Mujhe bas insaan rehne do...

by Sunil Malhotra on November 11, 2012, 03:53:15 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 3859 times)
Sunil Malhotra
Guest
Mat chedo is dil ko, dafan isme tufan rehne do.
Is toote dil ke aangan ko yun hi veeran rehne do.
Jo hame apna khuda kehte hain aur wo hi hame barbad karte hain,
Mat banao mujhe khuda yaaron, mujhe bas insaan rehne do.

Is duniya me koi kisi ka nahi, sab matlab ki yaari hai.
Deen-Imaan bhula kar sabne lagayi khud ko paise ki bimari hai.
Khun choos kar garibon ka apna makaan banane walon ko ham door se hi alvida kehte hai.
Mujhe jarurat nahi aise makan ki, mera ghar yun hi veeran rehne do.
Mujhe bas insaan rehne do.

Main to fakeer hoon, samajh nahi mujhe duniyadari ki.
Khushi mujhse sambhalti nahi, ye haalat hai meri lachari ki.
Main to bas ek raahi hoon is badnaam duniya ki benaam manjil ka.
Meri jindagi yun hi gumnam rehne do.
Mujhe bas insaan rehne do.

Is dil me kuch bhuli hui yaadein hain, Kuch ankahi baatein hain.
Sang mere gam me doobi meri sathi ye tanha raatein hain.
Apne gamo se dusron ko rula sakta hoon, par rote ko hasane ki bhi kabiliyat hai mujhme.
Par mere ladkhadate haathon me "RAAJ" aaj aansuon se bhara ye jaam rehne do,
Mujhe bas insaan rehne do... Mujhe bas insaan rehne do.
Logged
MANOJ6568
Khaas Shayar
**

Rau: 31
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
42 days, 19 hours and 41 minutes.

Astrologer & Shayer

Posts: 12017
Member Since: Feb 2010


View Profile
«Reply #1 on: November 11, 2012, 04:12:35 AM »
Mat chedo is dil ko, dafan isme tufan rehne do.
Is toote dil ke aangan ko yun hi veeran rehne do.
Jo hame apna khuda kehte hain aur wo hi hame barbad karte hain,
Mat banao mujhe khuda yaaron, mujhe bas insaan rehne do.

Is duniya me koi kisi ka nahi, sab matlab ki yaari hai.
Deen-Imaan bhula kar sabne lagayi khud ko paise ki bimari hai.
Khun choos kar garibon ka apna makaan banane walon ko ham door se hi alvida kehte hai.
Mujhe jarurat nahi aise makan ki, mera ghar yun hi veeran rehne do.
Mujhe bas insaan rehne do.

Main to fakeer hoon, samajh nahi mujhe duniyadari ki.
Khushi mujhse sambhalti nahi, ye haalat hai meri lachari ki.
Main to bas ek raahi hoon is badnaam duniya ki benaam manjil ka.
Meri jindagi yun hi gumnam rehne do.
Mujhe bas insaan rehne do.

Is dil me kuch bhuli hui yaadein hain, Kuch ankahi baatein hain.
Sang mere gam me doobi meri sathi ye tanha raatein hain.
Apne gamo se dusron ko rula sakta hoon, par rote ko hasane ki bhi kabiliyat hai mujhme.
Par mere ladkhadate haathon me "RAAJ" aaj aansuon se bhara ye jaam rehne do,
Mujhe bas insaan rehne do... Mujhe bas insaan rehne do.
gd
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #2 on: November 11, 2012, 04:19:48 AM »
Nice
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #3 on: November 11, 2012, 04:20:30 AM »
Nice
Logged
anmolarora
Guest
«Reply #4 on: November 11, 2012, 04:47:50 AM »
gud one
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #5 on: November 11, 2012, 09:47:27 AM »
bahut khoob
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 16, 2024, 08:59:37 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.196 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer