Mujhe Meri Duniya De Do...........NIkhaar................

by Nikhaar on April 24, 2011, 05:41:20 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 3330 times)
Nikhaar
Guest

Khud se kar lu aaj do baatein
Bas do pal ki mujhe fursat de do
Kar saku khud se jha mulaqaate,khuch tanha palon ki izzazat de do

Din k ujaale mein chalte hai andheri raah par
Raaton ko ashq bahate hai
Saaf kar sake jo iss daag ko,mujhe ashq ka wo katra de do

Badalte din k saath badle hai
kalaayion mein bandhe rishton k dhaage
Qismat ka hai jo lekh ye, toh qismat likhne ki takhti de do

Waqt ne khilaaye jo khel wahi khelkar
hum yha tak pahuche hai
Galat ko mitaane k liye galat bhi hum ho chuke hai
Apne aks ko pehchaan sake jisme,mujhe wo aaina de do

Naapak iraadon ko pehnaate hai yha sharafat ka chola
Cheer paaye jo iss vesh ko, bas wo ek khanjar de do

Behataash aur bojhil hokar nahi jeena chahte zindagi ko
Kare jo mere rog ki dwa, mujh rogi ka wo vaidh de do

Mat do mujhe juthe dilaase,
de pao toh gunaaho k prayashchit ka mauka de do
Jee sake jha sukun se zindagi, mujhe meri wo duniya de do
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Mujhe Aisi Duniya Nahi Chahiye.... by Aryaan in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
Meri Khamosh Thi Duniya....... by rajguru in Shayri for Khumar -e- Ishq
yeh hi meri duniya hai!!! by dead heart in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
meri duniya.....sheba by Sheba in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Usi ke ishq me duniya.......mujhe dewaana kahti hai by Syed Mohd Mahzar in Miscellaneous Shayri
Niha Khan
Guest
«Reply #1 on: April 24, 2011, 05:45:04 PM »
Good Job Nikhaar Ji
Logged
killbill
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
24 days, 7 hours and 41 minutes.
Posts: 2130
Member Since: Oct 2010


View Profile
«Reply #2 on: April 24, 2011, 06:55:22 PM »
hmm…
behtaReen soch
good
daad dil se
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #3 on: April 24, 2011, 07:17:39 PM »
excellent post nikhaar.......
felings ko itne pyaare andaaz me sajaya hai shabdon se k bas har line dil me utarti chali gai...lag raha tha jaise dil se hi awaaz aarahi hai...
khudke dil ki awaaz sunn akaisa lagta hai wahi ehsaas hus tumhari ye post padhkar..kitni bar padhli aur bar bar padhte jane ka dil kar raha hai
1 of ur best creation nikhar
Logged
dead heart
Guest
«Reply #4 on: April 24, 2011, 07:50:40 PM »
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Bahaut bahaut khoob Nikhaar di..
Woh aina wala ashaar sabse zada acha laga..

Khush rahiye..!

Logged
Pooja
Guest
«Reply #5 on: April 24, 2011, 09:32:53 PM »
wow good work Nikhaar
Logged
manjum
Guest
«Reply #6 on: April 25, 2011, 10:46:33 AM »
bahut khub nikhaarji.....
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #7 on: April 25, 2011, 03:00:27 PM »
Sachai pe likhi apki ye kavita behad ruhani hai nikhaar ji bahut waqt baad apka likha kuch padhne ko mila acha laga...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #8 on: April 25, 2011, 03:08:42 PM »

Khud se kar lu aaj do baatein
Bas do pal ki mujhe fursat de do
Kar saku khud se jha mulaqaate,khuch tanha palon ki izzazat de do

Din k ujaale mein chalte hai andheri raah par
Raaton ko ashq bahate hai
Saaf kar sake jo iss daag ko,mujhe ashq ka wo katra de do

Badalte din k saath badle hai
kalaayion mein bandhe rishton k dhaage
Qismat ka hai jo lekh ye, toh qismat likhne ki takhti de do

Waqt ne khilaaye jo khel wahi khelkar
hum yha tak pahuche hai
Galat ko mitaane k liye galat bhi hum ho chuke hai
Apne aks ko pehchaan sake jisme,mujhe wo aaina de do

Naapak iraadon ko pehnaate hai yha sharafat ka chola
Cheer paaye jo iss vesh ko, bas wo ek khanjar de do

Behataash aur bojhil hokar nahi jeena chahte zindagi ko
Kare jo mere rog ki dwa, mujh rogi ka wo vaidh de do

Mat do mujhe juthe dilaase,
de pao toh gunaaho k prayashchit ka mauka de do
Jee sake jha sukun se zindagi, mujhe meri wo duniya de do



Pooja,Iss Duniya mein Koi nahi Hoga Jo yeh Keh Sake Ke Woh "Sukoon Ki zindagi jeeta Hai" Har Ek Insaan Apni Hi pareshaaniyon mein Uljha Rehta Hai..Isliye Uss Duniya Ki umeed Hi Naa Karo jo Sirf Ek kalpana Hai..
main Umeed karta Hoon Sab theek Ho!!!!

Bahut Bahut Aur bahut Khoob..Lafzon Mein Dil Ki Baatein Keh Gaye Aap

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


Logged
poppoetry
Guest
«Reply #9 on: April 26, 2011, 05:28:47 PM »
Good Job Nikhaar Ji
hmm…
behtaReen soch
good
daad dil se
shukriya khan ji , kb ji
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #10 on: April 26, 2011, 05:37:10 PM »
excellent post nikhaar.......
felings ko itne pyaare andaaz me sajaya hai shabdon se k bas har line dil me utarti chali gai...lag raha tha jaise dil se hi awaaz aarahi hai...
khudke dil ki awaaz sunn akaisa lagta hai wahi ehsaas hus tumhari ye post padhkar..kitni bar padhli aur bar bar padhte jane ka dil kar raha hai
1 of ur best creation nikhar

bahut bahut shukriya aapka....aapka bar bar padhna iss creation ko safal banata hai...hamesha ki tarah aaj b bakhubi samjha aapne bhavnao ko....dils se shukriya
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #11 on: April 27, 2011, 06:21:33 PM »
Bahut Khub Nikhar Ji
Logged
ANAAM
Guest
«Reply #12 on: April 28, 2011, 05:21:25 PM »
Pooja  ek bahut he behtareen pesh-kash......dil ko chhu gayee....
pyaar.....khumaar....dard sab rango ko liye huye hai ye rachnaa...
Khud se khud ki baatein....mast khayaal hai....Nikhaar tumhaari ye poem mast Nikhar gayee hai..... Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause icon_flower icon_flower icon_flower


Maangee tou meine bhee thee meri Duniya uss khuda se
Manjoor nahi huyi koi bhi maang,majboor huaa khud se

Tu he nahi hai akeli ess jahaan mai,hain kai tujh se
Jinhe nahi mili jo thee unki manzil,puchh tu mujh se
Logged
salil2002
Guest
«Reply #13 on: May 04, 2011, 07:31:30 PM »
first of all ear, hi pooja dear , coming back after a long time, but good to find old pals over here.
beautifully written and well versed poem dear , sach main bahut hi khoobsoorat likha hai.


main kya karoon hansne kii aadat hai mujhko
main kya karoon mujhe rulaana nahin aata
tujhe yaad kar k ashq main baha leta hoon
kya karoon mujhe tujhko bhulaana nahin aata
kisse gila karoon main apne dil ka
kissii kii aankh main apnapan nazar nahin aata
usne toh keh diya kii 'SAAHIL' bewafa hai
mujhe sach ko dohraana bhi nahin aata
aksar main sochta qaid ho jaun main andheron main kaahin
magar kya karoon main insaan hoon thokron se nahin ghabraata
girta hoon phir ooth k chal deta hoon
main 'SALIL' hoon mujhe tham k rehna nahin aata
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #14 on: June 28, 2011, 06:41:56 PM »
Pooja  ek bahut he behtareen pesh-kash......dil ko chhu gayee....
pyaar.....khumaar....dard sab rango ko liye huye hai ye rachnaa...
Khud se khud ki baatein....mast khayaal hai....Nikhaar tumhaari ye poem mast Nikhar gayee hai..... Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause icon_flower icon_flower icon_flower


Maangee tou meine bhee thee meri Duniya uss khuda se
Manjoor nahi huyi koi bhi maang,majboor huaa khud se

Tu he nahi hai akeli ess jahaan mai,hain kai tujh se
Jinhe nahi mili jo thee unki manzil,puchh tu mujh se
shukriya Anaam ji....bahut khoob kha aapne....bahut acche se samjhaya mujhe....sach hi toh hai..mere jaise bahut hai yha...ab kya puchu aap se...chand lines mein bahut khuch keh diya aapne...anaam...ek naam...jiska koi naam nahi...phr bhi khushiyan lutata ek naam....par ummid hai uske daaman mein khushiyan jarur ho.....shukriya Anaam ji
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 26, 2024, 04:54:57 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.171 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer