raat bheegee hai aur tan’ha bhi ..... zarraa

by zarraa on September 16, 2012, 03:46:02 PM
Pages: [1] 2 3  All
Print
Author  (Read 2048 times)
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 21 minutes.
Posts: 2242
Member Since: May 2012


View Profile
raat bheegee hai aur tan’ha bhi
zulm dekha hai tum ne aisa bhi


ro samhal ke zara dil-e-naashaad
ek mud’dat se tu n samhla bhi
(naashaad = sad/displeased)


ek tu hi n dhooNdhta hai use
aur kitne haiN aabla-pa bhi
(aabla-pa = having blisters on the feet)


woh siyah raat ban ghiree mujh par
ru-ba-ru hai wo ban ke sham'ma bhi


ab kaheeN jaayeiN to kahaaN jaayeiN
kaun sa dar n hum se chhoota bhi


hum fana hone chal diye jis par
us ne tha ik dafa n roka bhi


hum tadapte rahe ke kuchh keh do
wo khafa haiN ke kuchh n poochhha bhi


baat apni naheeN main dohraata
yuN bhi hai kaun sun’ne waalaa bhi


waqt dushwaar bhi hai aasaaN bhi
aadmi hai bura bhi ach’chha bhi


kya bataaeiN ke kya hai ghar apna
wo chaman bhi hai aur sehra bhi
(sehra = desert)


hum bulaate n gar qafas is ko
ban chuka hota aashiyaana bhi
(qafas = cage)


taNg maana hai aur shikasta magar
ghar to ghar hai ho chaaheiN jaisa bhi
(taNg = narrow, shikasta = broken)


na bulaane ki bhi kasam kha li
ghar n ach’chha lage hai soona bhi


dar n “zarraa” tujhe tha wa rakhna
koee aata n koee jaata bhi
(wa = open)


ZARRAA
Logged
sushilbansal
Guest
«Reply #1 on: September 16, 2012, 03:58:47 PM »
raat bheegee hai aur tan’ha bhi
zulm dekha hai tum ne aisa bhi


ro samhal ke zara dil-e-naashaad
ek mud’dat se tu n samhla bhi
(naashaad = sad/displeased)


ek tu hi n dhooNdhta hai use
aur kitne haiN aabla-pa bhi
(aabla-pa = having blisters on the feet)


ab agar jaayeiN to kahaaN jaayeiN
kaun sa dar n hum se chhoota bhi


hum fana hone chal diye jis par
us ne hai ik dafa n roka bhi


hum tadapte rahe ke kuchh keh do
wo khafa haiN ke kuchh n poochhha bhi


baat apni naheeN main dohraata
yuN bhi tha kaun sun’ne waalaa bhi


waqt dushwaar bhi hai aasaaN bhi
aadmi hai bura bhi ach’chha bhi


kya bataaeiN ke kya hai ghar apna
wo chaman bhi hai aur sehra bhi
(sehra = desert)


maana hai taNg aur shikasta magar
ghar to ghar hai ho chaaheiN jaisa bhi
(taNg = narrow, shikasta = broken)


na bulaane ki bhi kasam kha li
ghar n ach’chha lage hai soona bhi


dar n “zarraa” tujhe tha wa rakhna
koee aata n koee jaata bhi
(wa = open)


ZARRAA

zarraa ji khoob firmaya hai aap nay ham bhi koch kehna chahtey hai----
kisi say vado ki punji na leyna
ki vado ka yaro khajana bura hai
Logged
arunmishra
Guest
«Reply #2 on: September 16, 2012, 04:05:14 PM »
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
बहुत सुन्दर ग़ज़ल| वाह! वाह!
बधाई| शुभकामनायें|
-अरुण मिश्र. 
Logged
BANSI DHAMEJA
Guest
«Reply #3 on: September 16, 2012, 04:31:24 PM »
bahut khoob Applause Applause Applause Applause
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #4 on: September 16, 2012, 04:31:58 PM »
BAHUT  KHOOB , ZARRA  SAHEB . ACHHI  GHAZAL  PESH  KI  HAI.
BAHUT  MUBARAKBAAD . HASAN
Logged
marhoom bahayaat
Guest
«Reply #5 on: September 16, 2012, 05:11:22 PM »
khubsurat ghazal ji
Logged
mkv
Guest
«Reply #6 on: September 16, 2012, 05:30:13 PM »
Bahut bahut umda ghazal hai
jinti bhi taref kee jaaye kam hai

raat bheegee hai aur tan’ha bhi
zulm dekha hai tum ne aisa bhi  Applause Applause wah wah


ro samhal ke zara dil-e-naashaad
ek mud’dat se tu n samhla bhi  sad11 sad11  Applause Applause
(naashaad = sad/displeased)


ek tu hi n dhooNdhta hai use
aur kitne haiN aabla-pa bhi   Applause Applause Applause
(aabla-pa = having blisters on the feet)


woh siyah raat ban ghiree mujh par
ru-ba-ru hai wo ban ke sham'ma bhi  Applause Applause Applause ya baat hai


ab agar jaayeiN to kahaaN jaayeiN
kaun sa dar n hum se chhoota bhi  Thumbs UP Thumbs UP  Applause Applause Applause


hum fana hone chal diye jis par
us ne hai ik dafa n roka bhi   Applause KYA BAAT HAI, KYA KHAYAAL HAI


hum tadapte rahe ke kuchh keh do
wo khafa haiN ke kuchh n poochhha bhi  sad10 sad10 WAH WAH  Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause


baat apni naheeN main dohraata
yuN bhi hai kaun sun’ne waalaa bhi   Thumbs UP Thumbs UP BAHUT KHOOB


waqt dushwaar bhi hai aasaaN bhi
aadmi hai bura bhi ach’chha bhi  Thumbs UP Thumbs UP  Applause Applause


kya bataaeiN ke kya hai ghar apna
wo chaman bhi hai aur sehra bhi  Applause Applause Applause
(sehra = desert)


maana hai taNg aur shikasta magar
ghar to ghar hai ho chaaheiN jaisa bhi   Applause Applause Applause
(taNg = narrow, shikasta = broken)


na bulaane ki bhi kasam kha li
ghar n ach’chha lage hai soona bhi   Applause Applause BAHUT KHOOB


dar n “zarraa” tujhe tha wa rakhna
koee aata n koee jaata bhi   Applause Applause Applause Applause
(wa = open)


ZARRAA

Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #7 on: September 17, 2012, 04:59:21 AM »
bahut khoob mubarak ho
Logged
pankajwfs
Guest
«Reply #8 on: September 17, 2012, 07:01:03 AM »
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause  bahut khoob bahut behtrien gazal pesh ki hai zarra ji dheron daad qabool kijiye... Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Ritesh Modi
Guest
«Reply #9 on: September 17, 2012, 07:35:38 AM »
bahut khoob likha aap ne...wah
Logged
laaiba
Guest
«Reply #10 on: September 17, 2012, 09:14:16 AM »
waah zarra bohat khoob .........bohat c daad......
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 12 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #11 on: September 17, 2012, 10:00:29 AM »
raat bheegee hai aur tan’ha bhi
zulm dekha hai tum ne aisa bhi
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


ro samhal ke zara dil-e-naashaad
ek mud’dat se tu n samhla bhi
(naashaad = sad/displeased)


ek tu hi n dhooNdhta hai use
aur kitne haiN aabla-pa bhi
(aabla-pa = having blisters on the feet)


woh siyah raat ban ghiree mujh par
ru-ba-ru hai wo ban ke sham'ma bhi


ab kaheeN jaayeiN to kahaaN jaayeiN
kaun sa dar n hum se chhoota bhi


hum fana hone chal diye jis par
us ne tha ik dafa n roka bhi


hum tadapte rahe ke kuchh keh do
wo khafa haiN ke kuchh n poochhha bhi


baat apni naheeN main dohraata
yuN bhi hai kaun sun’ne waalaa bhi


waqt dushwaar bhi hai aasaaN bhi
aadmi hai bura bhi ach’chha bhi


kya bataaeiN ke kya hai ghar apna
wo chaman bhi hai aur sehra bhi
(sehra = desert)


hum bulaate n gar qafas is ko
ban chuka hota aashiyaana bhi
Applause Applause Applause Applause
(qafas = cage)


taNg maana hai aur shikasta magar
ghar to ghar hai ho chaaheiN jaisa bhi
(taNg = narrow, shikasta = broken)
Applause Applause Applause


na bulaane ki bhi kasam kha li
ghar n ach’chha lage hai soona bhi


dar n “zarraa” tujhe tha wa rakhna
koee aata n koee jaata bhi
(wa = open)


ZARRAA



bahut khoob
Applause Applause Applause Applause
Logged
saahill
Mashhur Shayar
***

Rau: 86
Offline Offline

Waqt Bitaya:
147 days, 14 hours and 9 minutes.
Posts: 18588
Member Since: Jun 2009


View Profile
«Reply #12 on: September 17, 2012, 10:25:24 AM »
boht khub zarra ji
Logged
amarhellboy
Guest
«Reply #13 on: September 17, 2012, 12:44:27 PM »
 Applause Applause Applause VERY NICE
USE KYA KHABAR
KITNI RAATEIN BARBAAD KI HAI MAINE USKE LIYE








MERE YAARON




JO KAR DU BAYAAN
TO USE NEED SE NAFRAT HO JAAYE..!
Logged
sbechain
Guest
«Reply #14 on: September 17, 2012, 06:17:14 PM »
raat bheegee hai aur tan’ha bhi
zulm dekha hai tum ne aisa bhi
bada hi dilkash zulm hai ji. kis ne kiya aisa mujhe batana khabar loon gi uski Embarrased Embarrased Embarrased Embarrased Embarrased

ro samhal ke zara dil-e-naashaad
ek mud’dat se tu n samhla bhi
(naashaad = sad/displeased)

sahi hai ro kar aadmi apna dil hal ka kar le to bojh nahin rahta aur pareshani bhi tal jaati hai
Applause Applause Applause Applause
ek tu hi n dhooNdhta hai use
aur kitne haiN aabla-pa bhi
(aabla-pa = having blisters on the feet)
mujhe dhoond ne ki zaroorat nahin aa jaati hoon aksar YOINDIA pe haan pataa nahin doon gi....chahe pairo.n mein chaale padein ya tishna lab ho
aur khudaa ki talaash hai to phir nahin kah sakti.
Embarrased Embarrased Embarrased Embarrased

woh siyah raat ban ghiree mujh par
ru-ba-ru hai wo ban ke sham'ma bhi
bhool rahe ho...main sharaara bhi hoon aur sheba bhi Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard

ab kaheeN jaayeiN to kahaaN jaayeiN
kaun sa dar n hum se chhoota bhi
khoob.........! iss sher pe mazaak ka khyaa to aaya tha per nahin karoon gi Applause Applause Applause Applause

hum fana hone chal diye jis par
us ne tha ik dafa n roka bhi
maine tumhein bahut aawaaz lagaayi thi pe shahr ke iss shor-shaabe mein shayad tum ne sunaa nahin. Embarrased Embarrased Embarrased Embarrased

hum tadapte rahe ke kuchh keh do
wo khafa haiN ke kuchh n poochhha bhi
mujhe lagaa ki tum khafaa ho gaye ho mujh se jo main ne uss roz call back nahin kiya thaa tumheinjo. kyaa karon. bhullakad ho gayi hoon ji. maafi de do.
icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
baat apni naheeN main dohraata
yuN bhi hai kaun sun’ne waalaa bhi
main sunn rahi hoon na. jitni baar kaho main hi sunoo gi samjhe. Embarrased Embarrased Embarrased Embarrased

waqt dushwaar bhi hai aasaaN bhi
aadmi hai bura bhi ach’chha bhi
haan ye to sahi hai Applause Applause Applause

kya bataaeiN ke kya hai ghar apna
wo chaman bhi hai aur sehra bhi
(sehra = desert)
kyon ji mera ghar tumhein kabhi chaman kabhi sehra lagta hai. thik hai aaj ghar aao vaapas jahnnum na lage to mera bhi naam nahin Embarrased Embarrased Embarrased

hum bulaate n gar qafas is ko
ban chuka hota aashiyaana bhi
(qafas = cage)
bahut bahut khoob....! Clapping Smiley Clapping Smiley

taNg maana hai aur shikasta magar
ghar to ghar hai ho chaaheiN jaisa bhi
(taNg = narrow, shikasta = broken)
yeh hui na baat ghar waale ki Applause Applause

na bulaane ki bhi kasam kha li
ghar n ach’chha lage hai soona bhi
binn gharni ghar bhoot ka deraa, gharni rahe to bhoot ko phera. samajh lo ye baat icon_flower icon_flower icon_flower

dar n “zarraa” tujhe tha wa rakhna
koee aata n koee jaata bhi
(wa = open)
  nahin nahin thik hai darwaaz bandd kar ke rakhna chahiye warna chor-uchakke ghuss kar ghar khali kar dete to mere ghar ki saari qeemti cheezein chali jaati. acha kiya tumne. iss per dukhi mat ho. icon_flower icon_flower

ZARRAA



zarraa sahab main aap ke iss behtreen ghazal ki ab kya taarif karo.n. haan mere comments ka bura mat maan na. jab mujhe kalaam dil se pasand aata hai to apna bekaar sa tabsera thok deti hoon..simply you ghazal is nice
Logged
Pages: [1] 2 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 11, 2024, 02:40:09 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.135 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer