Tu door hokar bhi paas tha,phr aaj kyu paas hokar bhi door lagta hai
Tere bin khubsurat zindagi ka khwaab bikhra sa lagta hai
Kal jo hua usse bhul ja,kar le thoda sa vishwaas mujh par
Baichain dil mera tera bina yaha-waha bhatakta hai
Kya tab hoga vishwaas tujhe,jab dil cheer kar apna dikhau tujhe
Aaj bhi dard ka wo aansu aankh se meri chalakta hai
Gar jaanega gaur se to tu bhi yahi dekh paayenga
Jha se shuru hota hai tera astitav,waha astitav mera dhool pakadta hai
Haan ye sach hai kal tak aehsaas na tha mujhe inn baaton ka
Juda hokar tujhse jaana maine,dil aaj bhi tujhe dekhne ko tarasta hai
Kyu hai khafaa mujhse tu,itna to bta de dilbar
Khamoshiyon ko sun kar teri,dil mera aahein bharta hai
Gar ki koi khataa maine.maafi ki abhilaashi hu
Baar baar yahi kehti hai 'Pooja'na kar shak meri baaton par
Dil aaj bhi tujhse hi pyaar karta hai....
KYA BAAT HAI NIKHAAR JI........
TUM DOOR RAHEKAR BHI MERE PAAS THEY,
KYUN KI TUM MERE KHAAS THEY.
AAJ PASS RAHEKAR BHI MUJHSE DOOR HAI,
KYUN KI TOUT CHUKA HAI,JO DONO MEIN VISHWAAS THEY.
NA JAANE KYA GALTI HOGAYI HAI MUJHSE,
KI JAB MILE,TUM BAHUT HI NARAAZ THEY.
LAGTA HAI KISI NE MERE KHILAAF KAAN BAR DIYE HAI USKE,
KAHE DIYA HAI TERE PEET PICHE,MERE KOI AUR YAAR THEY.
AB KAISE YAKIN DILAAOUN USEY,
JO MEIN KHWAAB DEKHE THEY,WO TERE HI THEY.
RO RO KAR KAHETI HAI "POOJA" MAT KAR SHAK,YAKIN KAR MERI BAATON PAR,
AAJ BHI MERI DHARKANO MEIN TERI HI AAWAAZ HAI, EK BAR AAKAR SUN TO LEY.