::pyar shabd apni zindagi se mita dungi::

by nidhi_yadein on May 16, 2005, 06:15:20 AM
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 12
Print
Author  (Read 9103 times)
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
"Mujhe gam nahi hai mere mitne ka,
 mujhe gam hai ek nasamajh se pyar karne ka,
 bohat chaha thha maine jisko,
 kabhi samajh na saka wo mujhko,
 phir bhi jeeti rahi usi ke sapno me,
 use hi basaya maine apne armaano me,
 tod ke dil,chal diya qaatil,
 doobti dikhi mujhe meri manzil,
 tum to kehke chale gaye,
 bhool sakoon to bhool jaun tumhe,
 par main kaise bhula doon tumhe,
 dil se kaise mita doon tumhe,
 agar aasaan hota hai dl lagana,
 mushkil hota hai pyar ko nibhana,
 aur agar kuch usse bhi mushkil hai,
 to wo hai us pyaar ko hamesha k liye bhulana,
 phir bhi tumne kaha hai agar,
 main har koshish karoongi magar,
 tum dikhna na mujhe kabhi zindagi me,
 warna kho doongi khud pe sanyam main,
 tumhe yaad karte hi tumhe bhula doongi,
 hamesha...hamesha...ke liye ab main...,
 pyaar shabd ko apni zindagi se mita doongi."
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Apni Zindagi Se Afsoos by Devdas_online in Shayri-E-Dard
~!!~ Ek Pal Apni Zindagi Ka ~~!!~~ by waheed_rose2004 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
pyar dil se mita na paya by kaushikbhawna008 in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Main Apni Zindagi Na Kho Bethoon by FAREE in Shayri-E-Dard
Zindagi apni by Rajesh Harish in Miscellaneous Shayri
clicksahil
Guest
«Reply #1 on: May 16, 2005, 06:21:56 AM »
wow... nidhi kya khooob likha hai ... dil nikaal kar rakh diya... kassh ke kuch log samajh sake daga dene se pehle ke kitna dard hota hai ...

roz o shab ka shumar khatam hua
wo hasiin intezar khatam hua
agar mulaqat na rahi tujhse
rang khushbu nikhar khatam hua
ab tera deedar nahi hasil
kya khizan kya bahar khatam hua
"SAHIL" ki zindagi mein jo tu nahi shamil
dil ka har karobar khatam hua
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #2 on: May 16, 2005, 06:26:30 AM »
Quote from: "clicksahil"
wow... nidhi kya khooob likha hai ... dil nikaal kar rakh diya... kassh ke kuch log samajh sake daga dene se pehle ke kitna dard hota hai ...

roz o shab ka shumar khatam hua
wo hasiin intezar khatam hua
agar mulaqat na rahi tujhse
rang khushbu nikhar khatam hua
ab tera deedar nahi hasil
kya khizan kya bahar khatam hua
"SAHIL" ki zindagi mein jo tu nahi shamil
dil ka har karobar khatam hua
shukriya sahil.

Aapne bhi bohat khoob likha,ye dono lines to bohat hi acchi lagin :

"ab tera deedar nahi hasil
kya khizan kya bahar khatam hua "

Aapke naam Sahil:-

"Daga karne wale ek baar to socha hota,
 dil tootne k baad mera haal kya hoga,
 mere zindagi me sabse zyada thhe tere hi maayne,
 SAHIL ki kashti pe saf dikh rahe hain dil k aaine."
Logged
clicksahil
Guest
«Reply #3 on: May 16, 2005, 06:31:07 AM »
thnx nidhi... u were also xcellent... keep moving on... wakai sach kaha hai ke urdu mai or khaas kar shayari mai dard hai lekin ye dard dil ko tassali deta hai ......

just 4 u nidhi....

har khwaab mohabbat ka kehne ko salona hai
dur hai to mitti hai qarib hai to sona hai
viraniyan chubhti hai tanhaiyan dasti hain
ye hamara muqaddar hai ya koi jadu tona hai
takraya hai patthar se shishe ka ye dil mera
nadani ka ye matam hai bewaqufi ka rona hai
jo zakhm hai maazi ka nasur hai aur isko
jeena hai hamein jab tak ashkon he se dhona hai
humse to teri yaad ne nindein he le gayee
ab jabtak ye rahegi hamein kanton he pe sona hai
hum ishq ke maron ko qismat mein shuru he se
ro kar kabhi hansna hai hans kar kabhi rona hai
un husn ke jalwon ka iss dil mein simat aana
goya ke samandar ko hathon mein samona hai
Logged
isha_verma7
Guest
«Reply #4 on: May 16, 2005, 06:37:14 AM »
Maine toh dil diya tha apna pyaar ke khashti main rakh kar
Aur tumna toh kashti ko beech samundar main pahuchana sa phela hee dubaa diya zalim
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #5 on: May 16, 2005, 06:38:37 AM »
Quote from: "clicksahil"
thnx nidhi... u were also xcellent... keep moving on... wakai sach kaha hai ke urdu mai or khaas kar shayari mai dard hai lekin ye dard dil ko tassali deta hai ......

just 4 u nidhi....

har khwaab mohabbat ka kehne ko salona hai
dur hai to mitti hai qarib hai to sona hai
viraniyan chubhti hai tanhaiyan dasti hain
ye hamara muqaddar hai ya koi jadu tona hai
takraya hai patthar se shishe ka ye dil mera
nadani ka ye matam hai bewaqufi ka rona hai
jo zakhm hai maazi ka nasur hai aur isko
jeena hai hamein jab tak ashkon he se dhona hai
humse to teri yaad ne nindein he le gayee
ab jabtak ye rahegi hamein kanton he pe sona hai
hum ishq ke maron ko qismat mein shuru he se
ro kar kabhi hansna hai hans kar kabhi rona hai
un husn ke jalwon ka iss dil mein simat aana
goya ke samandar ko hathon mein samona hai
Ya,right,dard agar kahin mehsoos karaya jaa sake to wo shayri hi hoti hai.

Thanx a lot and very well written :D ,very right words.
Logged
isha_verma7
Guest
«Reply #6 on: May 16, 2005, 06:40:14 AM »
Nice work both of u......simple GREAT!!......COOL ehh
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #7 on: May 16, 2005, 06:40:53 AM »
Quote from: "isha_verma7"
Maine toh dil diya tha apna pyaar ke khashti main rakh kar
Aur tumna toh kashti ko beech samundar main pahuchana sa phela hee dubaa diya zalim


wah isha......  Usual Smile

"Samandar k kinare kisi ka makaan nahi hota,
 koi bhi dil aur mohabbat se juda nahi hota."

(nm)
Logged
clicksahil
Guest
«Reply #8 on: May 16, 2005, 06:43:50 AM »
thnx ... nidih... sandhaya..isha....

for all of u ... hope u wud appriciate...

har raat meri tanah azaab mein guzri
tumhare baad tumhare he khwaab mein guzri
main ek phool hun wo rakhkar mujhe bhul gaye
tamam umar meri iss kitab mein guzri
   N/M
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #9 on: May 16, 2005, 06:45:59 AM »
Quote from: "clicksahil"
thnx ... nidih... sandhaya..isha....

for all of u ... hope u wud appriciate...

har raat meri tanah azaab mein guzri
tumhare baad tumhare he khwaab mein guzri
main ek phool hun wo rakhkar mujhe bhul gaye
tamam umar meri iss kitab mein guzri
   N/M
wahhh sahil.......bohat hi badiya,excellent.

Thanx ISHA. Usual Smile
Logged
clicksahil
Guest
«Reply #10 on: May 16, 2005, 06:48:19 AM »
thnx nidhi


Na main paas iss ko bula saka
Na main dil ka haal suna saka
Wo hansi hansi mein he chal diye
Aur main haath tak na hila saka
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #11 on: May 16, 2005, 06:51:14 AM »
Quote from: "clicksahil"
thnx nidhi


Na main paas iss ko bula saka
Na main dil ka haal suna saka
Wo hansi hansi mein he chal diye
Aur main haath tak na hila saka
nice one....

"Zindagi me bas ek yahi gam reh gaya hai,
 haal-e-dil na bayaan kar sake,sitam reh gaya hai,
 tum ek baar aa jao suna doon dil ka haal tumhe,
 khushiyon ka zindagi se naam ojhal ho gaya hai."
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #12 on: May 16, 2005, 07:03:03 AM »
Quote from: "nidhi_yadein"
Quote from: "clicksahil"
thnx nidhi


Na main paas iss ko bula saka
Na main dil ka haal suna saka
Wo hansi hansi mein he chal diye
Aur main haath tak na hila saka
nice one....

"Zindagi me bas ek yahi gam reh gaya hai,
 haal-e-dil na bayaan kar sake,sitam reh gaya hai,
 tum ek baar aa jao suna doon dil ka haal tumhe,
 khushiyon ka zindagi se naam ojhal ho gaya hai."
buhat khoob dear
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #13 on: May 16, 2005, 07:10:14 AM »
Quote from: "fakharenaveed"
Quote from: "nidhi_yadein"
Quote from: "clicksahil"
thnx nidhi


Na main paas iss ko bula saka
Na main dil ka haal suna saka
Wo hansi hansi mein he chal diye
Aur main haath tak na hila saka
nice one....

"Zindagi me bas ek yahi gam reh gaya hai,
 haal-e-dil na bayaan kar sake,sitam reh gaya hai,
 tum ek baar aa jao suna doon dil ka haal tumhe,
 khushiyon ka zindagi se naam ojhal ho gaya hai."
buhat khoob dear
Thank u naveed Usual Smile
Logged
HumTum
Guest
«Reply #14 on: May 16, 2005, 07:19:40 AM »
Quote from: "nidhi_yadein"
"Mujhe gam nahi hai mere mitne ka,
 mujhe gam hai ek nasamajh se pyar karne ka,
 bohat chaha thha maine jisko,
 kabhi samajh na saka wo mujhko,
 phir bhi jeeti rahi usi ke sapno me,
 use hi basaya maine apne armaano me,
 tod ke dil,chal diya qaatil,
 doobti dikhi mujhe meri manzil,
 tum to kehke chale gaye,
 bhool sakoon to bhool jaun tumhe,
 par main kaise bhula doon tumhe,
 dil se kaise mita doon tumhe,
 agar aasaan hota hai dl lagana,
 mushkil hota hai pyar ko nibhana,
 aur agar kuch usse bhi mushkil hai,
 to wo hai us pyaar ko hamesha k liye bhulana,
 phir bhi tumne kaha hai agar,
 main har koshish karoongi magar,
 tum dikhna na mujhe kabhi zindagi me,
 warna kho doongi khud pe sanyam main,
 tumhe yaad karte hi tumhe bhula doongi,
 hamesha...hamesha...ke liye ab main...,
 pyaar shabd ko apni zindagi se mita doongi."


wow nice Nidhi ji ..... very nice ...... kuch arz ker paya hoon !!
 
ik kahata kafi hai sja ke liye
ke hazir hui teri zulf gatta ke liye
khushi aati hai gum-e-zindgi ke maousam mein
ik rasam-e-itefaaq ki adaa ke liye
sara jhaan ban gya hai chaaman beffwaii ka
ke khil jaye ik kali bhi waffa ke liye
hai ulfal ka anjaam faqt beffwaai
maan bhi jao "Humtum" ab khuda ke liye

HumTum
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 12
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 28, 2024, 04:58:37 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.116 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer