Sabse Badiya Shayari,.

by Jaanasheen on April 18, 2008, 04:45:41 PM
Pages: 1 ... 13 14 15 16 [17] 18 19 20 21 ... 27
Print
Author  (Read 21831 times)
Muhammed
Guest
«Reply #240 on: July 28, 2008, 05:58:32 AM »

================

Ham to insaan se bandar bane jaate hein huzoor
Aap khush qismat the jo bandar se insaN ho gaye

[Akbar ilahabaadi]
================

Na Meri Na Teri..Na Unki..Lekin Apni..Qur'aan Paak Ki..Boli Bolta Hun...Tarjmaa Va Tafssir Dekh Ligiye Ga.." Laqa'd Khalaqq'-Nal Insaan-a-Fi Ahsan-e-Taqweem " Soorah : Vat-Teen Makki Parah :30.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
sabse by tushar_4u_im in Chit - Chat & General Discussion « 1 2  All »
Sabse juda lagta tha... by maya01 in Shayri-E-Dard
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #241 on: July 28, 2008, 01:35:51 PM »
Bahoot Khoob Ranaderi Bhaijaan,.
Aur Shukriya Razaa Bhai,.

Waise Ranaderi Ji,.
Pardkar bahoot Achcah Laga aapke Kalaamo Ko,.
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #242 on: July 28, 2008, 06:59:52 PM »
Randeri Saab...Bahot Khoob Lagta Hai aapka Collection..
Itna Kehata Hun...Laakho'n Mua'zzin Hai Is Duar Me.,
                  Koi Bilal-e-Habshi Ho To Bataao.......!!!!
" Rasm-e-Azaa'n Reh Gayi Bus.,
  Soz-e-Bilaali Na Rahee........!!!!


Sahi farmaya! allamah iqbaal ne yahi farmaya "jawaab-e-shikwah" mein.

Rehgai rasm-e-azaaN rooh-e-bilaali n rahi
Falsafaa rehgaya talqeen-e-ghazaali n rahi

[iqbaal]

Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #243 on: July 28, 2008, 07:22:00 PM »
Na Meri Na Teri..Na Unki..Lekin Apni..Qur'aan Paak Ki..Boli Bolta Hun...Tarjmaa Va Tafssir Dekh Ligiye Ga.." Laqa'd Khalaqq'-Nal Insaan-a-Fi Ahsan-e-Taqweem " Soorah : Vat-Teen Makki Parah :30.

Sahi he allah ne farmaya is aayat meN : Hamne insaan ko chand sitaaroN se zyada haseen banaya.

Or "ahsan" lafz haseenoN mein bhi sab se haseen ke liye istemaal hota he, insha allah is ki tafseer bhi dekhenge.
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #244 on: July 28, 2008, 07:25:47 PM »
Bahoot Khoob Ranaderi Bhaijaan,.
Aur Shukriya Razaa Bhai,.

Waise Ranaderi Ji,.
Pardkar bahoot Achcah Laga aapke Kalaamo Ko,.

shukriya bhaai.

kal to bohot kuchh likhne ka irada tha magar kambakht "net"

keair.....
Logged
Roja
Guest
«Reply #245 on: July 29, 2008, 01:50:24 AM »
Sayyid Renderi ji you have a wonderful collections.
Bahut hi accha laga padkar. Keep sharing...

Jaanasheen ji, Qbaidullah Aaleem ji ka likha yeh line bahut accha laga padkar.
Thanks for sharing ji.

Quote
Main Kis Hawaa Mein Urdoon Kis Hawaa Mein leh Raaoon,.
Dukhon Ke Jaal Har Soo Bichaa Gaya Ek Shaks,.

Palat Sakoon Main Na Aaage Bard sakoon,.
Mujhe Ye kaunse Raaste Lagaa Gaya Ek Shaks,.

Mohabbatein Bhi Ajeeb us Ki, Nafratein Bhi Kamaal,
Meri Tarah KaHi Mujhme Samaa Gaya Ek Shaks,.
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #246 on: July 29, 2008, 04:05:46 AM »
Bahoot Khoob Ranaderi Bhaijaan,.
Aur Shukriya Razaa Bhai,.
Waise Ranaderi Ji,.
Pardkar bahoot Achcah Laga aapke Kalaamo Ko,.
Bhai Azeem aap Ka Bhi Shukriya
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #247 on: July 29, 2008, 04:22:32 AM »
Sahi he allah ne farmaya is aayat meN : Hamne insaan ko chand sitaaroN se zyada haseen banaya.

Or "ahsan" lafz haseenoN mein bhi sab se haseen ke liye istemaal hota he, insha allah is ki tafseer bhi dekhenge.

Shukriya Bhai Sayyid...Mukhtsar Tafsir Itni K Allah Ne Hazrat-e-aadam Ko apne dust-e-qudrat se banaya..Insaan Ki Soorat Me..Aur Itna Hi Nahi..Noor-e-Muhammedi Jalwaagar Kiya Peshaani Me..Kyon Ki Khuda Noor Hai Aur Noor K Saam Ne Noor Hi Taa'b La Sakta Hai..Allaah Ki Sifat " Jamil " " Jamaal Wala " To " Pasand Karta Hai Jamaal Waalo Ko "..Itna Intehaai Husn-o-Jamaal Waala Bana Ne Wala..

Aub...Science Chillaa Rahi Hai.." Hum Bandar Hai "..

Hum Khaaq Hai Aur Khaaq Hi Ma'vaa Hai Hamaara.,
Khaaqi To Aadam Jadde A'alaa Hai Hamaara..........!!!
 
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #248 on: July 29, 2008, 11:32:20 AM »
Shukriya Roja Ji,.

Aur Intezaar hai Aap sab Ki Collections Ka,.
Raza Ji,.
Ranaderi ji,.
Roja Ji,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #249 on: July 29, 2008, 11:39:44 AM »
Azmate-e-Zindagi Ko Bech Diya,.
Humne Apni Khushi Ko Bech Diya,.

Chashm-e-Saaqi Ke Ek Ishaare pe,.
Umr Ki Tishnagi Ko Bech Diya,.

Jagmaate Hain Wehshaton Ke Dayaar,.
Aqkhl ne Aadmi Ko Bech Diya,.

Ishq Behrupiya Hai Aye "Sagar".
Aap Ne Saadgi Ko Bech Diya,.

________________-Sagar Siddiqui-
Logged
Roja
Guest
«Reply #250 on: July 29, 2008, 01:26:57 PM »
ok Jaanasheen ji... Mera pasandila shayries yahan share kar rahi hu.
Hope you all will like my collections.
**************************


Agar hum kaheN aur wo muskura deiN
Hum unke liye zindgaaNi luTa deiN

har ik mod par Hum gamoN ko sazaa deiN
chalO zindaGi ko mohabbat bana deiN

aGar khud ko bhoole to kuch bhi na bhoole
ke chaahat meiN unkee khuda ko bhula deiN

kabHi gam kee aandhee jinHeN choo na paaye
wafa ke Hum wo nashe-Man bana deiN

qayaamat ke deewaane kehte haiN humse
chalO unke chehRe se parda haTa deiN

saza de, silaa de, bana de, miTa de
maGar wo koi faisla to sunaa de!
Logged
Roja
Guest
«Reply #251 on: July 29, 2008, 01:29:25 PM »
Hazaaron Khwahishen aisee.... by Mirza Ghalib

HazaaroN KHwahishaiN 'eisee ke har KHwahish pe dam nikle
bohot nikle mere armaaN lekin fir bhee kam nikle
Dare kyooN mera qaatil kya rahega uskee gardan par
wo KHooN, jo chashm-e-tar se 'umr bhar yooN dam_ba_dam nikle

nikalna KHuld se aadam ka sunte aayaiN haiN lekin
bohot be_aabru hokar tere kooche se ham nikle
bharam khul jaaye zaalim tere qaamat ki daraazee ka
agar is turra-e-pur_pech-o-KHam ka pech-o-KHam nikle

magar likhwaaye koee usko KHat, to hamse likhawaaye
huee subah aur ghar se kaan par rakhkar qalam nikle
huee is daur meiN mansoob mujhse baada_aashaamee
fir aaya wo zamaana, jo jahaaN se jaam-e-jam nikle

huee jinse tavaqqo KHastagee kee daad paane kee
wo hamse bhee ziyaada KHasta-e-teGH-e-sitam nikle
mohabbat meiN naheeN hai farq jeene aur marne kaa
usee ko dekh kar jeete haiN jis kaafir pe dam nikle

zara kar jor seene par ki teer-e-pursitam nikle
jo wo nikle to dil nikle, jo dil nikle to dam nikle
KHuda ke waaste parda na kaabe se uThaa zaalim
kaheeN 'eisa na ho yaaN bhee wohee kaafir sanam nikle

kahaaN maiKHaane ka darwaaza 'GHalib' aur kahaaN waaiz
par itana jaante haiN kal wo jaata tha ke ham nikle
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #252 on: July 29, 2008, 07:16:32 PM »
Sayyid Renderi ji you have a wonderful collections.
Bahut hi accha laga padkar. Keep sharing...


meherbaani roja sahiba bohot khushi hui ke aap ko pasand aaya, aap ne bhi umda ash'aar pehs kiye or ummid he ye silsilah jaari rakh kar hamare ilm mein izafaa farmate rahenge.
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #253 on: July 29, 2008, 07:34:25 PM »
Shukriya Bhai Sayyid...Mukhtsar Tafsir Itni K Allah Ne Hazrat-e-aadam Ko apne dust-e-qudrat se banaya..Insaan Ki Soorat Me..Aur Itna Hi Nahi..Noor-e-Muhammedi Jalwaagar Kiya Peshaani Me..Kyon Ki Khuda Noor Hai Aur Noor K Saam Ne Noor Hi Taa'b La Sakta Hai..Allaah Ki Sifat " Jamil " " Jamaal Wala " To " Pasand Karta Hai Jamaal Waalo Ko "..Itna Intehaai Husn-o-Jamaal Waala Bana Ne Wala..

Aub...Science Chillaa Rahi Hai.." Hum Bandar Hai "..

Hum Khaaq Hai Aur Khaaq Hi Ma'vaa Hai Hamaara.,
Khaaqi To Aadam Jadde A'alaa Hai Hamaara..........!!!
 

sahi he: "wallahu jameelun yuhibbul jamaal" allah haseen he or husn ko pasand karta he, {magar wo husn jo uski nazar dekhti he.}

Science ka to mat poochye!
Akbar ilahabaadi ne yahi to farmaya ke aaj ka insaan to bandar [janwar] bane jaaraha he, or aap shayad khush qismat the jo bandar se insaan hogaye.

Herat he aaj koi bandar insaan kyuN nahi banta?
  tongue3
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #254 on: July 29, 2008, 07:37:29 PM »
Azmate-e-Zindagi Ko Bech Diya,.
Humne Apni Khushi Ko Bech Diya,.

Chashm-e-Saaqi Ke Ek Ishaare pe,.
Umr Ki Tishnagi Ko Bech Diya,.

Jagmaate Hain Wehshaton Ke Dayaar,.
Aqkhl ne Aadmi Ko Bech Diya,.

Ishq Behrupiya Hai Aye "Sagar".
Aap Ne Saadgi Ko Bech Diya,.

________________-Sagar Siddiqui-


Bohot hi umda jaanasheen ji, "aqal ne aadmi ko bech diya" wala sher to bohot hi achha he.
Logged
Pages: 1 ... 13 14 15 16 [17] 18 19 20 21 ... 27
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 20, 2024, 01:45:14 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[May 18, 2024, 12:47:34 PM]

[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.115 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer