf
talaasha maine yaar mere har taraf
na nazar aaya tu na nazar aana tha tujhko
jaise saanson kii garmi se pighal gayi ho baraf

achanak thokar lagi to maine jhuk k dekha
teri tasveer thi woh surkh jode main
lat aa kar maathe par thehar jaati thi
kitni haseen dikhti thi oos jode main
phir main bad gaya lekar teri yaad apne dil main
teri woh bholi surat tera pyaar apne dil main

haan main sach kehta tha kii tu pariyon si dikhti thi
haan yeh bhi sach tha kii tu mohabbat bhi karti thi
hamara mukaddar hi daga de gaya humein e-dost
main to thehra hi raha jahan mere yaar kii basti thi


Wah Wah Jawab Nahi IS andaze bayan kya salil bhai !! ab kya tarif karen is kalam ki alfaz hi nahi hai !! ye la jawab hai mere bhai !!

Qadeer toopchi
Logged
salil2002
Guest
«Reply #4 on: January 12, 2009, 06:04:51 AM »
Too Good.. Salil Ji.. Applause Applause
You have nicely binded your emotions with great thoughts...
thnks mahiya

jo aa ke gujar gaya main woh tufaan dhoondta hoon
 har jarre main tera nishaan main dhoondta hoon
main khamosh hoon tu mujhe galat mat samajhna
main apni khamoshi main teri awaaz dhoonta hoon
Logged
salil2002
Guest
«Reply #5 on: January 12, 2009, 06:09:54 AM »
Applause  Applause  Clapping Smiley
Bahut Khoob Salil,

2Good freind, wht a come back,

Shally.
thanks shally dear hows uncle now..............

woh laut aaye meri taraf main yeh nahin chahta
main oose toote huye dekhna nahin chahta
oose bata kyun nahin dete kii main fana ho chuka hoon
woh mit haaye meri yaad main yeh main nahin chahta


Logged
salil2002
Guest
«Reply #6 on: January 12, 2009, 06:13:11 AM »
Wah Wah Jawab Nahi IS andaze bayan kya salil bhai !! ab kya tarif karen is kalam ki alfaz hi nahi hai !! ye la jawab hai mere bhai !!

Qadeer toopchi
thanka bhai jaan

koi muskura oothta hai dekh kar dard mera
toh main khafa nahin hota yaaron
mujhe yakeen hai kii dil uska bhi toota hoga
lekin yeh toh dard chhupaane kii ada hai yaaron
Logged
k.shael
Guest
«Reply #7 on: January 12, 2009, 06:20:03 AM »
thanks shally dear hows uncle now..............

woh laut aaye meri taraf main yeh nahin chahta
main oose toote huye dekhna nahin chahta
oose bata kyun nahin dete kii main fana ho chuka hoon
woh mit haaye meri yaad main yeh main nahin chahta




Ur welcome Freind,

& Papa is now fine...

Shally.
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #8 on: January 12, 2009, 06:25:57 AM »
 

 Applause Applause Applause

Very nice salil bro.... Thumbs UP


Muskurana bhul gaye mujhe mauf karna 
Kafi mile hai dard iss seene mein 
Aab kya kasar baqi hai iradon mein
Ye soch kar dil zakhm bhare hain seene mein
Logged
salil2002
Guest
«Reply #9 on: January 12, 2009, 06:33:20 AM »


 Applause Applause Applause

Very nice salil bro.... Thumbs UP


Muskurana bhul gaye mujhe mauf karna 
Kafi mile hai dard iss seene mein 
Aab kya kasar baqi hai iradon mein
Ye soch kar dil zakhm bhare hain seene mein

kaise ho sis ............thanks for sharing a nice one

bharte hai zakhm nasoor ka ilaaz nahin hota
is duniya main har har chehra benaqaab nahin hota
dil main kuch chehre par kucch dekhlaate hain
gale lag kar peeth main khanjar ghonp jaate hain
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #10 on: January 12, 2009, 06:43:21 AM »
kaise ho sis ............thanks for sharing a nice one

bharte hai zakhm nasoor ka ilaaz nahin hota
is duniya main har har chehra benaqaab nahin hota
dil main kuch chehre par kucch dekhlaate hain
gale lag kar peeth main khanjar ghonp jaate hain


Shukriya salil bro zindagi chal rahi hai...

Zakhm dene wale muskura kar chale gaye
Mere aarmano ka qatl karke chale gaye
Mat poocho ke kitna tadpe hai inn dino
Woh mere dil mein zakhmon ke nishaan chod gaye

______________HR________
Logged
salil2002
Guest
«Reply #11 on: January 12, 2009, 06:55:20 AM »
Shukriya salil bro zindagi chal rahi hai...

Zakhm dene wale muskura kar chale gaye
Mere aarmano ka qatl karke chale gaye
Mat poocho ke kitna tadpe hai inn dino
Woh mere dil mein zakhmon ke nishaan chod gaye

______________HR________

kya baat hai di

log kehte hai kii yahan kabra hai kissii aashiq kii
aur wahi log oose raund kar chalte hain

Logged
honeyrose
Guest
«Reply #12 on: January 12, 2009, 07:00:54 AM »
kya baat hai di

log kehte hai kii yahan kabra hai kissii aashiq kii
aur wahi log oose raund kar chalte hain



Wah wah bro dear.. Thumbs UP Thumbs UP

Mere shaadi pe doli sajane woh aaye the
Mere janaze tak toh phool barsana to aa jaate...

__________HR_______-
Logged
salil2002
Guest
«Reply #13 on: January 12, 2009, 07:23:29 AM »
Wah wah bro dear.. Thumbs UP Thumbs UP

Mere shaadi pe doli sajane woh aaye the
Mere janaze tak toh phool barsana to aa jaate...

__________HR_______-

saza kar teri doli hum na laute kabhi
log kehte hai kii mitti oothi thi meri
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #14 on: January 12, 2009, 07:33:07 AM »
saza kar teri doli hum na laute kabhi
log kehte hai kii motti oothi thi meri


Humne bhi chahat mein loota diya saara jahan
Aapne armano ko dafna kar ban gaye be-jaan..
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 25, 2024, 10:00:45 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.11 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer