Sabse Badiya Shayari,.

by Jaanasheen on April 18, 2008, 04:45:41 PM
Pages: 1 ... 12 13 14 15 [16] 17 18 19 20 ... 27
Print
Author  (Read 21830 times)
k.shael
Guest
«Reply #225 on: July 21, 2008, 08:25:23 AM »
VERY NICE SHAYRI....
KEEP IT UP....

KABHI ZAROORAT JO PADI TUMHE
MUJHE BULA LENA,
AASMAAN PE BHI HONGE TO UTAR KAR
ZAMEEN PE CHALE AAYENGE AJMA LENA,

KABHI AANKH JO BHARE TERI MUJHE BULA
LENA,
TERI AANSOO KO GIRNE NA DOONGI KABHI
BESHAK PEROO TELE LETA LENA,

KABHI JAKHAM JO SATAYE TUJHE TO MUJHE
BULA LENA,
KHUD KI KHUSHIYO KO DEKAR TUJHE TERE
JHAKHAM APNE UPAR LE AAUNGI,DEKH LENA,

KABHI JO HO TU HO KHUSH BAHUT TO MUJHE
BHULA DENA,
EK BAAR BASS APNI AANKHON KE KAJAL SE EK
TIKA APNE CHAND SE CHEHRE PE LAGA LENA....
BY. K.SHAEL


Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
sabse by tushar_4u_im in Chit - Chat & General Discussion « 1 2  All »
Sabse juda lagta tha... by maya01 in Shayri-E-Dard
Muhammed
Guest
«Reply #226 on: July 21, 2008, 09:17:52 AM »
Dosto...Aap Jaisa To Collection Nahi Hai Mere Paas

Hamaare Paas Tha Hi Kya Jo Luta Dete.,
Hamne To Saari Kamaee Khelo Me Ga'nwaai Hai..!!!

Lekin aaj Thodi Furasat Mili kaam Se To Ye Thread Bhi Padhaa
Ek Se Ek Bhdhiya Se Badhiya " Raah-e-sukhan Ke Aadmi " K Ash'aar..
Bhai...Jinte panne Ultaae Ek Se Badhkar Ek Kalaam Padhne Ko Milaa Muje
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #227 on: July 21, 2008, 12:19:08 PM »
Nice One,.
Shael Ji,.
Raza Bhai,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #228 on: July 21, 2008, 12:22:03 PM »
dono jahan teri mohabbat main har k
wo ja raha hai koi shab-e-gam guzar k


viran hai maikada khum-o-sagar udas hai
tum kya gaye k ruth gaye din bahar k


ik fursat-e-gunah mili, wo bhi char din
dekhe hain ham ne hausale parvar-digar k


duniya ne teri yad se begana kar diya
tujh se bhi dil fareb hain gam rozagar k


bhule se muskura to diye the wo aj 'Faiz'
mat puch val-vale dil-e-na-kardakar k
 
____________________Faiz Ahmed Faiz,.
Logged
syednaami
Guest
«Reply #229 on: July 22, 2008, 08:18:57 PM »
bhai mere,.
ye bhi dard ki kahaani hai,.
i dont think that this should be edited,.


Azeem bhai,,,
aap sahih kah rahe hain...

Aur nayi sharing bhi buhat kamaal hai... wah...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #230 on: July 27, 2008, 01:27:44 PM »
Shukriya Bhaijaan,.
Waise Aap Kyun Aapne Sabse Badiya Shayari Yahaan Posting Nahi Karte,.
Logged
syednaami
Guest
«Reply #231 on: July 27, 2008, 01:41:25 PM »
Aap log ho na...
Kitna khoobsurat collection hai aap ke paas...

Bas dekhte hain dil khush ho jaata hai...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #232 on: July 27, 2008, 01:47:13 PM »
Banaa Gulaab To Kaante Chubaa Gaya Ek Shaks,.
Hua Charaag To Ghar Hi Jalaa Gaya Ek Shaks,.

Tamaam Rang Mre Aur Saare Khwaab Mere,.
Fasaana Keh Ke Fasaana Banaa Gaya Ek Shaks,.

Main Kis Hawaa Mein Urdoon Kis Hawaa Mein leh Raaoon,.
Dukhon Ke Jaal Har Soo Bichaa Gaya Ek Shaks,.

Palat Sakoon Main Na Aaage Bard sakoon,.
Mujhe Ye kaunse Raaste Lagaa Gaya Ek Shaks,.

Mohabbatein Bhi Ajeeb us Ki, Nafratein Bhi Kamaal,
Meri Tarah KaHi Mujhme Samaa Gaya Ek Shaks,.

Wo Mahtab Tha Marham-ba-dast Aaaya tha,.
Magar Kuch AUR Siwaa Dil Dukhaa Gaya Ek Shaks,.

Khulaa Ye Raaz Ke Aaina-e-Khanaa Hai Duniya,.
Aur Is Mein Mujhko Tamaashaa Bana Gaya Ek Shaks,.

____________________________-Obaidullah Aaleem-
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #233 on: July 27, 2008, 08:21:36 PM »

===============

Us dil pe khuda ki rahmat ho
Jis dil ki ye haalat hoti he
Ek baar khata ho jaati he
So baar nadaamat hoti he

[nadaamat=sharmindagi]

{Nm}

===============
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #234 on: July 27, 2008, 08:23:27 PM »

================

Mua'zzin ki azaN sunkar utha takiye se sar apna
Khuda ko yaad kar bande, banaa jannat mein ghar apna

{Nm}

================
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #235 on: July 27, 2008, 08:26:56 PM »

================

ghafil tujhe ye ghdiyaal deta he munaadi
Khaliq ne teri umar se or ek ghadi ghataadi

{Nm}
===============
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #236 on: July 27, 2008, 08:28:20 PM »

================

Ham to insaan se bandar bane jaate hein huzoor
Aap khush qismat the jo bandar se insaN ho gaye

[Akbar ilahabaadi]
================
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #237 on: July 27, 2008, 08:29:42 PM »

================

Ye he mawjood bachpan mein jawaani mein budhape mein
Badalti he magar insaaN ki naadani nahi jaati

{Nm}
================
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #238 on: July 28, 2008, 05:39:32 AM »

Mohabbatein Bhi Ajeeb us Ki, Nafratein Bhi Kamaal,
Meri Tarah KaHi Mujhme Samaa Gaya Ek Shaks,.

Wo Mahtab Tha Marham-ba-dast Aaaya tha,.
Magar Kuch AUR Siwaa Dil Dukhaa Gaya Ek Shaks,.

Khulaa Ye Raaz Ke Aaina-e-Khanaa Hai Duniya,.
Aur Is Mein Mujhko Tamaashaa Bana Gaya Ek Shaks,.

____________________________-Obaidullah Aaleem-


waah..Bahot Khoob Bhai Azeem..Obaidullah Aleem Saab Ke Liye..
Bahot Hi Badhiya Collection Hai aapke paas..
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #239 on: July 28, 2008, 05:47:37 AM »
================

Mua'zzin ki azaN sunkar utha takiye se sar apna
Khuda ko yaad kar bande, banaa jannat mein ghar apna

{Nm}

================
Randeri Saab...Bahot Khoob Lagta Hai aapka Collection..
Itna Kehata Hun...Laakho'n Mua'zzin Hai Is Duar Me.,
                  Koi Bilal-e-Habshi Ho To Bataao.......!!!!
" Rasm-e-Azaa'n Reh Gayi Bus.,
  Soz-e-Bilaali Na Rahee........!!!!
Logged
Pages: 1 ... 12 13 14 15 [16] 17 18 19 20 ... 27
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 20, 2024, 01:21:56 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[May 18, 2024, 12:47:34 PM]

[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.124 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer